Share Market kya hai, Stock Market Se Paise Kaise Kamaye?
What is a stock market, how to make money from the stock market
Jab bhi market ke bare me bat ki jati hai, to hamare Mind me kai tarah ki Image ban jati hai, jaha par bahut si shops hogi ya fir mall jaha par ham Shopping kar sakte hai, lekin kya Share Market me bhi esa hi hota hai? hamari kalpna se alag Share Market me kharidne our sell ka kam Computer se automatic hota hai.
Share Market me Share Kharidne our bechne ke liye Broker exchange par Order deta hai. Pending orders ka Automatically deal matching ho jati hai. Aaj aap janenge ki Share bazar kya hai? Share bazar kaise kam karta hai ? share bazar me share kaise kharide? Aaj ham apko Share bazaar Guideline ke bare me batayenge.
Share bazar kya hai? (What is the stock market)
share bazaar me share Kharidne ko kai log ek tarah ka Juaa kahte hai, lekin esa nahi hai. Kai log is ek Khatarnak Khel bhi kahte hai, lekin share bazaar me share Kharidne me kuchh bhi Khatarnak nahi hai. Yadi koi vykti bina kuchh soche samjhe share bazaar me invest karte hai, ya fir ise majak me lete hai, to unke liye ye ek Khatarnak Khel ho sakta hai.
Share bazaar/ stock market kya hota hai? (What is the stock market)
share bazaar ko stock market ke name se bhi jana jata hai. share bazaar me Equity(share) ko Kharida our Becha jata hai. share ko stock and equity bhi kaha jata hai. Share ka Arth hissa hota hai, ye kisi bhi company me lagne vali capital ka ek hissa ho sakti hai.
Kisi bhi company ke liye Finance(punji) ki requirement hoti hai. Koi bhi ek vykti kisi bhi company me itni badi capital ko laga nahi sakta hai. Jiske liye company ki capital ko Small parts me bat diya jata hai, taki us company me Aam Aadmi bhi apni Punji (capital) laga sake.
Inhi hisso ko Share ya stock kahte hai. Isme company our Aam Aadmi dono ko profit hota hai. Aam Aadmi ko share holders name se jan sakte hai. Jab bhi share holders company ke jitney bhi share ko Kharidte hai, to company ko profit hone par share holders ko company utne Percent profit deti hai.
Kisi company ko 1 crore rupye ki requirement hai. Jisme 50 percent share Selling ke liye public ke liye open hai, kyo ki us company me pahle se hi 50 percent share Promoters ke pas rahte hai. 50 percent share jab Public ke liye open hote hai, our usme se apne 1 Prtishat share kharid liye hai, yane ki apne us company me apne 1 lakh rupye lagaye hai, to ap us company ke 1 Prtishat ke owner ban gaye hai. Ab yadi company ko profit hota hai, to apko profit ka1 Prtishat diya jata hai. Lekin company ko loss hota hai, to ap bhi loss me hi rahonge.
Share bazar in india
India me 2 tarah ke Share bazaar hai.
– Bombay Stock Exchange – BSE (Sensex)
– National Stock Exchange – NSE (Nifty)
Shares kitne type ke hote hai? (Types of Shares)
Vese to India me Shares ke kai type hai, lekin kuchh Special share hai jinke bare me adhik Discussion hota hai vah ye hai,
– Equity Shares
– Preference shares
– Deferred shares
– Bonus shares
Shares Kharidne ke labh (Benefits of buying shares)
Shares Kharidne se share holders ko kafi profit ho sakta hai. Share bazar me kai Companies registered bhi hai. Ap apne anusar kisi bhi company ka Selection kar vaha apne paise invest kar sakte hai. Bank me paise rakhane se achcha hai ki ap apne un paiso ko Share bazaar me invest kare our profit kamaye.halaki isme kafi Risk bhi hai, kyo ki kai bar ap yaha par lakhpati ban sakte hai. Sath hi apke lakho rupye hajar me bhi badal sakte hai.
Shares kab kharidna chahiye?
