Fake Job And Real Job Ki Pahchan Kaise Kare?
How to identify fake job and real job?
Bharat Main berojgari ki sankhya bahut jyada badh gai hai. Aisa Mein internet ke chalet Kai dhokhebaaz log berojgar yuvaon ko Aise job offer kar rahe hai, Jinka Koi Astitva hi nahi hai. is Dhokha Dhene Mein sabse Jyada college se HAL hi Mein pass out ho gaye student aur Engineering College Karne Wale Chhote shahron ke Yuva Fas rahe hain.
badi badi companiyan aur New job portals aur embassies mein apni website per aavedan job ke naam per Dhokha Dene Wale Is Tarah Ke Logon se bachne ke liye bahut Sare Important advisory bhi Jari ki Hui Hai.
College se HAL hi Mein pass out Huye student new job searching karte hain, aur Aise me unke pas Nai Jab ya job se related fake call Aate Hain, to yah fake job batane wale Logon ke chungle mein badi aasani se fas Jaate Hain. Is Tarah Ke job call ya mail se bachne ke kai tarike hote hai. aap In Tariko Ke use kar fack job offer se bach Sakte hai.
Dhokha Dene Ke Tarike kya hai?
Adhiktar Dhokhebaj Apna Shikar khojne ke liye online job portal sabse Aasan aur Saral Tarika mante Hai.Jab Bhi Hame job ki jarurat Hoti Hai, To Ham online job search karte hain, aur Hamen jo bhi job portal website milti Hain vahan ham Apna login ID login kar lete hai, aur apne personal Jankari ko share kar dete Hain. Is Tarah Ki fak job websites Hamare personal data ko collect Karte Hain aur Hamen nakli job offer karne ke liye mail ya Text message karte hain.
Fake job offer kaise karte hain?
– Sabse pahle Dhokebaaz Lok Job Recruitment site Se Sabhi aavedan Karne Wale Logon ki profile ko prapt Karte Hain.
– In site se Sabhi candidate ko dhundh kar unhen email Karte Hai.
– vah Khud Ko job consultant ke Taur per batate Hai, aur nakli website Banakar asthai office Khol Lete Hain.
– vah Sabhi Avedan ko unke Bank account me registration fees deposit transfer karne ke liye Kaha jata hai.
– Candidate ko Bharosa dilane ke liye vaha online ya telephonic interview rakhte Hai.
– Sabhi candidate ko fake appointment letter banaa kar Diye Jaate Hain aur unhen apne Jaal Mein dhokhebaaz log Puri Tarah Se fasa Lete Hai.
Fake And Real job ki pahchan kaise kare?
Yadi aapko job offer ki ja rahi hai, to sabse pahle aapko use job ke bare mein Puri Jankari Collect Karni chahie. office se lekar vahan ke karmchariyon Tak Har chij ki Sahi aur satik Jankari hone ke bad hi aap office mein job ke liye jaye. Fake aur real job ki pahchan karne ke Kai tarike Hote Hai, yah Jante Hai Kis Tarah aap Fake And Real job ki pahchan kar sakte hai ?
Jyada salary :-
Kai bar aapko aapki qualification aur Anubhav se bahut jyada salary Di Jaati Hai, Ya fir market Trend ke anusar aapko bahut jyada office ki taraf se Salary offer Ki Jati Hai, Aise main aapko thoda Savdhan hone ki jarurat Hoti Hai, Is Tarah Ki job Fake ho sakti hai.
Normal Mistakes:-
Yadi aapko aapke job ke according Koi Mail kiya gaya hai, aur use Mail mein Spelling ki mistake, Grammer ki mistake, aur English language ka galat istemal yah darshata Hai, Ki aapko bheja Gaya E-Mail ya later Ke jariye job offer ki gai hai, vah Mail our job Fake hai.
Paiso ki Demand karna :-
Koi bhi job portal aapko Naukari dene ke liye paise Nahi leta hai. yadi aapko job ke according Koi E-mail aaya hai, aur vah aapse Paise Ki Mang karta hai, to aapko Savdhan hone ki jarurat hai Kyun ki koi bhi job portal Kisi bhi candidate se paise Nahi leta hai.
