Internet ka use karte Hai to apane VPN ka naam to Jarur suna hi hoga, VPL aaj ke Samay mein bahut jyada demand mein hai. Jab Bhi internet ki security ko Lekar baat ki Jaati Hai, vaha per Har Koi VPN ka naam Jarur leta hai, lekin VPN ka kya use hota hai? VPN se Kis Tarah data secure Kiya Ja sakta hai? uske bare mein Jankari bilkul Nahi Hai. Kai vyaktiyon ko VPN Kya Hota Hai? VPN itna zaroori Kyon Hai? VPN se internet ki security kaise ki jati hai? is bare mein bilkul bhi Jankari Nahi hai. Aaj aapko bataenge VPN Kya hai? VPN ka kaise use Kiya jata hai?
0Kuch Saman se internet ka upyog Teji ke sath badhta ja raha hai. Paiso ke transaction, shopping, business, banking, trading Jaisi kai facility online hone ke bad Har Koi internet ka use kar raha hai, aise Mein FIR chor-Lootere Piche Kaise rahenge? vah bhi internet per aa gaye Hai aur online Chori ko Apna business bana rahe hai.
online Chori Kya Hai?
Chhoro Ne online Chori karne ke Aise Aise tarike nikal liye Hai, Jiske bare mein Ham Soch Bhi Nahi Sakte hai. Online Chori ki badhti ghatna ko Dekhte Huye Har Koi online security aur privacy Sabhi Ke liye ek Badi samasya ban gayi hai. In choro se apne data ko secure karne ke liye Jis Suraksha ko khoja Gaya Hai unmen se ek upay VPN Bhi Hai.
VPN kya hai? (What is VPN in Hindi)
VPN ka pura naam virtual private network hai. VPN Network Technology hai, jo Unsecure network ko surakshit network Mein Divert karne ka kam karta hai. VPN user ki location or identity hide karne mein bhi Kafi madad karta hai, Sath hi VPN ki personal identification ko Puri tarike se hide Karke Rakhta hai, itna hi Nahi yah Hamare freedom of internet ke adhikaro ki security karta hai aur aapko pratibandhit facility aur website Tak pahunchne Ki permission deta hai.
virtual private network kya hai?
Internet per Har Koi apni private information ko Lekar Kafi pareshan hai. virtual private network VPN aapke important data ko galat Hatho Mein jaane se bacha sakta hai. Jante Hai Kuch Khaas VPN ke bare me.
– Nord VPN
– Tunel Bear VPN
– Golden Frog Vypr VPN
– Keep Solid VPN Unlimited
– Tor Guard VPN
– IP Vanish
– Pure VPN
Nord VPN :-
Jab Bhi VPN ki baat ki Jaati Hai To sabse pahle Nord VPN online activity ko secure karne ke mamle mein sabse best Mana jata hai. Ismei pure Vishv Mein 3400 Se Bhi Jyada Servers Available hai. Ismein Special optimization server bhi available hai. Yah Apne Sabhi customer ki security Ko High karne per kam karta hai aur yah aapko lagbhag Sabhi platform per Easily mil jaega.
Tunel Bear VPN :-
Apane yadi VPN Ke shetra mein abhi shuruaat Ki Hai, To Tunel Bear VPN ki security aapke liye sabse best option sabit ho sakti hai. User interface aasani se kam mein le sakte hai. Tunel Bear VPN Mein Vishva Bhar me 22 locations per 1000 Server hai. Uses ko Yaha bahut ultimate service offer karta hai, kiski privacy policy sabse best Mani Jaati Hai. interface ki yadi baat ki Jaaye to iska interface bahut jyada colourful hai. Tunel Bear VPN ka use karte hue aap Badi Hi aasani Se apni online security ko sunishchitshit kar sakte hai.
Golden Frog Vypr VPN :-
Golden Frog Vypr VPN Aapka traffic secure karta hai aur sath aapko Firewall bhi offer karta hai. Duniya Mein Iske Ek Nahi balki saikadon server hai, Privacy-policy ki yadi baat ki Jaaye to uski bahut jyada strong privacy policy hai. Is ke security features VPN services Mein top per Shamil Karte Hai. iski ek baat Har Kisi ko apni or attract Karti Hai vah yah hai ki yah Ek Sath 3 device ko support karta hai.
Keep Solid VPN Unlimited :-
Security or privacy features ka strong pack sirf Keep Solid VPN Unlimited hi deta hai, yah Ek Sath 5 devices ko connect karne ki facility bhi deta hai. Sabse Jyada VPN services ISI facility ko offer karti hai. yah duniya ki 70 locations per 400 server ke sath best service Deti Hai.
Tor Guard VPN :-
Kai vyakti Torrent ka use karte Hai, Ya kam Mein lete Hai to aapko apni pahchan secure rakhne ke liye Tor guard VPN sabse upyogi sabit ho sakta hai. Yah aapke traffic ko secure rakhne Mein madad karta hai. Yah aapke mobile, router, streaming box ko support karta hai Iske Duniya Mein Kareeb 3000 server available hai.
IP Vanish :-
Web traffic ko galat Logon se surakshit rakhne mein IP Vanish Behtar work Karta Hai yah aapko extra Security features deta hai. IP Vanish selected VPN mein se hai, jo Data download performance offer Karte Hai, Duniya Mein 60 Cities mein 1000 Se Bhi Jyada Iske VPN server available Hai.
Pure VPN :-
Solid performer Mein sabse pahle pure VPN Ka Naam Liya jata hai. yah Apne uses ko starting aur advanced features ke sath offer karta hai. yah Bajar Mein available dusre VPN services Se bahut hi alag hai. filhal To yah 140 desho Mein 180 different different location per 750 service ki facility uplabdh karta hai.
Data Science Coures Kya Hai Kaise Banaye Apna Best Career
Pen Drive का Data कैसे Recovery करें, डाटा रिकवर करने वाला Software
Whatsapp Number Change : Data Delete Kiye Bina Whatsapp Number Kaise Change Kare?
Laptop To Laptop Data Transfer Kaise Karte Hai?
Common Service Centre ओपन कैसे करे, क्या है Registration Process?