Shares kharidne ka koi fix time nahi hai, ap kisi bhi samay Shares kharid sakte hai. Share bazaar me chahe Teji ho ya Mandi ap kabhi bhi kisi bhi company ke Shares kharid sakte hai. Jab koi Festival hota hai, to Companies ko benefit hone se unke Shares bhaw jyada bad jate hai, lekin kuchh smay bad vah vapas ghat bhi jate hai.
Ese me yadi ap jyada rate ke Shares khridte hai, to apko Loss ho sakta hai. Shares us smay kharidna chahiye jab apko pata ho ki age iske rate jyada hone vale hai, ya fir Share bazaar me teji ane ki sambhavna ho. Ap short term investment me intra-day-trading se ye kar sakte hai. Lekin sabse best Investment long term investment mana jata hai, jise 2 ya 3 year ke liye kiya jaye to kafi Profit hota hai.
Share me kya kharide? (buy in stock)
Jab bhi ap Share kharide to, kabhi bhi apne broker ki bato me nahi ana chahiye. Ap khud research karne ke bad hi kisi bhi company ke Share ko kharide. Ap usi company ke Share kharide jiski economic condition management kafi Strong ho. Yadi ap pahli bar kisi company ke Share kharid rahe hai, to esi company ke Share apko kharidna chahiye jiske products ham daily use karte hai, jese Soap, Tooth paste, Phone, Oil, Vehicles, Ghee, motorcycle, bike, food products ki company me invest kare.
Share kaise kharide? (How to buy share)
Kisi bhi company ke Share kharidne se pahle apko achche se research end planning karna chahiye. Stock Market Investment Basic Tips ko jarur jane. Jab bhi ap kisi bhi company ke Share kharidte hai, to Dhokha hone ka koi Chance nahi hota hai, kyo ki jo Companies end Brokers Houses Share bechate hai, un sabhi ka Regulation Securities and Exchange Board of India (SEBI) karti hai.
Ab sabhi ke liye Share kharidna kafi easy ho gaya hai. Yadi apke pas ek internet connection vala laptop hai, to ap kisi bhi company ke Share kharid sakte hai. Ab to brokerage houses investors ke liye app bhi available hai. Ap is app me apne Brokers ko company ke Share kharidne bechne ke koi bhi instruction de sakte hai.
Stock market :-
Share bazaar me Share kharidne ke liye apko Stock broker ki required hogi. Stock broker Share holders end Share bazaar ke bich middle man ka work karta hai.
Share bazaar me Stock Broker ka Kam kya hota hai? (Stock broker job in the stock market)
Koi bhi Aam Aadmi Share bazaar se Share ko kharidna ya bech nahi sakta hai. stock exchange member hi Share ko kharid bhi sakta hai our bech bhi sakta hai. Stock exchange members ko hi brokers kaha jata hai.
Sabhi brokers SEBI registered hote hai. Stock market me kisi bhi tarah ka invest karne ke liye apko kai brokers mil sakte hai.aap best support end service vali online Trading companies me apna trading account open karva sakte hai.
online internet trading company
– ICICIdirect.com
– HDFCsecurities.com
– ShareKhan.com
– IndiaBulls.com
Share bazaar me Investment karne ke liye apko 3 types ke account ki Requirement hoti hai. Apko Equity investment ke liye ye tino account hona bahut jaruri hai.
– Saving bank account
– Demat account
– Trading account
Apko esi kai companies mil jayegi, jo ek sath hi apko tino account open kar ke degi. Ap SBI, Kotak, ICICI etc me 3 in 1 account open karva sakte hai.
Jab bhi ap ye tino account open karaye to SEBI ke Registered Brokerage Companies se hi account open karaye, taki apko age kisi tarah ki koi Problem na ho.
Trading account :-
Trading account se ap kisi bhi Share ko kharid sakte hai.
Demat account :-
Demat account me in Share ko rakha jata hai.
Saving bank account :-
Saving bank account me apke Share se huye Profit ko Transfer kiya jata hai.
Demat Account ko Share Depository Account ke name se bhi jana jata hai. Demat Account aap Depository Participants ke yaha easily open kara sakte hai. Yaha par Central Depository Services (India) Limited (CSDL) end National Securities Depository Limited (NSDL) Depository Participants hai. Lekin ham apko erk bar fir recommend karte hai ki ap 3 in 1 account hi open karaye, taki apko jyada Facility mil sake.
