WhatsApp and personal chats safe kaise rakhe?
How to secure your WhatsApp and personal chats in hindi
smartphone me messaging app WhatsApp ka hana koi nai bat nahi hai. Jab bhi user new smartphone leta hai to sabse pahle usme WhatsApp Download kar install karta hai. Ham kah sakte hai ki user ke liye WhatsApp ek jaruri app ho gaya hai. Kai user is app ka use Chatting ke sath official work me bhi karte hai.
User smartphone par hi nirbhar ho gaya hai. Esi sthiti me har koi chahega ki unka WhatsApp Secure ho. Har user chahta hai ki unke Personal Chet and Official Work ko koi our na dekhe. Lekin jab apka phone chori ya ghum ho jata hai to har koi pareshan ho jata hai.
User ka phone chori ho jata hai to, apko ghabrane ki jarurat nahi hai. Aaj ham apko kuchh esi tricks ke bare me batayenge jisse ap apna WhatsApp Secure kar sakte hai. To chaliye jante hai ki kis tarah aap apna kis tarah aap apna whatsapp Secure kar sakte hai?
WhatsApp Secure kaise kare? (How to secure whatsapp)
– Uiser ka phone kho jata hai to apko sabse pahle mobile service provider ko Call kar apna personal Mobile Number lock karvana chahiye. Jisse without SMS ya Call se OTP Receive kiye bina Whatsapp account verification nahi hoga.
– Old number ka second sim card Activate karva kar user new device me WhatsApp account Login kar use kar sakte hai.
– Jab ap new sim card me Whatsapp account Login karenge to Other devices me Login Whatsapp automatically Log out ho jayega, kyo ki, user Whatsapp ek bar me sirf ek hi devices par ise Login kar sakta hai.
– Kai user new sim ka use nahi karna chahte hai. Is Condition me vah support@whatsapp.com par E-mail kar sakte hai.
– User E-mail me Lost/Stolen: Please deactivate my account me Full Mobile Number International Format me send kare.
– Apni Whatsapp chatting ko Restore karne ke liye user Google Drive, OneDrive, iCloud par apna Backup bana sakte hai.
Important things of whatsapp user
– WhatsApp apke Device ko Locket karne me apki help nahi karta hai.
– Sender dvara bheje gaye Message 30 days tak pending state me rahte hai.
– apka account activating hone ke bad apko ye sabhi message New devices me received honge our ap apne sabhi group chats me bhi bane rahenge.
– user 30 days me apna account activate nahi karvate hai, to yah delete ho jate hai.
– phone service disabled hone ya SIM lock hone par Account Deactivation Request nah o to aap apne account ko Wi-Fi se use kar sakte hai.
whatsapp chat history save kaise kare? (How to save whatsapp chat history)
– chat backup ke liye WhatsApp open kare.
– Menu Button par Click kare.
– Settings pe jaye.
– Chats option select kare.
– Chat backup option me jaye.
– Backup button press kare.
– User Backup Automatic set kar sakta hai.
– Ab Auto backups frequency select kare.
– Auto backups frequency me user ko Daily, Weekly, monthly option me se kisi ek ko select karna hoga.
– User is bat ka dhyan rakhe ki data backup me jyada Data use hota hai. Isliye Daily ki jagah ap monthly option select kar sakte hai.
WhatsApp Account Secure Kaise Kare? (How to secure whatsapp account)
WhatsApp Two Step Verification :
WhatsApp account ko secure rakhne ke liye user ko WhatsApp Two Step Verification ko enable karna hoga. Is Features ko activated karne ke bad user ko verification ke liye ek password dalna hota hai, tabhi apka WhatsApp activate hota hai. Ye Features apke WhatsApp account ko secure karne ka best Option hai.
updated WhatsApp :-
WhatsApp samay- samy par apne user ko new Features dete rahta hai. Yadi ham old version hi use karte hai, to hame WhatsApp ke new Features ke bare me jankari nahi hoti hai sath hi ham WhatsApp high ki security ka use bhi nahi kar pate hai. Kyo ki WhatsApp new Features ke sath apni security bhi high karta rahta hai, isliye dhyan rakhe ki ap bhi hamesha WhatsApp latest version hi use kare.
WhatsApp Lock App :-
User jis tarah apne smartphone par lock system ka use karta hai usi tarah apko apne WhatsApp par bhi pattern lock ya password ka use karna chahiye. Isse apka WhatsApp Secure rahega our apki marji ke alava koi bhi apke Personal message nahi padh payega.
Privacy settings :-
Bahut kam user ko pta hai ki WhatsApp me privacy setting option hota hai. Lekin jankari nahi hone ki vajah se vah iska use nahi kar pate hai, lekin user WhatsApp account secure karne ke liye Privacy Setting ka use kar sakta hai.
unknown file:-
unknown number se yadi ko file ati hai to use ko open nahi karna chahiye. Kai bar esi file me virus hota hai. Kaha jata hai ki 7mb ki iws tarah ki file se WhatsApp crash kiya jata hai. Isliye kaha jata hai ki is tarahy ki link ya file ko open nahi karna chahiye jese hi yah apke phone par aati hai to ise delete kar dena chahiye.
web logout:-
kai user computer par bhi apne WhatsApp ka use karte hai, computer par WhatsApp ka use karne ke liye QR code Scan karna hota hai. Jiske bad user computer par WhatsApp ka use kar sakta hai.
Kai vykti kisi ke bhi computer par WhatsApp web ka use karte hai, lekin ye Secure nahi hai. Jab bhi ap computer par WhatsApp web ka use kare to, use Log Out karna na bhule.
End to End Encryption :-
Kai use End to End Encryption ke bare me jante bhi nahi honge, lekin user security ke tor par ye option new version me add kiya gaya hai. WhatsApp latest update me user is feature ka use kar sakta hai. Is feature ka use karte huye jab ap apne kisi friends ya Family member se bat karte hai to apka hat Encrypted hota hai.
Encrypted me apke dvara ki gai chatting par koi bhi najar nahi rakh payega yaha tak ki WhatsApp bhi vah massage ko Read nahi kar payega. Lekin iske liye apke friends ke pas bhi WhatsApp new version update hona jaruri hai.
Signal App क्या है, क्यों और कैसे बेहतर है Whatsapp से?
Whatsapp के Delete हुए मैसेज कैसे Restore करें?
Whatsapp Video Status कैसे Download करें?
Whatsapp Me Language Kaise Change Kare?
Whatsapp Number Change : Data Delete Kiye Bina Whatsapp Number Kaise Change Kare?