Garmi ka mousam hai aur garmi se bachne ke liye ham AC ka use karte hai. Waise garmi me sabse jyada electricity cosumption AC hi karti hai. Ham kai bar sochte hai ki aakhir AC low electricity consumption kare. Lekin koi jawab nahi milta. Khair tension lene wali koi baat nahi hai. Yaha ham aapko kuch aisi trick batane wale hai jinse aapka AC low electricity consumption karega.
AC Temperature kitna rakhe
Garme me ham sabhi AC ka temprature bahut kam karke rakhte hai. Lekin sach to ye hai ki ham AC ka temperature jitna kam karke rakhenge wo utna hi electricity consumption jyada krega. Isliye aap apne AC ka temperature 20-24 degree celsius ke bich hi rakhe.
AC saaf rakhe
AC chalate waqt is baat ka dhyan rakhe ki aapki AC ka filtar saaf hai ya nahi. Agar aapki AC ka filter saaf nahi hai to aapki AC ko hawa fekne ke liye jyada pressure lagana padega aur jyada pressure ke liye jyada electricity consumption hoga. Isse accha hai ki aap aapki AC ka filter saaf rakhe.
Sahi jagah kare outdoor unit ki fitting
AC ki jo outdoor unit hoti hai use aisi jagah lagaye jaha par suraj ki kirne sidhi us par naa pade. Agar us par suraj ki kirne sidhi padhti hai to AC me kafi jyada heat paida hogi jise thanda karne ke liye jyada electricity consumption hoga.
Energy saver button ka use kare
Latest AC me kai sare aise function aa rahe hai jinki madad se aap electricity consumption kam kar sakte hai. Aap AC me aane wale Energy saver button ko bhi use kar sakte hai. Iski madad se AC apne hisaab se adjust kare aapke electricity consumption ko kam kar dega.
To ye the wo tarike jinse aap apne AC ko low electricity consumption wala AC bana sakte hai.
Without Internet Google Map Kaise Use Kare?
Smartphone Hang : Smartphone Ki Storage Kaise Khali Kare?
Apple Device Iphone Ipad me Apple ID Kaise Change Kare?
Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?
Set Up New Smartphone, Naye Smartphone Ko Safe Kaise Rakhe?
Pan Card Online Apply : Online PAN Card Ke Liye Kaise Apply Kare?