Board exam me top kaise kare? Topper kaise bane? is tarah ke Question sabhi Student ke man me jarur ata hai.jab ham Study karte hai, to hamare man me bhi ye Question jarur ata hai ki akhir Exams me Topper kaise bante hai?
Jab bhi 10th 12th Board exam ki date ati hai, to sabhi Student jyada Study karne lag jate hai, Lekin kadi mehnat karne ke bad bhi unke Exam marks kam ate hai. aaj ham apko batayenge ki kis tarah ap Board exam me top kar sakte hai. Board exam me top karne ke liye apko kai bato ka dhyan rakhna hoga.
Student Exam special timing :-
Board exam me top karne ke liye apko pahle apna Routine set karna hoga. Apne set Routine ke anusar hi ap apna daily routine ka work kare.
Breakfast: 7.00 pm,
Lunch at 2.30 p.m.
Dinner 9.30
Study Timing: 6 to 8 hours,
Day Timing – 5 a.m. to 8 a.m.,
Evening Time: 6 p.m. to 8 p.m.
Entertaining Time: Walking in Evening
Jyada padhai na kare :-
Sabhi Toppers and teachers ka kahna hota hai, ki jab bhi hame exams me top karna hai, to jitni bhi ham padhai kare vah Effective studies hi kare. Jyada padhai karne ke chakkar me ham kisi bhi subject ko carefully nahi padh rahe hai, to hamari padhai ka koi matlab nahi hai, isliye Toppers kahte hai, ki jyada ki jagah Effective studies par dhyan dena chahiye.
Notes Bana kar kare padhai?
padhai karne ke liye apko Market me kai tarah ke notes mil jayenge. Kai Student Short notes, question bank, etc ka use kar padhai karte hai, jinhe padh kar koi bhi Student 50% se 70% Marks to easily la sakta hai, lekin exam me top nahi kar sakta hai, jiska main reason Short notes ya question bank me all information nahi hoti hai. reason Short notes ya question bank me kuchh Important information and questions hote hai, jinhe padh kar koi bhi Student pass ho sakta hai, Lekin exam me top karne ke liye apko khud ke notes banana hoga. Jab bhi ham khud ke notes bana kar padhai karte hai, to hame vah jyada time tak yad rahta hai. Ham use easily bhulte nahi hai. Jab ham khud ke notes bana kar padhai karenge to, hamare exam me top karne ke Chance jyada bad jate hai.
Regular class me jaye :-
Exam me Topper banane ke liye hame class ko Importance deni hogi. Sabhi Student ke sath esa hota hai, ki unhe koi class bahut achchi lagti hai, to koi class bahut jyada Boring lagti hai. Topper banane ke liye apko Boring class ko bhi Importance deni hogi, jab aap Boring class ko bhi Importance denge to, apko vah class bhi achchi lagne lagegi.
Kai bar kisi class ke Boring hone ki vajah subject bhi ho sakta hai, ya fir ho sakta hai jo teacher apko padha raha hai, vah Teaches slowly speed me apko padha raha ho, our apko vah class Boring lag rahi ho, lekin Teaches chahe jese bhi padhaye vah esa kuchh jarur padhayega jo exam ke liye Important ho sakta hai. Board exam me Topper banane ke liye sabhi concept apke Strong hona jaruri hai.
Sabhi subject ke Basic rule strong Rakhe :-
Board exam me Topper banane ke liye apko sabhi subject ke Basic rule ko strong rakhna hoga. Ek Topper banane ke liye apke liye ye jaruri hai ki exam me kisi bhi Question ko dekh ka aap ye nahi kahe ki apko iska koi Idea nahi hai, our esa tabhi ho sakta hai jab aapke Sabhi subject ke Basic rule strong honge.
