Smartphone Hang : Smartphone Ki Storage Kaise Khali Kare?

Jab bhi ham naya android phone lete hai to wo bahut fast chalta hai lekin jaise- jaise ham uska use karte hai uski speed kam hoti jati hai. Ab is speed ko kaise badhya jaye ye sabse bada sawaal hota hai. Ham mobile ki speed ko mobile ki memory ko khali karke kar sakte hai. Mobile ki memory ko kis tarah khali karna hai aur use kis tarah use karna hai ki wo kam bhare isi ke kuch special tricks ham aapko yaha batane wale hai.

Jo apps kaam ke nahi unhe uninstall kare

Sabse pahle to aap apna phone uthaye aur dekhen ki phone me aise kounse apps hai jo aapke bilkul bhi kaam nahi aa rahe hai. Yadi koi aisa app bhi hai jiska use aap mahine me ek-do baar karte hai to aise apps ko delete kar de. Kyonki ye apps aapki kafi jyada storage ka use karte hai.

Mobile ka cache clear kare

Aapke mobile me har roj kai MB ki unwanted files banti hai jise ham cache kahte hai. Inhe aapko roj clear karna chahiye. Isse kam se kam aapke mobile par har din 100 MB ka fark padega aur aapki speed bhi badegi.

Photos ko manage kare

Jab bhi ham photo click karte hai to wo hamare phone ki memory me hi save hote hai. Aise me phone memory ka ek bahut bada hissa aapke photo aur video use karte hai. In photos ko aap apne external memory jaise SD Card me transfer kar sakte hai. Iske alawa aap chahe to inhe online google drive par upload kar de jis se ye waha hamesha rahenge aur aapke phone par load bhi nahi padega.

Download ko clear kare

Smartphone par ham hamesha kuch na kuch download karte hi rahte hai. Ye chije us samay to kaam ki rahti hai lekin baad me ye kisi kaam ki nahi rahti. Isliye aap samay-samay par download ko check kare aur un files ko delete kar de jo aapke kaam ki nahi hai.

Whatsapp ka data check kare

Whatsapp ek aisa app ban gaya hai jo hamare mobile ki sabse jyada stoarage ka use karta hai. Whatsapp par aane wale photo aur video hamare mobile ki bahut sari storage ka use kar lete hai aise me jo chije kaam ki nahi hai unhe aap whatsapp se delete kar sakte hai. Iske alawa aapke sent kiye gaye photo ka bhi data alag se banta hai use bhi delete karte rahe.

Apple Device Iphone Ipad me Apple ID Kaise Change Kare?

Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?

Set Up New Smartphone, Naye Smartphone Ko Safe Kaise Rakhe?

Pan Card Online Apply : Online PAN Card Ke Liye Kaise Apply Kare?

Gmail Smart Compose Aur Gmail Smart Reply Kya Hai

Laptop To Laptop Data Transfer Kaise Karte Hai?

data-full-width-responsive="true">