Dona Pattal Business kaise Start kare?

Paper Plate Making Business in Hindi 2021

Aaj ke samay me har koi business karna chahta hai. jiske liye vah kam paiso me adhik Profit vala business ko search karta hai. har koi chahta hai ki kam se kam time me vah jyada Profit kamaye. Aap bhi apne business ko lekar yahi sochate hai to, apke liye Dona Pattal Business best hai. is Business me ap kam Capital me jyada Profit kama sakte hai.

Ham apko batayenge Dona Pattal Business shuru kaise kare? dona pattal business me kitna fayda hota hai? dona pattal business ka kachcha mal kaha milta hai? dona pattal ki machine price kya hai? dona pattal business ki shuruat kaise kare? Dona Pattal kese bante hai? In sabhi Question ke answer aaj apko ham denge.

Dona Pattal kya hai ? What is Dona Pattal

Jab ham kisi Wedding party ya function me jate hai, to vaha par ham Dona pattal me khana khate hai. lekin is bare me kabhi bhi hamne socha nahi ki akhir Dona Pattal kya hai ? ya fir Dona Pattal kese bante hai ? apki jankari ko our Strong karte huye ham apko bata de ki Dona Pattal ki kai Varietya hoti hai. kuchh Dona Pattal thermocol se bante hai, kuchh Plastic se bante hai. aaj ke smay me sabse jyada Plastic our thermocol se bane Dona Pattal ka use kiya jata hai.

Purane samay me Plastic ya thermocol se Dona Pattal nahi banaye jate the, balki ped ke patto ka use kar Dona Pattal banay jate the. Un dino is tarah ke Dona Pattal ka sabse jyada chalan hua karta tha. Pahle ki tulna me aaj ke samay me ped ke patto ki jagah Plastic our thermocol ne le li hai.

Bite samay me kai jagah par sargi ke ped ke patto our kele ke ped ke patte se Dona Pattal banaye jate the. Bas ki tilliyo se katori plate banai jati thi. Patto se Dona Pattal banana bahut hi Easy process hua karti thi. Banana ke sath Dona Pattal Destroyed karna bhi bahut Easy kam hua karta tha.

Aaj ke smay me Plastic ya thermocol se bane Dona Pattal ko Destroyed karna Difficult kam hai. aaj ham apko Dona Pattal banana ki Easy process ke bare me batayenge, jo apke sath- sath environment ke liye bhi Beneficial hoga.

Dona Pattal Business Registration kaise kare? (How to register Dona Pattal Business)

Apka Business chahe jo bhi, yadi apke Business ka Registration apne karaya hai to Future me apko kisi bhi type ki Problem ka samna nahi karna padta hai. kisi bhi Business ka start up ke sath hi uska Registration bhi bahut jaruri hota hai.

 Registration hone ke bad Business owner ko legal problem Face nahi karni padti hai. dusre Business ki tarah Dona Pattal Business Registration process jyada badi nahi hoti hai, is Business ka Registration aap easily tarike se kar sakte hai.

Dona Pattal Business Registration ki process kya hai? (Registration process of Dona Pattal Business)

Dona Pattal Business Start karna gair kanuni kam nahi hai, lekin apko Business Start karne ke liye license end Pollution control board se NOC lena bahut jaruri hai.

Dona Pattal Business Start karne se pahle apko apne Business ka name Select karna hoga, jo apke Business ko identity karega. Owner ko apne Business ke liye ek esa name Select karna hoga, jo kisi Others Business se match na ho.

Jis State me ap apna Business Start karna chahte hai, vaha ki Nagar Palika (Municipality) me apko License application dena important hai.

Apke Business name ya apke dvara di gai all information sahi pai jati hai, our unme kisi tarah ki koi kami nahi rahti hai to, Nagar Palika apko apke Business ko Start karne ke liye Legal license de deti hai.

owner apne Business ko MSME ke tahat Registration jarur karaye, jiske liye apko District Industries Center jana hoga.

Jab bhi ap Dona Pattal Business Start karenge to, apko Electricity ki requirement to hogi hi, iske liye apko State electric board se Electricity ki Application dena hogi. State electric board apki shop par Professional meter laga kar jayenge, jisase apko apne Business me kisi tarah ki koi Problem na ho.

Apne Business ko bada banana ke liye yadi ap Labor ko rakhte hai, to dhyan rahe ki aap Labor law violation ko na tode, varna apko Legal punishment mil sakti hai.

Dona Pattal Business Plan kaise kare? (Dona Pattal Business Planning in hindi)

Dona Pattal Business ko Start karne se pahle hame uski complete information hona jaruri hai. yadi ap pahli bar is Business ko kar rahe hai, apko iska koi Idea nahi hai, to apko eke se vykti ko talash karna hoga jise pahle se hi Dona Pattal Business ke bare me complete information ho. Business chahe jo bhi Dona Pattal ho ya fir koi bhi Business apko us kam me Experience person ko add karna hi hoga. Tabhi ap apne Business ko sahi tarah se Start kar sakte hai.

