pan card online Apply 2021 :- Pan card Ke liye Apply kaise kare?

Pan card online Apply 2021 in hindi

India me Permanent Account Number (Pan Card) Important document ban gaya hai. 50,000 hajar se upar Amount hone par Income tax return deposit karne par apko Pan Card ki jarurat hoti hai. apko Bank account opening karne me bhi apko Pan Card ki jarurat hogi. Bina apko Pan Card ke apka Bank account open nahi ho sakta hai.

PAN card India me identification ka ek Valid proof ban gaya hai. PAN card india ke Citizens ke sath NRI our Foreign Citizens ko bhi Issued kiya jata hai, lekin sabhi ke liye PAN card Application Process alag hoti hai. agay ap Indian citizen hai, our apka PAN card nahi bana hai, to ap easily PAN card ke liye application de sakte hai. aaj ham apko batayenge Pan Card Ke Liye Online Apply Kaise Kare?

India Government ne jab se apni services ko Digital kiya hai, tabhi se sabhi ke liye Pan Card banvana IMPORTANT ho gaya hai. aaj ap janenge Pan Card kya hai? Pan card online apply karna bahut Easy process hai.

apko iske liye charge bhi dena hoga. Pan Card Ke Liye Online Apply karne par apko ye charge netbanking se karna hoga. puri Process karne ke kuchh samay bad hi apke address par By post Pan Card aa jata hai.

Aap Pan Card Online to bana sakte hai, lekin Online form Submit karne ke bad bhi apko All documents income tax office me Post karna hoga. tabhi apke Pan Card Application process complete hogi. Online process hone ke bad jab ap All documents income tax office me Post karte hai, to income tax office me apke Pan Card ki process Start hoti hai, our apke Address par Pan Card bhej diya jata hai. jyada Information ke liye ap Helpline Number (18001801961) par Call kar sakte hai.

Pan Card kya hai? (What is PAN Card)

Pan Card ka pura name Permanent Account Number hai, 10 digits ka Alphanumberic Code hota hai. Permanent Account Number ko Income Tax Department Issu karta hai. PAN card persons, Company, NRI, India me Tax paid karne vale sabhi logo ko ko Income Tax Department PAN card Issu karta hai.

Pan Electronic System hai, jiske dvara every person and company ki Tax related information ko PAN number se Record kiya jata hai. iska main purpose sirf Tax chori ko rokna hai. PAN Card Address based nahi hota hai.

ye kisi ek vykti ya company ka ek se jyada PAN number nahi ho sakta hai. kisi bhi company ya kisi vykti ka ek jesa PAN number nahi ho sakta hai. PAN card ka size ATM card ke size jesa hi hota hai jis par apka Permanent Account Number (PAN Number ), Name, Date of Birth, Signature, Father name and apka photo laga hota hai. PAN card par apka address nahi hota hai.isliye PAN Card ko Address proof ke liye use nahi kar sakte hai.

PAN Card kyo jaruri hai?

Income Tax Return bharne ke liye PAN Card ka hona bahut jaruri hai. agar kisi vykti ki Annual income taxable hai, to useke liye PAN Card lena compulsory hota hai. jo log apne employer ko PAN available nahi karate hai, to Employer unka Slab rate ya 20 percent se jo jyada hai, us rate se TDS kat sakte hai. agar apki income taxable nahi hai, to apke liye PAN Card lena compulsory nahi hai, lekin apko Banking and financial transactions bank account Opening, property selling karna, Investment karne me PAN Card ki jarurat hoti hai.isliye ap sabhi ke liye PAN Card lena compulsory hai.

PAN Card ke liye kya Document chahiye? (Document required for PAN card)

PAN Card Application submit karne ke liye apko PAN Services Unit website par kai tarah ke Document upload karne honge. PAN Card ke liye Identity card, address proof, date of birth certificate and photograph ko upload karna hoga. apko sabhi Document scan kar upload karne honge.

Identity Card :-

PAN card banvane ke liye apko inme se koi ek Document ko Identity Card ke tor par upload karna hoga.

– Aadhaar Card (issued by Unique Identification Authority of India)
– Voter ID Card
– driving license
– Passport
– Photo ration card
– Arms license
– Photo ID (issued by Central Government or State Government or any PSU)
– Central Government Health Service Scheme Card
– X Servicemen Contributory Health Scheme Photo Card
– identity card Certificate (Signed by MP or MLA or Councilor or Gazetted Officer)

Address proof :-

Photo id ke sath apko Address proof ko bhi apne Pen card application ke sath dena hoga. ap Address proof ke liye kisi ek Document ko apne form ke sath attachment kar sakte hai.

– Aadhaar Card (issued by Unique Identification Authority of India)
– Voter ID Card
– driving license
– Passport
– Spouse passport
– Post office passbook
– Latest Property Tax Assessment Order
– Domicile certificate (issued by the government)
– Allotment Letter of Accomodation (issued by the Central or State Government) (not older than 3 years)
– Property registration
– Address certificate (signed by MP or MLA or Councilor or any gazetted officer)
– Original certificate (issued by the company)

Pan card ke liye ap in Document ka bhi us kar sakte hai, lekin dhyan rahe ki ye Document 3 months se jyada purana nahi hona chahiye.

Documents Required For Pan Card

– electricity bill
– Landline bill or broadband connection bill
– Water bill
– Gas connection card or book
– Bank account statement
– Deposit account statement
– Credit Card Statement

Birth certificate :-

Applicant Birth certificate ke liye inme se koi ek Document ka use kar sakta hai.

– Birth certificate (Issued by Registrar of Births and Deaths)
– Pension payment order
– Marriage certificate (issued by the Registrar of Marriage)
– 10th class passing certificate
– Passport
– driving license
– Domicile certificate (issued by the government)
– Affidavit given to Magistrate mentioning date of birth

Photo :-

Pan card application me apko apni 2 Photo bhi deni hogi.

