Train Ticket Me Passenger Name Change Kaise kare?

India me journey ke liye sabse secure Railways ko mana jata hai. Digital india skim ke bad har kam Digital ho gaya hai. ab har koi Railways me journey karne ke liye Online ticket book karvata hai, taki unhe kisi tarah ko koi Problem na ho. Kai bar ham ticket book to karva lete hai, lekin us date par journey nahi kar pate hai. is sthiti me hame apni journey ko Cancil karna padta hai.

Ab train me yadi ap Fixed date par journey nahi karna chahte hai, to apko apna ticket Cancil karne ki jarurat nahi hai, bali ap apna ticket kisi our passenger ke name par Transfer kar sakte hai. e-ticket me Passengers ka name Change karne ke liye Indian Railways ne ek Facility di hai.

apne ticket ko Cancil na karte huye kisi our passenger ke name par Transfer karne ki ye Information apko IRCTC ne apni Official website irctc.co.in par bhi di hui hai. halaki apne ticket me Change karne ke liye apko Railway reservation office jana hoga.

IRCTC ki is Facility ka use karne ke liye passenger ko apne ticket par name Change karne ke liye train ke time se 24 hours pahle Railway Reservation Office me jakar is bat ki jankari deni hogi.

Electronic Reservation Slip ka Print Out ke sath passenger ko apna identity card bhi sath me rakhna hoga. IRCTC ne e-ticket me Passenger Name Changes ke bare me kuchh important bate bhi batai jinhe janana apke liye bahut jaruri hai.

E-ticket me Passenger Name Changes kaise kare? (How to change the passenger name in the ticket)

– E-ticket me Passenger Name Changes karne ke liye apko pahle apne Ticket ka print out nikalna hoga.
– Ab apko apne ticket par apne name ki jagah jis Passenger ka Name likhvana hai, unka ek Original ID Proof le kar Railway Reservation Office jaye.
– Railway Reservation Office me ap Counter officer ko Original ID Proof dikhate huye apne name ki jagah Ticket me new Passenger Name Changes karne ka kahe.

Family member ko Railway Ticket Transfer kaise kare? (How to transfer railway tickets to family members)

IRCTC ke new rules ke anusar ap apne Family member ko Railway Ticket Transfer kar sakte hai. iske liye apko sirf apne Ticket ke print out ke sath Reservation desk par jana hoga. Railway Reservation Office me desk par apko Ticket ke print out ke sath us vyakti ka Original ID Proof dikhana hai, jisake name ap apna Ticket Transfer karna chahte hai. dhyan rahe apko Family member ke name apna Ticket Transfer karane ke liye Blood relation proof bhi Counter officer ko dikhana hoga. Counter officer apni taraf se confirm karne ke bad apka Ticket apke Family member ke name par Transfer kar dega.

Sirf inke name Transfer kar sakte hai Ticket? (Railway Ticket kise Transfer kar sakte hai)

Passenger ke sirf blood relation valo ko hi railway Ticket Transfer kiya ja sakta hai. is list me Mother, father, brother, sister, son, daughter, husband and wife ka name add hai. aap sirf inhi ke name par apna railway Ticket Transfer kar sakte hai. railway Ticket Transfer karne vale Passenger ko AK Letter, Original Electronic Reservation Slip, our apne Family members ka ek Photo I card and blood relation proof ko Ticket counter par dikhana hoga.

Passenger yadi Government Officer hai, our vah Government duty par jar aha hai, to Official order se Boarding station name changed kiya ja sakta hai. Passenger is bat par dhyan de ki esa aap sirf ek hi bar kar sakte hai.

Name Transfer karne ka Easy tarika kon sa hai? (Relave Tikat transfer karne ka aasan tarika)

Railway ticket transfer karvane se pahle apko sabhi Document ki Original our 2 Photocopy Set taiyar kar lena chahiye. Sabhi Document ke Set taiyar karne ke bad apko ak bar unhe sahi se Check kar lena chahiye.ek Application Form Chief Booking Office ke name se banaye. Main Reservation Office Station Manager se mile. Reservation Office Station Manager apke sabhi Document ko Check karega our un par Comment likhega.

Comment me Station Manager jis Passenger ke name ticket transfer ho raha hai uska name likha jayega. Yadi apko apni train Change karni hai, to Comment me train ke Number bhi likha jayega. Station Manager ke Comment ko achche se Check kar le kyo ki Station Manager ke Comment likhne ke bad us par signature and seal lagate hai.

