Business mein badhta competition Chhote Businessman ke liye Pareshaniyo ka Karan banta hai. Acchi service aur Behtar product dene ke bad Bhi Kai Businessman Apne product ke Dam kam karne ke bare mein sabse pahle sochte Hai, lekin in business ko Sahi Disha Mein Le jaane ka Unka yah Tarika Sahi Nahi Hota Hai.
yadi aap ek Behtar planning ke sath Apna business kar rahe Hai, to aap ko Apne product ke Dam kam karne ki jarurat Nahi Hai, FIR Chahe competition Kitna bhi high Kyon Na Ho. aapko market ke anusar Dekhna Hoga Ki Sahi planning kya hai aur kaise ki jaati hai aur Kis Tarah Se competition kiya jaaye ki Business world main aapke liye yah Sabhi chije Ek Madadgar ke Tor par sabit ho sakti hai.
Bahut Sare Businessman Aise Hote Hai, Jo market mein badhate competition ko Dekhte Hue Apne product ke rate mein Kafi Kami kar dete Hai, lekin Fir Bhi Unki dukaan mein customer bahut kam Aate Hai. dusro se Sasta product bechne ke bad bhi customer bahut kam Kyon Aate Hai? Aapki Jankari ke liye Bata De ki market mein Chahe Jitna Bhi competition Kyo Nahi ho aapko Apne product rate ke sath Samjhauta nahi karna chahiye.
Product Rate Ke Sath Samjhauta Na Kare ?
Aaj ke Samay Mein Har field Mein competition bahut jyada badh gaya hai. Yadi aap Koi business kar rahe Hai aur aap hi ke pass koi dusra vyakti bhi aapke Jaisa hi business kar raha hai, aur vah aapke mukabale product ko Sasta bech raha hai, to use Dekh Kar aap apne product ka rate ke sath Samjhauta na Kare. Kai vyakti competition Ke Chalte dusro ko dekh kar Apne product ke rate kam kar dete Hai. aapko Aisa bilkul bhi nahi karna chahiye aapko apna rate Ek Jaisa Rakhna chahie dusro Ko Dekhkar ya competition hone ki vajah se aapko rate mein Samjhauta bilkul bhi nahi karna chahiye.
Saman Sasta Kabhi Nahi beche :-
Yadi aap Business Karte Hai, To aapke Padosi dukandar ya FIR customer aapko Kai bar Yah Kahenge ki aap nakali Saman bechte ho, Isliye Aap grahak ko kam rate mein Saman bechte Ho. yadi aapko customer ka dil Jitna hai ya FIR Unhe Apna parmanent customer banana hai, to aapko Apne customer Ke Bade Bil per chhoti chhoti amount Ko Chhod Dena chahie. customer aapse Bada product khareed raha hai aur usme ek do item 5 rupaye 10 rupaye wale Hai, To aap un item ka customer se paise na le, Aisa karne se customer aap ki taraf attract Hoga aur aapke pass Dobara Jarur aaega.
Review karna na Bhule :-
Business mein aapko Har 3 mahine Mein Apni growth ko Lekar Ek study karna chahiye. aapko aapke clients se feedback lene ke bad us per Sahi Roop se vichar karna chahiye. Aisa karne se aapke jitne bhi customer hai vah aap per Adhik Bharosa karne lag jayenge. yadi kisi ne aapki Sabhi product ki membership le Hai, Un per Vishesh kar is formulae Ka upyog Karna chahiye.
Offer Dete Rahe :-
yadi aap Kisi service sector main business karte Hai, to aapko yah Janna bahut hi jaruri hai ki sirf service hi aap offer Nahi karte aapko uske sath free customer care aur guarantee Jaise Facility bhi aapke business ko dusro se alag banati hai. aap Jab apne customer se baat kar rahe Hai, to aap apni list ke anusar basic service ke alava aur kya offer kar sakte Hai in chijon ki jankari aap apne customer ko de. customer to rate dete Samay is baat ka Khaas dhyan rakhe ki aapke offer sabhi Ke Liye Ek Jaise hi ho, Esa karne se aapko Aur Bhi Jyada fayda hoga.
Feedback share Karen :-
Aap customer ko di gai service or product de rahe Hai iski Jankari aap social media platform se avashya de, customer ke dwara kiye Gaye Kisi bhi comment ko aap delete na Kare aur na hi Uska jaldi jawab Dene Ka Prayas Kare. yadi aap Kisi customer ke jawab ka reply de rahe Hai, to aapko Sahi shabdon ka chunav karna chahiye. kabhi bhi comment Mein ese shabdo ka prayog nahi Karen jisse customer aapke business ke bare mein negative Bato ko sochne Lag Jaaye yadi aap customer ko jawab de rahe Hai to aap Aisa comment Kare ki padhne Walo ke man mein aapke company ke Prati sakaratmak Soch Bani Rahe aap social media platform per customer ke experience ka video bhi share Kare, Taki un videos Ko Dekhkar dusre customer bhi aapki Taraf aakarshit ho sake.
Product Rate Mein Bar-Bar Badlav Na Kare :-
Chhote chhote market Mein Kam Karne Wale companiya Aksar Apne products rate ko Lekar chintit rahti hai, aur mol Bhav karti hai. iska Natija unki market value per padta hai, isliye apane Jo Apne product ya service ko Lekar rate fix kiye huye hai unme badlav Na Kare, aur iske liye aap apne information section ya display main bhi is Baat Ko mention Kare ki rate fix hai, Fir Bhi Yadi aapko Apne dwara fix kiye huye Rate Mein badlav Karna Hai, to ek baat Ka Dhyan Jarur Rakhe ki Hamen jaldbazi bilkul Bhi Nahi Karna chahiye, aur na hi Bar Bar Apne product ke rate mein badlav Karna chahiye.
Food Technology क्या है, कैसे बनाएं इसमें Career?
Gair zaroori Software Kon Se Hai?
Fish Farming Business Kaise kare?
Handicraft Our Handloom Business ki Shuruaat Kaise Kare?