Pan card jaruri kyo hai?

– Bank account opening me pan card ki jarurat hoti hai.
– Bank account me 50,000 Thousand se jyada paise deposit karane par hame Bank me pan card dena hota hai.
– Jab ham kisi Company me job ke liye apply karte hai, to hamse bank account our pan card manga jata hai.
– Income tax returns ke liye pan card Compulsory hai.
– Government law According sabhi bank account se pan card Link karna Compulsory hai.

IMPORTANT DOCUMENT TO APPLY PAN CARD

– Identity proof
– Address proof
– Birth certificate
– Photos

Pan card online apply kaise kare? (How to apply PAN card online)

Pan card online apply karne ke liye apko NSDL ki webiste par jana jana hoga. jab ap NSDL ki webiste open karenge, to apke samne do option show honge. first apply online and Second Resgistered user apko apply online par Click karna hai, jiske bad apke samne ek Form open honga.jisme apko apni Personal information ko add karna hai.

Step- 1 :-

Application Type →New Pan→ indian citizen(form 49A)

Category → Individual

Title →ap apne name se pahle jo lagate hai, use Select kare.

Apni sabhi Personal information and details ko add kar de.jese email address, name, phone number, date of birth etc ke bad captcha code dal kar submit par Click kar de.

Step- 2 :-

Jab ap submit par Click kar denge to,apko ek Token number diya jayega, jise apko save karke rakhna hoga. ab apko continue with Pan application form par Click karna hoga.

Step- 3 :-

3 Step pe apke samne ek new window open hogi, jisme 5 Step diye gaye hai, jinhe apko sahi se fill karna hai.

Pan card online apply Guidelines :-

Guidelines me apko Guide kiya jata hai, ki apko kaise application ko pura fill karna hai. Guidelines me di gai sabhi bhato ko dhyan me rakhkar pan card application form ko complete karna hai.

Personal Details :-

Ek bar fir se apko apni Personal Details ko fill karna hoga. apse apka aadhar card number our aadhar card name manga jayega. Parents Details ko add kar next button par Click kare.

Contact & other details :-

Ab apko apna contact Number and address ko Fill karna hoga. ab apko sabhi details Filling karne ke bad next button par Click kare.

Address for communication

Source of Income

Residence Address

Telephone Number & Email ID details

Office Address

Representative Assessee

Ao code :-

Ab apko apne area ka Ao code Inter karna hoga. apne area ka Ao code janane ke liye apko helpline number 18001801961 par call karna hoga.

Document details :

Ab apko apne Document ki copy Upload karna hoga. jiske bare me ham apko pahle hi bata chuke hai. sabhi Document ki copy Upload karne ke bad submit button par Click kare.

pan card offline apply kaise kare? (How to apply for PAN card offline)

pan card ke liye offline apply karne ke liye apko PAN card form ki jarurat hogi. PAN card form ap Download bhi kar sakte hai. ya fir ap TIN-Facilitation Center (TIN-FC ) Pan centers, Form vendor se PAN application form ko le sakte hai.

PAN card download kaise kare? (How to download PAN card)

PAN card download karne ke liye ya fir use dobara prapt karne ke liye apko sabse pahle NDSL official website par jana hoga.our hamare dvara bataye ja rahi steps Follow karke ap apna PAN card download kar sakte hai.

NDSL official website open karne ke bad apko sabse pahle Download e-PAN Card (For PAN allotted in last 30 days) and Download e-PAN Card (For PAN allotted older or more than 30 days) me se kisi ek options ko Choose karna hoga. alag apko Last 30 days Pan allot hua hai, to ap Free download kar sakte hai, Otherwise apse e-PAN download karnme ke liye 8.50 fees li jati hai. kisi ek options ko Select karne ke bad apko apna PAN number, date of birth etc Fill karna hoga. a bap apna E-pan download kar sakte hai.

Pan card me information kaise change kare? (How to change information in PAN card)

Ap kai tariko ka use kar apne Pan card me information ko change kar sakte hai.

– Sabse pahle NSDL e-Governance ki Official website www.tin-nsdl.com par jaye.
– Services section Select kare.
– PAN par Click kare.
– Change/Correction in PAN Data me Apply par Click kijiye.
– Ab apko new page par bhej diya jayega.
– Ab apko E-sign se apni Image scan karni hogi.
– All details ko Fill kare.
– Contact and Address Information ko add kare.
– Proof of address, proof of age, identity card jese Document upload kare.
– Signature kar submit par kare.click
– Ab apko payment ke liye Other pages par bhej diya jayega.
– Payment demand Draft, net banking, credit card and debit card se kiya ja sakta hai.
– All process complete hone ke bad ap Slip download kar uska print out nikal le.
– Ab apko All necessary documents ke sath me download Slip ko NSDL Office of e-Governance par bheni hogi.
– New pan card Changed information ke bad apko mil jayega.
– Is puri process me 15 se 20 days ka time lagta hai.
– 15 se 20 days ke bad apke pas Changed information ke sath apka New pan card aa jayega.

Agar apko pan card online apply karne me kisi tarah ki koi Problem ati hai, to ap NSDL e-Governance ki Official website se iske bare me Information le sakte hai. NSDL e-Governance ki Official website par apko pan card online form fill karne ka Demo bhi bataya gaya hai. jiski Help se ap easily pan card banane ki Process kar sakte hai.

Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?

Pan Card Online Apply : Online PAN Card Ke Liye Kaise Apply Kare?

Aadhar Card Bank Account Se Link kaise kare?

How to open Aadhar Card Center 2021 :- Aadhar Card Center open kaise kare?

data-full-width-responsive="true">