Technology Se Banaye Logistic Sector Ko Asaan

Bharat Desh Ka Kareeb 80 pratishat Logistic sector unorganized hai, ismein profit hone ke bavjud bhi Chhote business iska pura fayda Nahin Utha par Rahe Hai. yah bahut jyada profit wala sector Mana jata hai. Research mein bhi is baat ka khulasa hua hai ki logistics sector Mein yadi Technology ka bharpur istemal kiya jaaye to is sector Main safalta Hasil karne ke bahut Sare Raste Hote Hai.

halaki Uske piche Chhote Business Technology ka upyog Sahi tarike se nahi kar paate Hai, Yadi small business Technology ka upyog Kare to, Logistic sector me aane wale Kuchh Salo me ye business 50 billion dollar ka ho sakta hai, Sath hi Global logistics sector ki baat ki Jaaye to yah Ane wale Kuchh Salo Mein 1375 billion-dollar hone ka anuman Lagaya ja raha hai, Jiska mukhya Karan organised Logistic sector Ko Mana Ja raha hai.

Logistics sector ko Aasan Kaise Banaye ?

logistics sector ko Asan banane ke liye Hame Kuchh Bato per Dhyan Dena bahut Jaruri Hota Hai. Sabse pahle Hame Logistic sector mein Technology ka bharpur upyog karna hoga Sath hi Hamen.

– Digitalization Ki avashyakta.

– warehouse Park develop.

– Marketing ka upyog.

– Delivery ke bad bhi contact Mein Rahana.

– Home based service aur insurance.

Ka dhyan rakhna bahbut jaruri hai.

Digitalization Ki avashyakta :-

Logistics sector Mein Kam Karne Wale Chhote customers ko aap apne se sirf tabhi Jod kar Rakh sakte hai, Jab aap apne Busines me Technology best service pradan karte hai. Yadi aap apne business mein online shipment book karne ki facility, Tracking, mobile best service, insurance aur bhi Kai facility ko Add Karte Hai.

Customer ke vyavhar per survey Main is baat ka ullekh Kiya Gaya hai, ki multinational company on ki growth 8 pratishat Jyada Hui Hai, Esi companiya Sabhi Prakar ke apne customer ko digital best service deti Aa rahi hai. Inme Sabhi unorganized Tor par kaam karne wale Chhote business asafal huye hai, Kyunki Hua Technology ka upyog Nahi karte hai.

Warehouse Park Develop :-

Apne business ko Sahi model Me viksit karne ke liye zaroori hai ki aap nai Technology wale warehouse aur Logistic Park develop Kare, where house aur Logistic Park develop karne ke liye aapko Aur Bhi Jyada Nivesh karne ki avashyakta hoti hai, Lekin aap ko Pareshan hone ki jarurat Nahi Hai, iske liye Bank aur Finance Company aapko loan uplabdh karati hai.

yadi aap Is Tarah ki facility ko develop Karte Hai To aap se Ecommerce sector Mein kaam karne wali Kai companiya judti hai. Desh Mein warehouse for Logistic Park ki bahut jyada Kami hai.

Marketing ka upyog :-

Bade sectors main kaam karne wali badi badi companiya main apne business ke budget ka 3 pratishat Bhag marketing par kharch Karti Hai, Is Tarah Ki companiya digital marketing per sabse Jyada Dhyan Deti Hai. traditional marketing se digital marketing sabse Sasta medium Mana jata hai, isliye Tier 2 Aur Tier 3 shahron Ke Chhote business bhi Digital marketing ka aasani se upyog kar sakte hai, aapko iska Fark Bhi Apne business per Kuchh hi Samay Mein dikhne lag jata hai.

Delivery ke bad bhi contact Mein Rahana :-

Logistics sector ka sabse bada challenge time-bound delivery Hota Hai. aap ka Prayas Esa Hona chahie ki apni service dene ke bad bhi customer social media ke Madhyam se aap ke Sampark Mein Rahe.

Aisa karne ke bad aap apne customer ka ek Sahi data taiyar Karke Rakhe aur unhen service ke naye naye plan bhi offer Karte Rahe. Aapki client list mein Aisi Kai company Ya business Hai, jinhe Logistic support ki sabse Jyada avashyakta hoti hai aur Unki aur Adhik Dhyan dene ki bhi jarurat hoti hai.

Home based service aur insurance :-

Aaj ke Samay Mein customer ki sabse Pahli prasand vali companiya vah hai, jo home best service uplabdh Karati hai. customer Chahte Hai Ki jab vah Koi service ya Saman Lete Hai, To unhe kisi company ya transport ke office mein Na Jana Pade.

home based service ki facility bhi is market ke liye big player ko Indian customer ki pahle Pasand bana rahi hai. Unorganized Bhartiya companiyo ko avashyakta hai ki vah home-based delivery service Shuru Kare, jisse insurance AC service bhi customer ko aapki or attract kar sakti hai.

Apni Car Ko Banaya Technology Friendly-Control Car with Phone

Scarcity marketing kya hai, kaise karen use?

VPN Kya Hai , Data Secure Kaise Kiya Jata Hai ?

बच्चों को Mobile की लत से कैसे बचाएं ?

Best quality में ये हैं सबसे सस्ते Earphones

data-full-width-responsive="true">