mAadhaar APP Kya hai, How to use mAadhaar App
How to use new mAADHAAR app & features 2021
Aadhar har vykti ke liye jaruri ho gaya hai. Kisi bhi kam me sabse pahle Aadhar manga jata hai, yadi apke pas Aadhar nahi hai to apko kai tarah ki pareshaniyo ka samna karna padta hai. Aadhar ghum ho jane ke dar se ham hark ahi use apne sath me nahi rakh sakte hai, jiske chalet kai bar hame pareshani ka samna karna padta hai.
Lekin ab apko pareshan hone ki jarurat nahi hai, Unique Identification Authority of India (UIDAI) ne Official Aadhar Smartphone App mAadhar ko launch kar sabhi ki Problem ko dur kar diya hai. Users ab asani se Aadhaar ko smartphone par access kar sakenge. Itna nahi vah apne family member ko bhi Add kar sakte hai.
mAadhaar app kya hai? (What is Madhar app)
lication kah sakte hai. Jaha ham apne aadhar card ko Link kar sakte hai. Is Applications ko UIDAI shuru kiya gaya hai, jo smartphone me Photography our demographic data rakhne ke liye ek Secure platform hai. Aadhaar card holder apne Aadhaar card ko is app se Profile link kar iska use kar sakta hai.
mAadhaar App me profile kaise banaye? (How to create profile in madhar app)
mAadhaa app me ap 3 Aadhar Profile bana sakte hai. Ise ap Security password dvara Safe rakh sakte hai. Is app ka use karne se pahle hame is bat ko Certified karna hota hai ki jis Aadhar ki ham Details de rahe hai vah sahi hai ya nahi.
specialty of mAadhaar App
– mAadhaar App Android 0 our iske upar ke sabhi smartphone par Install kiya ja sakta hai.
– mAadhaar app ka iOS variant UIDAI ne jari nahi kiya hai.
– Future me ye iPhone users ke liye bhi kam karega.
NOTE :- vese to mAadhaar app ko sabhi android phone par install kiya ja sakta hai, lekin isme sirf vahi Profile add hogi jo, apke phone me use ho rahe number se Add ho. Yadi apka Aadhaar mobile number is not se registered nahi hai ya fir apke Aadhaar me registered number se apke dvara use kiye ja rahe number alag hai to ap mAadhaar app ko use nahi kar sakte hai.
mAadhaar App kaise use kare? (How to use madhar app)
– Apne phone me mAadhaar App Download and open.
– mAadhaar App Login ke liye password Enter kare.
– right corner ke top par Three dots ko Select kare.
– Add profile option ko Choose kare.
– QR Code Scan kare ya fir aadhaar number Enter kare.
– Next Button click kare.
– App ko OTP ke liye permission de.
– Ab apke Registered number par ek OTP send kiya jayega.
– Apka Registered number or ap jo use kar rahe number match ho jate hai to Automatic apka OTP vaha send ho jata hai.
– Ab ye app apki Aadhaar information Download karta hai, jiske bad ap apne Aadhaar ka kahi bhi use kar sakte hai.
– Ye app apke Aadhaar ko dono taraf se Auto download kar leta hai.
MAadhaar me kaise jode family members ki profile? (How to add the profile of family members in MAadhaar)
MAadhaar me family members ki profile add karne ke liye ye steps Follow kare.
– Phone par mAadhaar App open kare.
– apne family members ko Add karne ke liye + Icon tab kare.
– jis bhi members ko ap Add karna chahte hai unka aadhaar number Enter kare.
– apne jo aadhaar number Enter kiya hai uske Registered number par ek OTP send kiya jayega.
– send OTP ko Enter kare.
– ap dekhenge ki ap jis family members ko Add karna chahte the vah Add ho chuke hai.
– is APP par aap maximum 3 members ko hi Add kar sakte hai.
maadhaar app me apni profile delete kaise kare? (How to delete your profile in maadhaar app)
MAadhaar app ko asani se apne phone se delete kar sakte hai. iske liye apko apne phone se apni sim ko nikalna hoga jese hi ap sim phone se nikalte hai apki profile automatically Delete ho jayegi.
– mAadhaar app open kare.
– Login karne ke liye password Enter kare.
– Apni Profile opan kare.
– Profile me top right corner par Three dots par Click kare.
– Delete Profile option Choose kare.
– Ek bar fir password Enter kare.
– Yes Choose kare.
– Ab apki profile mAadhaar se Delete ho jayegi.
MAadhaar app se biometrics ko lock unlock kaise kare? (How to biometric lock/unlock with maadhaar app)
mAadhaar app users ko biometrics ko lock unlock karne ki suvidha prdan karta hai. Users en steps follow kar is Facility la labh le sakta hai.
– Smartphone user mAadhaar app open kare.
– Password enter kar login kare.
– apni profile par Click karte hue use open kare.
– right corner par menu me Biometric Settings par Inter kare.
– Enable Biometric Lock Options Select kare.
– ab apke samne ek Disclaimer dikhaya jayega jise ok kar de.
– ab apke registered mobile number par ek OTP sent kiya jayega.
– is Process ke bad Biometrics ko lock kar diya jayega.
biometrics ko unlock kaise kare? (How to unlock biometrics)
– Biometric Settings par Click kare.
– apko Your biometrics will be temporarily unlocked Message milega.
– yes par Click kare.
– ab apka biometrics 10 minutes ke liye Unlock ho jayega.
maadhaar app me TOTP option ko use kaise kare? (How to use TOTP Option in Maadhaar App)
mAadhaar App se ham TOTP ka use asani se kar sakte hai.
– mAadhaar App me Password Inter kar log in kare.
– apni Profile open kare.
– Show TOTP Option Select kare.
– ab 6 digit TOTP visible hoga.
– 30 seconds tak yah esa hi rahega.
– 30 seconds bad OTP changed kar diya jata hai.
– Name our Aadhaar Number ap TOTP ke niche dekh sakte hai.
mAadhaar app ke labh (Benefits of mAadhaar App)
jab bhi apko kahi Aadhaar ki jarurat hogi to apko Original Aadhaar Card ko le jane ki jarurat nahi hai, ap mAadhaar use kar sakte hai.
mAadhaar APP se ap biometrics Lock ya temporarily unlock kar sakte hai.
Yadi OTP apke mobile number par OTP nahi aa raha hai to aap mAadhaar APP par TOTP Feature use kar sakte hai
VID :- Aadhaar Virtual ID kya hai, Virtual ID kaise Banaye?
Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?
Aadhar Card Se Loan Kaise Le, Loan ke liye online Apply kaise kare?
Suryamitra Skill 2021 :- Surya Mitra Yojana Online Apply Kaise Kare?