Skills miss match :-
company ke dwara aapko jo post Di gai hai, uske liye Jaruri qualification aur skills ke sath yogyata Ka Match Nahi Hona aapko yah Sanket deta hai, ki is job Main Kuchh Na Kuchh To Gadbad Hai, Aisi job Fack job ho sakti hai.
Interview :-
Yadi aapko job ke liye milane wale E-mail ya later Mein Bina Kisi Personal interview ke company aapko direct job Dene Ki Baat Karti Hai, To yah job Fack ho sakti hai, Kyunki koi bhi Company ya job portal Bina interview ke kisi ko bhi Naukari Nahi deta hai.
Naam and Signature :-
Jab aapko job ke according appointment letter Diya jata hai, aur usmein Naam main aapko mistake dikhti hai, to aapko job offer Dene Wali company Fake ho sakti hai. is condition mein aapko job offer karne wale pad ki puri Jankari prapt kar lena chahiye.
Fake job Se Kaise bache?
Sabhi companiya Apne jobs ke bare mein Main Apni adhikarik website per advertisement karti hai, isliye aapko Kahi Se bhi milane wale email ya call per Dhyan Nahin Dena chahie. yadi aapko job chahie to aap in companiyon ke official career page per Jaye aur vaha se aavedan kar sari pareshani Se Dur Rahe.
Jab aap in job portals per aavedan Karte Hai, To sabse pahle aap is bat ke liye Shure ho jaye ki Aap Jo resume upload kar rahe hai, vah original website per ja raha hai ya nahi. videshi naukariyo ke bare mein janne ke liye ya FIR Sarkari portal ya use desh ke sthaniya job consultant ki madad Lena bahut hi jaruri hai.
aap Ko Kisi bhi agent Ke Chakkar Mein Nahi Fasna chahie, yadi aap agent Ke Chakkar Mein Phas Gaye to agent bhi aapse job dilane ke liye paiso ki demand Karenge Jo galat hai.
Big offer :-
office mein yadi aapko 70 se 80 pratishat Tak ka increment diye jaane ki baat ki jati hai, our apke Anubhav Se Jyada aapko salary dene ki baat karna, market trend se hat kar aapko Kai Tarah Ki suvidhaen Diye jaane ki baat karte hai, to ye Fack job ke Lakshan ho sakte hai. Yadi aapko Bina Kisi interview ke offer letter Diya jata hai, to aapko offer ko Lena Nahi chahie.
yadi Aap Ko Kisi Tarah ka doubt hota hai, to aapko direct company ke registered office mein jakar vahan ke employee Se Milkar baat karna chahie. yadi aapko bina Board vali company me bulaya jata hai, ya Bina company ke Signage wale Sthan per Bulaya jata hai, to aapko vaha Nahi Jana chahie.
clear post ke liye Kare Apply :-
Jab Bhi aap Kisi bhi job ke liye avedan karte hai, to aapko CV aur cover letter taiyar karte hue job ya Apne pad Ka usmei clear ullekh Karna chahie. job ke liye Hame prapt hone wale sthan aur Hamen bheje Gaye mail main me sabhi bato ka hona bahujt jaruri hai, agar apko mail me kisi bhi tarah ka doubt hota hai, to yah job nakli ho sakti hai.
Ledline ka Kare use :-
Yadi Aapko job offer Kiya Gaya Hai, To sabse pahle aapko use company ke registered Landline phone per call kar job ke bare mein baat karni chahiye. jis vyakti Ne aapko job offer Ki Hai vah vyakti us Company me maujud hai ya nahi, Sath hi vah Post company mein hai ya nahi Jiske Liye aapko job offer ki gai hai is bare mein bhi aapko Puri Jankari Lena bahut hi jaruri hai.
Paise Kabhi Bhi Na de :-
job portal employees yah company hiring process ke kisi bhi stage per candidate se paise deposit karne ke liye Nahin kahati Hai, yadi aapko Koi job offer karta hai aur registration document verification ya FIR security deposit ke naam per Koi Paise Ki demand karta hai, to unhen aap kabhi bhi paise Na De Kyunki vah Fake job hai.
Business और Job में क्या अंतर है, क्या करना हमारे लिए है बेहतर!
Life ko Aasan Banate Hai ye search
Business Sahi Tarike se Kaise Kare?
Cement Industry Mein business kaise kare?