Online security aaj ke samay me kafi aham mudda ban gaya hai. Network security ke liye bhi users kafi alert rah rahe hai. Har ghar me apko ab Wi-fi network ki Facility mil jati hai. Lekin kai bar apko Wi-Fi Network Secure karne me kafi mushkilo ka samna karna padta hai. Kai bar Wi-Fi Network Secure ki Information nahi hone ki vajah se Hackers ip address hack kar lete hai. Jisse apko kafi nuksan hota hai.
Network security ke liye users ko apne Wi-Fi Network ka password change karte rahna chahiye. Is Process ke bad apke Wi-Fi network ke misuse ki sambhavna kam ho jati hai. Apke ghar office me bhi Wi-Fi connection laga hai to apko isake password ko har 1 ya 2 Month me change karte rahna chahiye. Yadi apko Wi-Fi connection ka password change karna nahi aata hai to ham apko aaj batayenge ki wifi ka password kaise change karte hai.
Users ko Hona Chahiye in Bato Ka Dhyan :-
Users ko apne model name, Router brand name ki information hona chahiye.
Router configuration portal ke URL ki information.
configuration portal ke Login id and password ki information.
Users ke pas Laptop mobile phone ka hona jisme vah Wi-Fi connection ho sake.
Ek lan cable jisme router Connect kiya ja sake.
Wi-Fi Password Kaise Change Kare? (How To Change Wi-Fi Password)
– User apne Wi-Fi se ek device ko connect rakhe.
– Connect device se web browser Open kare.
– User browser me router configurations page Open kar TP-Link router type kar enter kar de.
– Router settings me default username and password set kare.
– Wireless security option Select kare.
– Passphrase, Password or shared box me new Password dale.
– Better Security ke liye Alphanumeric password set kare.
– router configuration, Router settings default username, model number URL note kar rakh le.
Kaise Password Ko Hack Karna Mushkil Hota Hai?
jab bhi ap apne Wi-Fi connection ka password Create karte hai to use kafi Strong banana chahiye, taki us password ko Hack kar pana mushkil ho. Hame Password ka use na karte huye pattern ka use karna chahiye. Apka password jitna bada our jitna Different hoga. Hackers ke liye use Hack kar pana utna hi mushkil hota hai.
Jab bhi users simple password Set kartye hai to, unke Hack hone ka khatra our bhi bad jata hai. Apki jankari ke liye bata de ki Hackers Hit and trial method ke dvara data connection tak pahuch jate hai.
– Alphanumeric letter and number ka hi password set kare.
– Simple password na lagaye jese house number, Household name, bike number,car number, phone number .
– Password strong hona chahiye jiske liye password me Special characters use karna chahiye.
wifi Password Recover Kaise Kare? (How to Recover wifi Password)
kai users apna wifi ka password bhul jate hai, ye ek aam bat hai. Kai bar jab ham apne Wi-fi network setup par password set karte hai to, hame purana password yad nahi ata hai. Lekin apko pareshan hone ki jarurat nahi hai kyo ki ap kuchh aasan Steps follow kar apna wifi password ko Recover kar sakte hai.
Windows :-
Internet ap apko kai ese apps milenge jo kahte hai ki aap unki sahayta se Wi-fi password recovery kar payenge lekin apko Windows me Wi-fi password recovery karne ke liye kisi bhi app ki jarurat nahi hoti hai. Lekin users is bat ka dhyan rakhe ki yadi apne Security Personal Set kiya hua hai tabhi ap is Process la use kar sakte hai.
– Sabse pahle users ak computer le jo usi Wi-Fi network se connected ho.
– Start par Click kar Control Panel me Network and Sharing Centre open kare.
– Windows 8 computer me users Windows key + C ko Tap kar search par Click kare. End me Network and Sharing Center Search kare.
– Change adapter settings Select kare.
– Users jis Wi-Fi network ko use kar rahe hai us par Right-click kar Status ko Select kare.
– Wireless properties Select kare.
– Security tab open kare.
– Is Process se ap Wi-Fi network ka name and hidden password ko dekh payenge.
– Show characters check karne se apko password dikhane lagega.
Third-Party App install :-
User Third-party app install kar bhi apne password ka pata laga sakta hai.
WiFi Password Revealer :-
User WiFi Password Revealer ka use kar bhi apne WiFi Password Recover kar sakta hai. Installer AVG TuneUp ya Skype Install karne ke liye kahega, lekin user ko Installation ke doran ise unchecked karna chahiye.
installation ke pure hone ke bad program ko Run kare. User ab Wi-fi network ke sath password bhi dekh sakenge. Dhyan rahe apko is program ko sirf chalana hai iske alava kuchh our bhi nahi karna hai.
Mac :-
Aap apne WIFI password ko Keychain Access app se bhi Search kar sakte hai. Janiye kya hai iski Process?
– user sabse pahle Applications/Utilities Select.
– Keychain Access open kare.
– Top left me Keychains tab karne ke bad System keychain Option me jaye.
– search box me SSID type kar us Wi-Fi network ko search kare, jiska ham password janne ka peyas kar rahe hai.
– User ise Manually list me bhi search kar sakta hai.
– Searching me name Show hone ke bad network name par Double click kare.
– Ab apke samne User account password show hoga, lekin apse puchh jaye to User account password apko batana hoga.
Fir Bhi Na Bane Bat To Kare Ye Kam :-
In sabhi Process ke bad bhi yadi apko apne wifi ka password pata nahi chalta hai to apko apna Router reset karna hoga tabhi ap apne wifi ka password jan payenge. Jab koi bhi Tricks kam na aaye to Router reset karna akhari option hota hai.
User ko ab Internet connection restore karna hoga jiske liye unhe network ka fir se shuruaat se setup karna hoga. Yadi apko is bat ki jankari nahi hai to antim me Internet service provider se contact karna hoga our unhe apni Problem batana hoga jiske bad vah apke Internet connection restore kar fir se pura setup karenge.
Smartphone का Password Reset कैसे करे?
Computer Password Reset कैसे करे, Password Reset Disk कैसे बनाए?
Computer Ka Password Kaise Tode
Without Software Pendrive Ka Password Kaise Set Kare