Government ne citizens ko dhyan me rakhte huye Online FIR registered karne ki Facility di hai. dhyan rahe ki Online FIR kisi Special person ke khilaf registered nahi ki ja sakti hai, ye sirf unknown people ke khilaf hi aap Online FIR registered karva sakte hai. aap Online FIR registered karne ke bad apni FIR ka print bhi nikal sakte hai. ap apni Online FIR ke print out ka kahi bhi use kar sakte hai.
Online registered FIR ke adhar par aap apni khoi hui vastu ko vapas prapt kar sakte hai. Online FIR se aap Mobile sim, driving license, Aadhar card, bank passbook etc ki FIR registered karva sakte hai. kai logo ko Online FIR ke bare me pata nahi hota hai. yadi apko bhi Online FIR Kaise Kare? Malum nahi hai, to aaj ham apko is bare me batane vale hai.
Aaj ke samay me har kam Online ho raha hai. har koi online shopping, form filling ke kai kam kar rahe hai, lekin kai logo ko is bat ki Information nahi hai ki Online FIR bhi Darj karai ja sakti hai. kai bar ham Unknown people ke khilaf FIR Darj karvane ke liye Police Station jate hai, lekin ab apko Complan likhane ke liye Police Station jane ki jarurat nahi hai.aap easily Online apni FIR Darj kara sakte hai.
Hamare desh me Police Station me Complan Darj karvana sabse badi Problem samjha jata hai, kyo ki iske liye hame Police Station jana padta hai. vaha ja kar hame hamari bari ka intejar karna padtha hai, our jab hamari bari ati hai, to Police ke kai Questions ke answer dene hote hai. in sab Problem ke karan hi kai log to Police Complan karne bhi nahi jate hai. logo ki in Problem ko samjhte huye hi Online FIR karne ki ye Facility start ki gai hai.
IMPORTANT DOCUMENT FOR ONLINE FIR :-
Online FIR ke liye apke pas kuchh important DOCUMENT ka hona bahut jaruri hai.
– Online FIR karne ke liye apke pas ek Valid email id ka hona bahut jaruri hai.
– Apko Online FIR karne ke liye Active mobile number ki bhi jarurat hogi.
FIR kya hai? (what is FIR)
Police ko apne sath hui kisi bhi tarah ki incident (case) ki Information Darj karana hi FIR kahlata hai. Indian government ke According FIR sabhi Indian Citizen ka adhikar hota hai. lekin Police station ke bar bar chakakr lagane se bachne ke liye kai log kai incident (case) ko ignore kar dete hai, our unki Report Police station me nahi likhvate hai, lekin ab apko pareshan hone ki jarurat nahi hai.
Department ne is tarah ki chhoti moti incident (case) ke liye Online FIR start kiya hai. yadi apka Mobile chori ho gaya hai, laptop chori hona, Car chori hona, bike chori hona, pan card chori hona, atm card chori hona jese case ke liye apko Police station jane ki jarurat nahi hai. aap apni complaint Online FIR ke madhym se apni Report Police station me likhva sakte hai.
Online FIR kya hai? (what is Online FIR)
Online FIR karne se pahle apko ye janana jaruri hai, ki Online FIR kis bare me Darj ki ja rahi hai. sabse pahle apko apni FIR ke bare me puri jankari hona bahut jaruri hai.
– Apni Identity ko chhupa kar kisi bhi incident (case) ya galat activities ki Information dena.
– Unknown dead body ya missing person ke bare me Information dena.
– Engine Number, Registration Number or Chasing Number ki Help se chori kiye gaye Bike ya kisi bhi tarah ke vahan ki Information dena.
Online FIR Kaise kare? (How to Registered online FIR)
Online FIR karne ke liye apko kuchh Easy Steps Follow karni hogi, Jiske bad ap apni FIR ko Online likhva sakte hai.
Step 1:- Visit Website
Sabse pahle aap jis state me rahte hai, us state ki Police official website open kare.
Step 2 :- File Complaint Option
official website open karne ke bad Civil service ya complaint registration ke Option ko open kare. Dhyan rahe ye Option har state ki Police official website hone ke karan alag-alag ho sakta hai.
Step 3 :- Register FIR
Yadi aap pahli bar Online FIR Darj kar rahe hai, to apko New User par Click karna hoga. aap apne Mobile number and email Id se Login Account Create kar sakte hai. yadi ap pahle se hi register hai, to apko User ID and Password se Online FIR Registration page open kar sakte hai.
Step 4 :- Fill Details
Online FIR application form me apko all information jese incident (case) location, Time, type sabhi bato ko sahi se Fill karna hoga.
Step 5 :- Submit FIR
Online FIR application form me apke dvara di gai All information ko fill karne ke bad use ek bar Check karke Submit par Click kar de.
Step 6 :- Enter Verification Code
Jab ap FIR application form ko Submit kar dete hai, to apse Verification code ko Enter karne ke liye kaha jayega. Dhyan rahe Verification code apke Registered Mobile Number par Send kiya jayega. Ab ap apni FIR ki Online Copy ko bhi nikal sakte hai.
Online FIR Status kaise Check kare? (How to check Online FIR Status)
Apke dvara ki gai Online FIR ka Status Check karne ya fir apni FIR ki Process ke bare me janane ke liye ap apne state ke Police official website link se pata laga sakte hai.