Ab apko ye sabhi Document Chief Reservation Supervisor ke pas Check karne ke liye le jana padta hai. Chief Reservation Supervisor sabhi Document Check karne ke bad apne computer par Name our station change kar deta hai. jiske bad vah apke Ticket par bhi ise change kar seal and signature kar dete hai.

Railway ticket par journey Date kaise change kare? (How to Change the Date on Railway Ticket)

Railway station counter par book ki gai ticket par journey Date change karne ki Facility bhi Indian Railway deta hai. Railway ke Portal par apko ye Information mil jayegi. Confirm / RAC (Reservation Against Cancellation) / Waitlist Tickets par journey Date ko change kiya ja sakta hai, lekin iske liye apko fixed fee Payment karna hoga. dhyan rahe ki aap esa sirf us smay kar sakte hai jab ap apna ticket Offline book karte hai. Indian Railways e-ticketing unit IRCTC (Indian Railway Catering and Tourism Corporation) online Book kiye gaye ticket par bhi aap is Facility ka use kar sakte hai.

Train journey ki duri kaise badaye? (How to increase the distance of the train journey)

Yadi apne indore se Delhi tak ke liye train Ticket book karaya hai, to aap chahe to aap Delhi se age journey karne ke liye apne Train Ticket ko badva sakte hai. esa karne se pahle apko Ticket checking staff se apne Last station se pahle bat karni hogi.ya aap apne Last station par bhi apni journey ki duri ko bada sakte hai.

Boarding Station and Passenger Name kaise Change kare? (How to change boarding station and passenger name)

Passenger IRCTC website par jakar Account login kar Boarding Station ka name bhi Change kar sakte hai. yadi apne Offline mode par Ticket book karte hai, to ap is Facility ka use nahi kar sakte hai. yadi apne apna Train Ticket Online book karvate hai, to ap apne Ticket ka Boarding Station Name Change karva sakte hai.

IRCTC website se Online Boarding Station se Name kaise Change kare?

– IRCTC website par Id and password se log in kare.
– booking ticket history option par Click kijiye.
– correct booking Select kar Boarding Point Name Change kare.
– Change boarding point par Click kare.
– User ko Change Boarding Point Page par Navigate kar diya jata hai.
– New Boarding Point ya fir Station Select kijiye.
– Iske liye apko Boarding Station Section drop down karna hoga.

Online Ticket me Passenger Name kaise Change kare? (How to change the passenger name in the online ticket)

Railway current rules ke anusar Confirmed E-Reservation Ticket par Passenger ko Name Change karne ki Permission deta hai. Passenger train departures se 24 hour pahle Railway Reservation Office me jakar iske liye application de sakte hai. Book train ticket me passenger Name Changes karne ke liye apko Railway Reservation Office jana hoga. apko train ticket me Trip date cancelled karne ya use Change karne ke liye apko Station counter par jana hoga.aap apne Ticket par Date change sirf ek hi bar kar sakte hai.

Book ticket me journey date change karne ke bad apko apna Ticket Reservation Counter par Surrender karna hoga. Passenger is bat ka dhyan rakhe ki vah journey date change Train departures se 2 day pahle karvaye.

Ticket me Passenger Name Change karne ki Terms and condition kya hai? (Terms and conditions for Passenger name change on Ticket)

– IRCTC ke According apko train opening se 24 hours pahle Reservation counter par jana hoga.
– Kisi reason se ap train journey nahi karna chahte hai, to ap apna Confirm ticket Family members (Parents, brother – sister, son – daughter, husband-wife) ke name par Transfer kar sakte hai.
– Journey ke liye Train Ticket par Railway reservation counter se railway rules ke According Reservation Counter Staff Passenger Name Change kar deta hai.
– Apko name Change karne ke liye Photocopy of electronic reservation slip ke sath Original id proof sath me le jana hota hai.
– Indian Railways us samay apko boarding station me name Change karne ki Permission nahi deta hai, jab apne offline mode par Tickets (reservation counter) book kiya ho.
– Passenger ne yadi IRCTC website se online ticket book karvaya hai, to aap 24 hours pahle Boarding station name change karva sakte hai.

data-full-width-responsive="true">