Dona Pattal Business Location kaisi hona chahiye? (Location for Donna Pattal Business)

Business Successful banana ke liye use proper place se Start karna sahi hota hai.yadi ap bhi Dona Pattal Business Start karne vale hai, ya fir kar diya hai to apko sabse pahle ese place ka Selection karna hoga. Jo apke Business ke liye sahi ho. Dona Pattal Business Start karne se pahale hame esi Location ka Selection karna chahiye jaha se ga gandgi na fele. Apka Business Overcrowded se dur hona chahiye. Apke Business se People ko Problem na ho. Business Location esi honi chahiye jaha Supplier easily pahuch jaye. Har koi bahut kam samay me jyada Profit hasil kar sakta hai.

Dona Pattal Business Market Potential :-

Pahle kit ulna me aaj ke samay me Thermocol and plastic se bane Dona Pattal ka chalan kafi bada hai, lekin dekha jaye to ye sahi nahi hai, kyo ki Thermocol and plastic se bane Dona Pattal nature ke liye sahi nahi hai.

nature Security ko dekhte huye ham Paper se bane Dona Pattal ka Business kar sakte hai. Dona Pattal ka use har jagah kiya jata hai, Railway Station, Bus Station, Hotel, Restaurant, Dhaba har kahi Dona Pattal ka use hota hai.ese me yadi ap pattiyo evm Paper se bane Dona Pattal ka use kare to, ye apko sasta our kifayti bhi padega.

Dona Pattal Machine type :-

Dona Pattal Machine kai tarah ki ati hai. jo apko Market me easily mil sakti hai.

Manual machine

Semi automatic machine

Fully Automatic Machine

Manual machine kya hai ?

Manual machine ka use karte samay hame uski sabhi Activities ko Self karna hota hai.is tarah ki machine ki Cost and production bhi bahut kam hota hai. ese me Productivity Less hoti hai.

Semi automatic machine kya hai?

Semi automatic machine me apka 70 percent work automatically ho jata hai. baki ka 30 percent work apko khud karna padta hai. is machine me Manual machine se Productivity Manual jyada hota hai. yah machine Very expensive hoti hai. ye machine do tarah ki hoti hai.

Signal die machine

Double die machine

Signal dye machine ke Comparison me Double die machine me Low productivity hoti hai.ye machine middle class Dona Pattal Business me use ki jati hai.

Fully Automatic Machine kya hai? (What is a Fully Automatic Machine)

Fully Automatic Machine apka pura kaam karti hai. dusri Machine ke Comparison me ye Machine productivity bahut jyada karti hai. esi Machine ka rate bhi bahut jyada hota hai. Big Dona Pattal Industry me Machine dekhne ko milti hai. ye Machine Double, Triple die ya usase jyada ki hoti hai.

Dona pattal ki machine ki kimat kitni hai ? (Price of Dona pattal Machine)

Machin Price

Manul Single die Machin 30,000

Auto Matic Duble die Machin 70,000

Fully Automatic Duble die Machin 130,000

Dona Pattal Raw Material kaha milega? (Raw Material Of Dona Pattal)

Apko kisi bhi cities me Dona Pattal ka kachcha mall mil sakta hai. iske liye apko jyada pareshan hone ki jarurat nahi hai. kachcha mal ki Quality par apko uska rate dena hoga.

Dona Pattal Business ke liye Loan kaise milta hai ? (Loan for Dona Pattal Business)

Dona Pattal Business Start karne ke liye ap Bank se Loan bhi le sakte hai. Bank se Loan lene ke liye apke pas apke Business ke sabhi Document hona jaruri hai. yadi apke pas sabhi Document sahi hai, our ap Legal tarah se apna Business kar rahe hai, to ap bank se Loan le kar apna Business age bada sakte hai. ap kisi bhi bank me sabhi Document le kar jaye our apne Loan Requirement bataye. Bank apni Process ke bad apko Loan de degi.

Dona Pattal business me kitna kharcha hota hai? (Cost in both flat business)

Dona Pattal business ap Start karte hai, to apko One lakh se one and a half lakh rupees ka expenses ho sakta hai. jisme Ground expenses se lekar kachcha mal ka expenses bhi jod diya gaya hai. ap apne Budget ke anusar paise ko kam ya jyada bhi kar sakte hai

Dona Pattal ki Sell kaise kare? (How to sell Dona Pattal)

Apne Dona Pattal ka business Start kar liya hai, to ab apko apne Product ko market me pahuchana hoga. Ab apko Main supplier ki Requirement hogi, Jo apke mall ko market me le ja sake. Ap supplier se ye kamk nahi karvana chahte hai, to apko market me Shopkeepers se contact kar Retail price par Dona Pattal ki Sell kar sakte hai.ap apne anusar retail price par apna mall bhech sakte hai.

Conclusion

– business ke liye right place Choose karna chahiye.
– business ke Stating me apko Semi automatic machine ka hi use karna chahiye.
– Kachcha mall Lowest price me kharidna chahiye.
– Customer ki jarurat (needs) ka dhyan rakhana chahiye.

Beauty Parlor Start kaise kare?

Food Truck Business Start kaise kare?

LED Bulb Business Start kaise kare?

Nail Salon Business Kaise Start Kare?

data-full-width-responsive="true">