Maternity Leave in India 2021 :- Maternity Leave kaise le?
History of Maternity Leave in India 2021 in hindi
Professional life ke alava working woman maa banane ka bhi pura such lena chahti hai. har mahila ke liye maa banane ka such sabse Special hota hai. World Health Organization bhi woman ki is bat ka Support karta hai. WHO ke anusar pregnancy me Children ke Abortion, murder and fetal crisis ka khatra hota hai, jiske liye working woman ko maternity leave matritva avkash diya jata hai.
Agar aap working woman hai, our maa banane vali hai, to aap maternity leave aap le sakti hai. aaj woman ko ham maternity leave ke bare me batayenge. maternity leave kaise lete hain? maternity leave ke liye application kaise dete hai ? maternity leave kon le sakta hai ?
maternity leave kya hai? (What is maternity leave)
maternity leave holiday hai jo working woman ko uski Pregnancy ke liye diya jata hai, taki vah apne bachche ke Birth and newborn Early care ke liye company dvara diya jata hai. working woman ka ye Holiday Paid hota hai, yani ki company iske liye woman ko paise bhi degi. Ab janiye maternity leave ke liye
Maternity Benefit Act 2017
maternity leave ke liye kon eligible hai ? (eligible for maternity leave)
Maternity Benefit sanshodhan Act 2017 ke Under ye Benefit un working woman ko milta hai, jisme woman Staff ke rup me company me last year 80 days tak working ki ho. Holiday period me company payment Daily Wages par karti hai.
Maternity Benefit sanshodhan Act 2017 kya hai?
Maternity Benefit sanshodhan Act 2017, Maternity Benefit sanshodhan Act 1961 ka sanshodhan rup hai. Rajya Sabha me is Bill ko 11 August 2016 our Lok Sabha me 09 March 2017 ko passed kiya tha. Pregnant woman employees ko iska Benefit milne ke liye April 2017 me ise apply kar diya gaya tha. Act ke Under Factories, Shops, government-non-government end Government Registered Establishments me work karne vali woman ko add kiya gaya hai.
Maternity Benefit sanshodhan Act ke Under Company Female staff ko appointment ke samay Maternity benefit ke bare me Written or electronic tarike se Inform karti hai. is Act me kuchh important sanshodhan kiye hai.
Maternity leave ka time kitna hota hai? (Maternity leave time)
– Maternity Benefit sanshodhan Act 2017 ke Under Female employees ko maternity leave time 12 weeks se badakar 26 weeks kar di gai hai.
– Female employees ke yadi pahle se 2 bachche hai,our vah fir se Pregnant hai, to unke liye maternity leave time 12 weeks hoga.
– Three months ya usase kam age ke bachcho ko god lene vali Female employees our Commissioning mothers ke liye Maternity leave ka time 12 weeks rakha gaya hai.
– Commissioning mothers unhe kaha jata hai, jo Serogates se child ko pati hai.
Maternity Act According, Maternity leave kab Start kar sakte hai?
Maternity Benefit sanshodhan Act 2017 ke Under maternity leave Women Estimated Delivery Date se Eight weeks ago our delivery ke bad le sakti hai. Act ke Under two children ke bad yadi Women children ke bare me soch rahi hai, to vah delivery se 6 weeks before our 6 weeks later Maternity leave start kar sakti hai.
Baby adoption karne vali women maternity leave Baby adoption date se start kar sakti hai. Commissioning mothers bhi Baby ane ki date se maternity leave ka Benefit le sakti hai.
maternity leave ke liye Application kese kare? (How to apply for maternity leave)
Working woman Important bato ka dhyan rakh kar maternity leave ke liye Application kar sakti hai.
– Sabse pahle Working woman make sure ho jaye ki apko maternity leave kab se lena hai.
– maternity leave date Fix karne ke bad aap apne Department Head / Manager se is bare me bat kare.
– Department Head / Manager apko company HR Department ya other related departments me contact karne ke liye kahega.
– HR end related department apko Maternal leave related All policies ke bare me batayega, taki apko kisi trah ki koi Problem na ho.