Share bazaar me investment kaise kare? (How to invest in Stock Market)
Share bazaar me investment karne ke 2 Main methods hai,
Intraday-Trading
Delivery Based Share Investment
Share bazaar Intraday-Trading Information :-
Is tarah ke Investment me apko Shares end equity ko kharidna our bechne ka kam ek hi din karna hota hai. Jab apko pata chale ki kisi Company share value badne vale hai, to ap subah kam rate me un Share ko kharid le, our sham ko High rate par inhe bech diya jata hai.
Is Process me kafi Risk hai, kyo ki jab apko pata chalta hai, ki sham ko jis company ke Share rate badne vale hote hai, to ap subah to uske kam rate me Share kharid lete hai, lekin sham ko kisi reason ki vajah se Company share value our bhi kam ho jate hai, to apko bahut Loss ho sakta hai.is tarah ke Investment me apko ek hi din me Share ko kharidna our bechna compulsory hota hai. Ap in Share ko ek din se jyada apne pas nahi rakh sakte hai.
Delivery Based Share Investment :-
Share Bazar me Investment karne ka ye sabse achha opshan hai. Isme ap kisi bhi company ke Share kharid kar apne Demat account me rakh sakte hai. Our apki marji ho tab tak aap un Share ko apne pas rakh sakte hai.
Sabhi company apna Profit hi dekhti hai. Jab bhi ap kisi company me apna paisa lagate hai, to 2 ya 3 year ke bad us company ke Share Value pahle ke mukable bahut jyada bad jati hai. Us smay ap us company ke Share ko bechte hai, to apko High profit hota hai, lekin isme brokerage bahut jyada lagti hai.
share kaise beche? share se paise kaise kamaye?
Jab bhi ap Share Bazar me Investment karte hai to apko lalach se bachna chahiye. apko Long term investment par jyada dhyan dena chahiye. Jab bhi ap Share Bazar me Share ko kharidte hai, to use bechne ke liye ek Target set karna chahiye. jab apka Share target price par pahuch jata hai, to apko apne Share bech dene chahiye.
Share Bazar se paise kaise kamaye?
share market se aap paise 2 tariko se kama sakte hai.
– Ividend
– Share Value Growth
Ividend :-
Aap jis Company me investment kar rahe hai. Jab us Company ko Benefit ya Profit hoga tabhi apko apke hisse ka Profit Distribute kiya jayega. Jise Ividend ya labhansh kahte hai.
Share Value Growth :-
Share Value Growth me jab bhi kisi Share ke rate tej hote hai, to ap use bech kar Profit kama sakte hai. Jab bhi ap Share Bazar me kisi company ke Share kam rate par klharidte hai, to jab us company ke Share rate me teji hoti hai, to ap unhe bech kar Profit kama sakte hai. Iske liye ap ek Fix target set kare, ki jab mene kisi Share ko kharida to iska rate itna tha.
Our jab iska rate mere set kiye target par pahuch jayega to, ise bech dena chahiye. jab bhi apka target pura ho jaye to, apne Share ko bech dena chahiye. hame vaha par lalach (greed) nahi dikhana chahiye.
kai bar jab ham apne kharide huye Share ke liye ek target set karte hai, our ek smay ham us target par pahuch bhi jate hai, lekin ham un Share ko nahi bechte hai, hamare man me lalach aa jata hai ki, hamare Share ki Value our bad jane ke bad ham apne Share ko bechenge, Lekin kai bar hamari soch bilkul galat sabit hoti hai.
kai bar company best performance ke bad ek dam se Down ho jati hai, jis karn us Company ke shares ki Value bahut kam ho jati hai. Is Situation me ap carefully tarike se kam le. Aap is tarah ke incident se bachne ke liye Stock Market Stop Loss term ka use kar sakte hai.`
customer ignore Kare marketing call to Kya Kare?
Social Media Platform Par Business Marketing Kaise Kare?
Scarcity marketing kya hai, kaise karen use?
Food Truck Business Start kaise kare?