Nominee kya hai, Rights Of Nominee In Hindi
What is nominee, rights of nominee in hindi
Jab bhi ham koi Insurance policy ya Government scheme ko use karte hai, ya fir koi badi Business deal karte hai, to sabse pahle hamse Nominee ke bare me puchha jata hai, ki ap Family member me se kis member ko apna Nominee banana chahte hai. Kai bar ham apna Nominee nahi chunte hai. Lekin kuchh jagah par hame Nominee Selection karna compulsory hota hai. Aaj ham apko batayenge ki Nominee kya hota hai? Nominee ke Rights kya hote hai.
Ham sabhi apni Avashyakta ko pura karne ke liye kai tarah ke loan, EMI, savings, account open, mutual fund investment, property/shares Purchase karte hai. jisme hame apne Nominee name ko Mention karna hota hai.
kai vykti sochte hai, ki hamari death ke bad All money nominee ko mil jayegi, lekin esa nahi hai. Nominee ek tarah se apke paiso ka Caretaker hota hai, jo apke paiso ki Care karta hai. kai vykti sochte hai ki nominee rakhne se vah Property owner ho jata hai, lekin esa nahi hai.
Nominee Kya Hota Hai? (What is a nominee)
Jab Bhi aap Koi sampatti ko kharidte hai, to aapko apna Nominee Select karna Hota Hai. Aasan bhasha mein Kahe To, Nominee aapke paiso ko Uske Sahi haqdaar ke pass pahunchata hai. yadi apki sampatti ka koi haqdaar nahin hai, to Puri sampatti Nominee ki Ho Jati Hai.
Kai vykti samjhte hai, ki yadi apka koi Nominee hai, to vah apki Death ke bad apki sampatti ka haqdaar ho jata hai, lekin esa nahi hai. Nominee sirf ek jariya hai, jo apki sampatti ko Real haqdaar tak pahuchane ka kam karta hai.
Yadi koi vykti apni sampatti ka Nominee Select karta hai, to vah apki Death ke bad apki sampatti ka haqdaar nahi hota hai, vah apki sampatti ko apke varies tak pahuchata hai,yani ki vah apka ek tarah se take care hota hai.
Nominee kyu jaruri hota hai? (Why a nominee is important)
Jab bhi ap bank me paise deposit karvate hai, ya fir koi Insurance karvate hai, to hame apna Nominee Select karna hota hai, taki hamari death ke bad hamare paise nikalna Difficult na ho. Yadi ham pahle se hi koi Nominee rakh lete hai, to Insurance company ya fir bank Officer hamari puri sampatti hamare Nominee ko de sake.
Insurance ya mutual fund me Nominee ke liye ham eek Form me apne Nominee ke bare me batana hota hai. jisme 2 witnesses ki jarurat hoti hai. esa jaruri nahi hai ki ap sirf ek hi Nominee ka Selection kare, yadi apko 1 ya sase jyada Nominee rakhna hai, to ap rakh sakte hai, yadi ap apne bachche jo 18 year se kam hai unhe apna Nominee Declared karna chahte hai, to ap unhe bhi rakh sakte hai.
Nominee kon ho sakta hai? (Who can be nominee)
Property owner par yah Depend karta hai, ki vah apni Property ka Nominee kise banana chahta hai. yadi Property owner nahi chahta hai ki uski Property unke Family members ko nahi di jaye to, vah kisi bhi vykti ke name apni Property kar sakte hai.
Yadi owner chahe to vah apna Nominee apne friend ya Colony ke kisi bhi vykti ke name kar sakte hai. vah apne naukar ko bhi apna Nominee bana kar ak Property will bana kar unke name apni sabhi sampatti ko unke name kar sakte hai.
Kai bar sunane me ata hai ki kai vykti apna Nominee kisi Human ke name nahi balki animal ke name apni Property kar dete hai, ye Possible hai aap kisi bhi jeevit animal ke name apni Property kar sakte hai.
Nominee kyo jaruri hai? (Why is a nominee important)
Property me apna Nominee Select karna ya na karna ap par Depend karta hai, Lekin kai jagah par apko Nominee jarur Select karna hota hai.
Insurance :-
Jab bhi ham koi Insurance karvate hai, to hame apna Nominee jarur select karna chahiye, kyo ki Insurance ke bad jab death ho jati hai, to vaha se paisa nikalna bahut tedi khir ho jata hai. yadi ham apna Nominee pahle hi select kar lete hai, to hamara Insurance ka paisa bahut jald hi mil jata hai. kai Insurance companies me Nominee process ko Compulsory kar diya hai.
Bank account :-
Kai log Bank account me Nominee rakhna sahi nahi samjhte hai, lekin ye bilkul galat hai. Jab apke sath achanak koi incident ho jata hai, to apka paisa apke Family member ko nahi mil pata hai. Jiske vah haqdar hote hai.
Nominee nahi hone ki vahaj se Family member vah paisa Bank account se withdraw nahi kar pate hai. vah paisa Bank account me hi atka rahta hai. isliye hame Bank account me apne Nominee ka selection jarur karna chahiye.
Demat account :-
Yadi aap Share ya marketing Field me interest rakhte hai, ya fir apne kisi tarah ka koi Demat account le rakha hai, to apko usme apne Nominee ka Selection jarur karna chahiye.
Fixed deposit :-
Jab aap kisi bank me Fixed deposit karte hai, to vah paisa apko kuchh year ke bad milta hai, ese me apko kuchh ho jata hai, to apka paisa vahi par rah jata hai, yadi ap apna Nominee chun lete hai, to apke varies ko apka pura paisa mil jata hai. Yadi apko Fixed deposit ke time koi bank Nominee Option nahi deti hai, to ap unse kah kar apne Nominee ka selection jarur kare.
mutual funds :-
mutual funds ka Craze logo me bahut hai. har koi mutual funds ki taraf Attract ho kar apna mutual funds Account open karva raha hai. yadi ap bhi mutual funds me invest karte hai, to apka bhi bahuit paisa isme hota hai, isliye apko isme bhi apna Nominee Selection karna jaruri hai.
Property :-
Property me to har kisi ko apna Nominee Selection jarur karna chahiye, kyo ki jab Property owner ki death hone par apki Property ka Wrong use ho sakta hai. isliye apni Propertyme ap Nominee ke sath pahle se hi Property will bana kar apni Property ka Batwara kar dena chahiye, taki kisi ko koi Problem na ho.
Nominee name kaise add kare? (How to add a nominee Name)
Internet par jab aap Nominee name kaise add kare Search karenge to apko bahut kam resultshow honge. Yadi ap apna Nominee name add karvana chahte hai, to apko apne bank Branch jana hoga vaha apko Nominee Form lekar use pura fill kar Submit karna hoga. jiske bad apke Bank account me Nominee name add ho jayega.
Nominee name kaise change kare? (How to change the nominee name)
Jab ham apnme Nominee ka Selection kar unka name add karva dete hai, to hame bad me lagta hai ye sahi Nominee nahi hai us Condition me ham apne Nominee ka name change bhi karva sakte hai.
Nominee name change karane ke liye aap Net banking se ya fir Bank branch ja kar bhi apne Nominee name change karva sakte hai. Apko bank ki branch me jakar Change Nominee name form fill kar Submit karna hoga.
Patanjali Store Kaise Khole, Online Apply Patanjali Store in hindi
Cheque Bounce Kab Hota Hai, Check bounce legal process in hindi
Mobile Number Port Kaise Kare, MNP Process in hindi
Best Selfie Kaise Lete Hai Tips In Hindi
आत्मविश्वास कैसे बढ़ाएं? Self Confidence in Hindi