– Maternity leave policy ko samjhane ke bad HR end related department apko maternity leave form Filling karne ke liye kahega. maternity leave form Online bhi ho sakta hai, ya Offline bhi ho sakta hai.
– Ye ek common process hai, jo Government and non-government institutions me bhi ho sakti hai.is process ke liye apko apne Department head ya manager se bat karni hogi.
Kya Maternity leave me Full salary milti hai?
Maternity Benefit Act 2017 ke Under Maternity leave ke samay Female staff ko daily salary ke adhar par payment kiya jata hai. Maternity leave time end hone ke bad yadi koi Female staff Extra leave leti hai, to Firm loss of pay policy ka use karti hai, jisme Extra leave ke liye Female staff ko salary nahi di jati hai.
Maternity leave time end hone ke bad kya hota hai?
Maternity leave time end hone ke bad Female employee act ke Under kai Provisions ka profit le sakti hai.
– Is Act ke Under maternity leave ke 26 weeks end hone ke bad work from home ka Provision hai, jisme Female employee apne ghar se hi Office work kar sakti hai.
– act ke Under 50 employees ya usase jyada employees vali Company Womens Day Care Facility deti hai, ye compulsory hai. is Facility me Women ek din me four times apne children ko dekhne ke liye Day Care Facility ka use kar sakti hai.
Maternity leave ke khatm hone par work par nahi jane se kya hota hai?
Sabhi Women ko ye Question pareshan kar sakta hai. Maternity leave ke khatm hone par yadi koi Female staff office nahi jati hai, to unke sath kya hoga? Maternity Benefit Act 2017 ke tahat 26 weeks ke liye office apko Payment karega, lekin Maternity leave ke time khatm hone ke bad yadi ap office nahi jate hai, to
– Work from home option Select kar sakte hai. jiske liye apko apne office me Head of Department and HR se bat karni hogi.
– Maternity leave ke bad ap Extra leave ke liye application de sakti hai, lekin ye company par Depend karega ki vah apko Paid leave dega ya unpaid. Agar company apko Sick leave or casual leave deti hai, to apko uska payment apko diya jayega.
Pregnant hone par Kya Company owner job se hata sakta hai?
Koi bhi Company Pregnant hone par yadi Female staff ko job se nikal dete hai, to ye Legally invalid hai. esa karne par Company par Maternity Benefit Act 2017 ke Under legal action liya ja sakta hai.
Maternity insurance kaise milta hai? (Maternity insurance)
Maternity insurance Company insurance policy par dependent rahta hai. kai Companya Additional economic burden ko nahi uthana chahti hai. agar Company Employee ko insurance policy me Maternity condition ko bhi add kiya hua hai, to Delivery our Mother and baby treatment our Drug expenses ko policy ke anusar Payment kiya jata hai. is Facility ka use karne ke liye apko apni Company ke HR se bat karni hogi.
Kya Child adoption ya Surrogacy case me maternity leave mil sakti hai?
Agar koi Female staff three months ke Children ko adopt karti hai, ya fir Serogates se Children ko leti hai, to unhe Maternity Benefit Act 2017 ke Under 12 weeks ka holiday diya jata hai.
Kya Female staff 26 weeks ke bad Maternity leave time ko bada sakti hai?
Maternity Benefit Act 2017 ke Under Female staff ko 26 weeks ki Maternity leave di jati hai. agar vah ise our badana chahti hai, to ye company policy par Depend karta hai, ki vah apko Paid leave deti hai, ya nahi. Female staff is Condition me Work from home end loss of pay option ka Selection kar sakti hai.
Maternity leave Start karne ka sahi time kya hai?
maternity leave Start karne ka sahi time Maternity Benefit Act 2017 ke according Delivery Date se 8 weeks pahle ya Delivery ke bad hi Female staff ko Maternity leave Start karna chahiye.
Office Me Rakhe In Bato Ka Dhyan?
office mein Log Khud Ko alag mahsus kyo karte hai?
Office Mein Apna Talent Kaise Dikhayen?
क्या आपके Office में Boss ka बर्ताव खराब है?
एक्सीडेंट दिलाएगा Office से छुट्टी