Phone Par Kai Aise Logo Ke Calls Ate Hai Jinhe Ham Jante Bhi Nahi Hai, Jinhe Ham Wrong Number Kah Sakte Hai. Apke Pas Bhi Kai Bar Wrong Number Se Call Aya Hoga . Us Smay Hamare Man Me Kai Tarah Ke Questions Ate Hai, Kisne Call Kiya Hai Ye Janne Ke Liye Ham Us Number Par Vapas Call Lagate Hai. Our Jante Hai Ki Akhir Kisne Hame Call Lagaya Hai.
Kai Bar Kuchh Log Bevajah Hame Pareshan Ksarne Ke Liye Bhi Wrong Number Se Call Karte Hai. Ese Logo Se Pichha Chhudane Ke Liye Ham Apni Identified Hide Karna Chahte Hai, Lekin Hame Is Bat Ki Information Nahi Hoti Hai Ki Kis Tarah Ham Apni Identified Hide Kar Sakte Hai. (How to remove your name from Truecaller)
Truecaller Ke Bare Me Aap Sabhi Ne Suna Hi Hoga. Har Koi Apni Information Dusro Ko Batane Ke Liye Truecaller App Ka Use Karte Hai. Yadi Hame Kisi Unknown Number Se Call Ata Hai To, Use Call Karne Ke Bajaye Ham Truecaller Par Us Vykti Ki Information Ko Identified Karte Hai. Lekin Kai Vykti Iski Help Se Galat Process Karte Hai, Our Kisi Ko Bhi Pareshan Karte Hai. Yadi Aap Bhi Is Tarah Ke Unknown Number Se Kafi Pareshan Hai To Ap Truecaller Se Apni Identified Hide Kar Sakte Hai, Our Unknown Number Se Pareshan Karne Vale Logo Ke Dvara Pareshan Karne Se Bach Sakte Hai. Aaj Ham Apko Batayenge Truecaller Se Apna Naam Kaise Change Kare.
Truecaller App Kya Hai ?
Users Ke Phone Me Jab Kisi Ka Call Ata Hai Our Vah Number Hamare Phone List Me Save Nahi Hai To, Truecaller App Hame Us Number Ki Complete Information Deta Hai. Truecaller Ek Service Hai, Jo Hame Kisi Bhi Number Ki Complete Detail Batata Hai. Ham Is App Se Pata Laga Sakte Hai, Ki Ue Number Kon Use Kar Raha Hai. Hamare Mobile Par Jab Unknown Number Se Call Ata Hai To Ham Truecaller App Se Us Number Ke Bare Me Pata Laga Sakte Hai Ki Ye Number Kon Use Kar Raha Hai. Truecaller App Se Ham Users Ki Location Bhi Jan Sakte Hai, Yahi Nahi Hame Isme Unknown Number Ya Kisi Bhi Number Ko Block Ya Unblock Karne Ka Option Bhi Milta Hai.
Follow Kare Ye Steps :-
1. Sabse Pahle Users Truecaller App Open Kare.
2. Left Side Me The People Icon Tep Kare.
3. Settings Open Kare.
4. About Par Click Kaere.
5. Directive Account Par Click Kar Apna Account Directive Kar De.
6. Ios Users Bhi Same Procedure Followed Kare.
7. Users Yadi Truecaller App Se Apna Number Unlisted Karne Ke Liye True Caller Website Par Unlisting Page Par Click Kare.
8. Website Par Unlisting Karne Ke Liye Correct Country Code, Mobile Number, Reason Choosing Kar Aap Is App Ko Unlisted Kar De.
9. True Caller App Se Apko Ek Verification Code Send Kiya Jayega Jiske Bad Users Use Inter Kar Is Process Ko Pura Kar Sakte Hai.
10. Is Process Me 24 Hours Ka Time Lag Sakta Hai, Jiske Bad Users Ka Number Unlisted Ho Jayega.
Truecaller Se User ID Delete Kaise Kare ?
