Kisi Bhi Photo Ka Background Kaise Change Kare?

how to change background of photo in hindi

Online Photo Ka Background Kaise Change Kare?

Market me best Photo khichne ke liye ek se bad-kar ek camera aa gaye hai. Aaj ke samay me smartphone me bhi High quality camera aa gaye hai. Jisse ham apni pasnd ki Photo khich sakte hai. Lekin kai bar ham apne High quality camera se achhi Photo to khich lete hai lekin Background ki vajah se us Photo ka Look achha nahi aata hai.

Internet par kai ese App mojud hai jisse ap Photo ka Background badal sakte hai, lekin unme kafi samay lagta hai.kai bar kafi mehnat karne ke bad bhi ham jesa chahte hai vesa Background aa nahi pata hai.

Aaj ham aapko ek ese tool ke bare me batane ja rahe hai, jiski sahayta se aap mushkil Background ko bhi 2 seconds me Change kar sakte hai.

Photo ka Background kaise Badle? (change background of photo)

Photo ka Background Online Website se badlna? (Change background of photo from online website)

– Photo ka Background hatane ke liye hame www.remove.bg website open karna hoga.
– Is website par photos upload karne ka option ayega.
– Jis photos ka Background remove karna hai vah photos vaha upload kare.
– Jis photos ka Background remove karna hai vah kisi website se le rahe hai to uska URL bhi yaha dale.
– Apki photos upload hone ke 2 Second bad hi uska Background Change ho jayega, sath hi vah png me Convert ho jayega.
– Photo ka size 613×408 rakhe ya fir full image size kar de.

photoshop se photo ka background kaise badle? (how to change background of photo from photoshop)

– sabse pahle photoshop open kare.
– Photoshop me Laaso Tool Select kare.
– Is Tool me Polygonal Laaso Tool our Magnetic Laaso Tool two options hote hain.
– In tools ki help se ap Photo ke us Part ko Random ya auto select kare jise apko hatana hain.
– Ap Pen Tool bhi Use kar sakte hain.
– Alt Key se is tool ko chalaya jata hai.
– First layer ke liye One point select kare Second point ke liye Alt Key ko press kare.
– photo ka background Highlight karne ke liye us par Ctrl + Ent key ek sath dabaye.
– Layer select hone ke bad select Area ko (Cut option) Ctrl+X se Cut kar dijiye.
– Apke samne apki photo bina background ki hogi, ab ap apni marji ke anusar koi bhi background apni photo ke pichhe laga sakte hai.

Google Photos Me Private photos Hide Kaise Kare?

Photo Pose for Man/Woman :- Best Photo Click Kaise Kare?

Best HD Photo Download Search Engine

Smartphone के लिए Best Photo Editing App

data-full-width-responsive="true">