Practice and Revision Continuous kare :-
Board exam me Topper banane ke liye apko time management ka bahut dhyan rakhna hoga. agar ap kisi chapter ko Read karne ke bad uska revision nahi karenge, to kuchh tame ke bad ap us chapter ko bhul jayenge. Isliye ap job bhi Read karte hai, to uska revision jarur karna chahiye. Kisi bhi Subject ki preparation karte huye apko Sample papers bhi lagana jaruri hota hai. Student Exam me Complete Paper Solve tabhi kar payenge, jab apko Sample papers ki Good practice hogi. Aap chahe jitani Study kar le, lekin Pen and paper se apne practice nahi ki hai, to ap Exam me complete paper Question solution nahi kar sakte hai. exam me top karne ke liye apko Continuous practice and revision karna hoga.
Responsible and active :-
Agar aap class me Regular and active rahte hai, to ap kam padh kar bhi Good marks la sakte hai. apko class me to bethna hi hota hai, to kyo na ap active rahe our Alert rahe, taki class me Teachers ke knowledge ka pura fayda le. class me Teachers ke Lecture ko dhyan se sune. Jo kuchh samjh me nahi aa raha ho to apne Teachers se Question kare.
Educational goals :-
Agar ap ko Success hasil karni hai, to apko khud se Question karne honge, ham kaha hai? kya isse behtar aur koi jagah hai? hamare yaha hone ka kya matlab hai? koshish kare ki ap in sabhi Question ke answer de sake, kyo ki in Question ke answer me hi College life ki success chupi hui hai.
Questions kare :-
Knowledge lene ke liye hame Questions karna hoga, tabhi hame kisi bhi chij ka sahi Knowledge mil payega. Questions puchane ke 2 fayde hote hai. first ap Professor ke Lecturer ko dhyan se sunte hai, our Second ap apne Professor ka dhyan apni taraf Attracted karte hai. is tarah ap ek Best student ban sakte hai. Life me kisi chij ko hasil karna hai, to hame uske pichhe hath dho kar pad jana chahiye. Kabhi bhi Questions karne se ghabrana nahi chahiye, koi bhi Questions bekar nahi hota hai, uasse apka Knowledge badta hai.
Student and Professor Ak Team :-
Student and Professor ko Ak Team ban kar work karna chahiye.apki soch our apke Professor ki soch ek hi honi chahiye, kyo ki ap bhi vahi chahte hai, jo apke Professor chahte hai. ap apne Professor ke notes Read kare our good grade laye. Jab ap good grade layenge to, apke Professor ki mehanat Successful hoti hai.
Class Room me pichhe bethne se bache :-
Class Room me aksar Student pichhe bethne ke liye ladai karte hai, lekin vah bhul jate hai ki vah apne Future se hi khilvad kar rahe hai. Class Room me pichhe bethne se ap apne Professor se Direct Contact me nahi aa pate hai. our apka bhi dhyan padhai me nahi lagta hai. ab apko hi Decide karna hai, ki apko Class Room me kaha par bethna hai. agar ap Class Room me pichhe bethkar padhai me dhyan nahi de rahe hai, to ap apna samay kharab kar rahe hai.
Notes ka Use kare :-
Successful student hamesha Notes ka Use karte hai. Notes se Study karna kafi easy ho jata hai. apko apne Notes is tarah banana chahiye jinhe padhne me apko kisi tarah ki koi pareshani nahi honi chahiye. Jitne achche apke Notes honge utna achha apka Exam performance hoga. Exam ke time par jaha apke friend Notes banane me lagenge us smay ap pahle se bane apne Notes se Study kar sakte hai.
Kisi se Comparison na kare :-
Students kabhi bhi apne numbers ko dusro se compare nahi karna chahiye. Aapki ladai dusro se nahi khud se hai. koshish kare ki ap jitne Number pahle late the. Usase jyada Number lane ka pryas karna chahiye.
syllabus ko sath me rakhe :-
exam me jyada Question syllabus me se ate hai. agar ap Good marks score karna chahte hai, to Syllabus related books apne sath me rakhe.
Mistakes se sikhe :-
Try kare ki apne jo Mistakes last exam me ki unhe repeat na kare. Hamesha apni mistakes se kuchh sikhne ka pryas kare.
Manage karna sikhe :-
Time apke liye bahut bada dhan hai. isliye ap time ki kimat ko samjhe our uska pura use karte huye Manage karna sikhe.