Police Station Official Website Link
– Online FIR MP -: citizen.mppolice.gov.in
– Online FIR in UP -: uppolice.gov.in
– FIR Online Haryana -: haryanapoliceonline.gov.in
– FIR Online Delhi -: delhipolice.nic.in
– Online FIR Rajasthan -: police.rajasthan.gov.in
– Online FIR Bihar -: biharpolice.in
Online FIR karne ke bad ap apne pas FIR COPY ko Safe rakhe. Online FIR Register hone ke bad FIR COPY generated hoti hai. ap uska Screenshot le sakte hai, ya fir print out bhi nikal sakte hai. FIR Darj karane ke bad FIR Number diya jata hai, jise apko note karke rakhna hota hai. jiska use kar aap bad me kabhi bhi apni FIR ka Status Check karne ke sath Complaint update bhi dekh sakte hai.
Aap Police Station me jakar bhi apna FIR Number dikhakar uske bare me puchh sakte hai. pahle jab Police Station me ja kar Offline FIR Darj karvate the, to Police FIR Darj karke FIR Number nahi deti thi. Jis vajah se vah apni complaint ke bare me kisi se kuchh puchh bhi nahi pate the, lekin jab se Online FIR Facility start hui hai, logo ko is Problem se ajadi mil gai hai. Online FIR Darj hone ke bad Police apne kam se pichhe nahi hat sakti hai. unhe apka kam karna hi padega.
Online FIR Darj karne ke nuksan kya hai ? (disadvantage of Online FIR)
– Har koi Police ke samne jhuth bolne se ghabrata hai, lekin Online FIR Darj hone ke bad har koi easily tarike se Police se jhuth bol sakta hai, iske karan har koi kisi par bhi galat Aarop laga sakta hai.
– Online FIR ka use kar koi bhi kisi ki bhi Image ko kharab kar sakta hai.
– Online FIR ka use vo log nahi kar sakte hai, jinke pas Internet facility nahi hai. kai log gav me bahut dur rahte hai. unhe Internet ke bare me kuchh bhi nahi pata hai, ese log is facility ka use nahi kar sakte hai.
– Har koi Online FIR Darj karvayega, to FIR ke Number bahut bad jate hai.
– Kaha jata hai ki india me jitney log FIR Darj karvate hai, unme se 10 % log to Fake case Darj karte hai. Online FIR ho jane se ese logo ke liye FIR karna asan ho jayega.
– Online FIR hone se Political virodhi dusre virodhi Cast par FIR Darj karva sakte hai.
Online FIR Darj karne ke fayde kya hai? (Benefits of online FIR)
– Online FIR ke jariiye har koi easily case Darj karva sakte hai, Online FIR hone ke bad police bhi investigation ke liye mana nahi kar sakti hai.
– Aap police ke dvara kiye jane vale inkar se bach jayenge.
– Kai log police ke pas jane se ghabrate hai, lekin Online FIR ho jane ke bad apko kafi Profit ho sakta hai.
– Women ke liye Online FIR kafi Beneficial sabit ho sakta hai, kyo ki Women apne upar ho rahe atyachar ki bhi Online FIR kar sakte hai.
Jamini level :-
Kai log Fake FIR Darj karvate hai, ese logo ke khilaf IPC section 182 ke Under Punishment me 5 years ki saja ho sakti hai.sath hi is tarah ki FIR Darj karvane vale logo ke khilaf our bhi sakht Law ban sakta hai.
Important Things of Online FIR
– Incident hone ke bad Immediately FIR Darj karvana chahiye, yadi kisi karan ki bvajah se FIR Darj karvane me deri ho jati hai, to apko Form me is bat ko Mention karna hoga.
– Complaint ki 4 copies carbon sheet par honi chahiye.
– Complaint likhane ki Language simple hona jaruri hai, taki har koi apki bato ko sahi trah se samjh sake
FIR likhvate samay apko kin bato ka batana chahiye?
– Aap jo Information de rahe hai vah Information our kise malum hai.
– Crime ka Criminal kon hai.
– Criminal ne apke sath kis tarah ka Crime kiya hai.
– Crime hone ka sahi time kya tha?
– Crime kis jagah hua hai.
– Crime kis tarike se hua hai.
– Crime ke samay koi witness vaha par tha kya?
– Crime se hone vale loss ki Full information apko batana hoga.
Online FIR Darj karne ke bad kya hota hai? (After Process to Online FIR)
Jab aap Online FIR karva dete hai, to apko Police Station Incharge 24 Hours ke andar hi call karte hai. ap chahe to Police Station ja kar bhi apni FIR ka Status check kar sakte hai, ya fir Online hi FIR ko track kar sakte hai.
kya FIR Darj karvana jaruri hai?
Supreme Court ke anusar apko FIR Darj karvana compulsory hai, yadi Police officers FIR par action nahi lete hai, ya fir Police officers FIR likhne se mana karte hai, to unke khilaf Supreme Court action le sakta hai. Court ke anusar FIR Darj hone ke one week ke andar hi inquiry Complete ho jana chahiye. Police kisi ki bhi FIR Darj karne se mana nahi kar sakti hai. FIR Darj nahi karna bhi ek Crime hai.
SBI Credit Card Kya hai, Online apply for SBI credit card
Mobile पर कब तक Online Class लेते रहेंगे आपके बच्चे, use करें ये Tablet
Online Medicine Order कैसे करे?
Online shopping करने से पहले ध्यान रखें ये बातें