1. Sabse Pahle Users Truecaller App Open Kare.
2. Left Side There Lines Par Click Kare.
3. Setting Me Jaye.
4. About Section Open Kare.
5. About Section Me Deactivate Account Option Select Kare.
6. Users Ke Samne New Window Open Hogi.
7. Ab Yas Par Click Kare.
Is Process Ke Bad Apki ID Truecaller App Se Delete Ho Jayegi. Iske Bad Koi Bhi Users Apki Personal Details Ke Bare Me Pata Nahi Laga Payega.
Truecaller App Me Naam Change Kaise Kare ?
Users Ko Truecaller Me Apna Name Change Karne Ke Liye Truecaller Website Open Karna Hoga, Our Vaha Par Kuchh Steps Follow Karne Ke Bad Vah Asani Se Apna Name Change Kar Sakte Hai.
Truecaller App Par Name Change Karne Ki 2 Method Hoti Hai, 1. Computer Se Truecaller Par Naam Change Kaise Kare 2. Mobile Se Truecaller Par Naam Change Kaise Kare Jiske Bare Me Ham Apko Batane Vale Hai.
Computer Se Truecaller Par Naam Change Kaise Kare ?
1. Sabse Pahle Truecaller Website Open Kare.
2. Search Box Me Us Number Ko Edd Kare Jise Aap Change Karna Chahte Hai.
3. Number Add Karne Ke Bad Enter Par Click Kare.
4. Jis Number Ko Apne Search Kiya Hai Uski Details Apki Screen Par Show Hogi.
5. Is Details Me Apka Name, Number, Email ID Etc Details Hogi.
6. Ab Users Truecaller Ko Apna Real Name Suggest Kare, Kyo Ki Apke Dvara Batye Jane Ke Bad Truecaller Apke Dvara Suggest Kiye Gaye Name Ko Change Kar Sahi Karega.
7. Ab Users Ke Samne Ek New Page Open Hoga, Jisme Unhe Suggest A Better Name Option Ko Select Karna Hoga.
8. Ab Apko Apki Screen Par Suggest Box Show Hoga.
9. Suggest Box Me Users Ko Change Kiya Gaya Name Inter Karna Hoga.
10. Suggest Box Me Users Ka Sahi Name Type Kare.
11. Bussiness, Person Ka Right Option Select Kare.
12. End Me Suggest Name Button Pe Click Kare.
13. Ek New Box Open Hoga, Jis Par Click Kare.
Is Process Me Thoda Time Lagega, Kuchh Smay Bad Truecaller Par Apke Dvara Suggest Kiya Gaya Correct Name Hi Show Hoga.
Mobile Se Truecaller Par Naam Change Kaise Kare
Ab Ham Apko Apne Mobile Se Truecaller Par Naam Change Karne Ki Process Batayenge. Yah Apke Liye Kafi Fast Our Simple Method Hai.
1. Users Apne Phone Par Truecaller App Download Kar Install Kar Le, Taki Vah Ye Process Easily Tarike Se Kar Le.
2. Truecaller App Open Kar Apna Mobile Number Inter Kare.
3. Jab Users Truecaller App Par Apna Number Inter Karega To, Yah App Automatically Users Ke Number Verify Kar Lega.
4. Jab Apka Number Verify Hone Ki Process Puri Ho Jaye To, Apke Samne Next Page Open Hoga.
5. Next Page Me Users Apni Details Fill Kare. Jese Apka Name, Last Name, Email ID Ke Bad Continue Kar De.
6. Jese Hi Ap Continue Karenge To, Truecaller Users Ke Phone Par Active Hone Ki Process Complete Ho Jayegi.
7. Is Puri Process Ke Bad Apne Jo New Name Enter Kiya Tha Vahi Show Hone Lag Jayega. Is Process Me Jyada Time Nahi Lagta Hai. Our Yah Vahut Easy Method Bhi Hai. Jise Har Koi Asani Se Kar Sakta Hai.
Delete Contact Number Recover Kaise Kare
अपना नंबर बदल कर कॉल कैसे करें? (Call From Unknown Number
Mobile Number Ke Bina Gmail Id Kaise Banaye?
National Emergency Number को स्मार्टफोन में कैसे करें एक्टिव
बस डायल करें ये Number और तुरंत देखे अपना Bank Balance
Women Home Based Business Kaise Kare?