Student exam focus tips in hindi
– agar ap 8 hours Sleep karte hai, to koshish kare ki ap 6 hours me apni nind ko pura kare.esa karne se apka 2 ghante ka time bach jayega, our ap jyada padhai kar sakenge.
– Morning ke time Mantle preparation vale subject Read kare, kyo ki vah Long time tak yad rahte hai.
– Meths, Physics, Science questions ke solution kare. Apne Friends ki bhi Help le.
– Conching Center ko chhodkar apna Full Focus Self-Study par lagaye.
– 12 hours me se 8 hours studies kare.
– All subject ki studie ke liye Time management kare. Our dhyan rahe ki Hindi and English subject ko reading karna na bhule. Kyo ki yahi vo subject hai jinse apke Percentages badte hai.
Exam time me rahe relax :-
Exam time me kai Student Stress lete hai, lekin esa nahi karna chahiye. Apko Exam time me relax rahna chahiye, taki apka man Study me laga rahe. Jab bhi ap Study kare to dhyan rakhe ki apko kisi tarah ki koi Disturbance na ho.apna pura dhyan Study par hi rakhna chahiye.
Exam time me Student kaisa khana khaye?
Sabhi Student our unke parents ko is bat ki chinta rahti hai ki vah apne bachcho ko Exam time me kaisa khana khilaye? Exam time me students Liquid khana jyada khaye, taki unhe Stress and dehydration problem na ho. Parents is bat ka dhyan rakhe ki unka bachcha bar bar pani piye. Exam Time Breakfast Speak nahi hona chahiye. night me sleeping time par dark chocolate le sakte hai. Din me Dry Fruit dena chahiye. Concentration level High karne ke liye Green vegetables khana chahiye. Exam time me Student ko jo pasnd ho vahi chije banana chahiye. Exam time me Student ka concentration High karne ke liye Parents tea and coffee se bachaye. tea and coffee ki jagah ap apne bachcho ko Flavored milk bhi de sakte hai. Students Chewingham na khaye. Apni nind ka pura dhyan rakhe our Nutritional diet jarur le.
Study every day kare :-
Yesa possible nahi hai ki apne pure sal kuchh bhi nahi padha our last ke Two months me padh kar aap 98% marks la sakte hai. yadi aap pure sal padhai karte hai, our 60% marks late hai, to 2 months me din rat padhai kar 80 ya 90% marks la sakte hai, lekin 98% marks lana apke liye Impossible hota hai. 98% marks ke liye apko pure sal din rat hard work karna hoga. tabhi ap Exams me ache marks la sakte hai. jo Student aaj ki padhai kal par tal dete hai, vah kabhi bhi 98% marks nahi la sakte hai. apko apna kam sahi samay par karna hoga tabhi ap apne target ko hasil kar sakenge.
Self study :-
School & Coaching me kuchh bhi padha jaye, hame koi kitna bhi padha de, kaise bhi bada de jab tak ham khud se nahi padhenge tab tak kuchh bhi nahi hoga. best Exam marks lane ke liye apko Self study karni hogi.
Smart work :-
Padhai hame kisi ko dikhane ke liye nahi karna chahiye, jaruri nahi hai ki kisi ko dikhane ke liye ham 18 to 20 hours ki study kare. Ap ek month me 1 ya 2 bar hi 18 to 20 hours ki study kar sakte hai. Everyday 18 to 20 hours ki study karna Impossible hota hai. ap job hi padhe use likh kar our samjh kar padhna chahiye.
How to top 10th / 12th board exam
– every day Study karna.
– Khud par Trust karna.
– Teachers ki Respect karna .
– Test paper solution karna.
– exam hall me Tension free rahna.
– exam hall me Revision jarur kare.
Summary :-
Ye thi kuchh Important bate jo board exam me Top karne ke liye Student ke liye jaruri hai. Class me discipline, Khud ke notes se Study karna, Continuous revision karna ye sab bate Board exam me top karne ke liye jaruri hai, ye hi Student ke liye safalta ka mul mantra hai.