India Me Aadhar Card Ek Bahut Jaruri Document Hai. Agar Aapne Abhi Tak Aadhar Card Nahi Banwaya Hai Ya Fir Banwane Ke Liye Dia Hai To Aapko Uske Banne Ka Intezaar Hoga. Aap Khud Bhi Aadhar Card Status Check Kar Sakte Hai. Aap Sirf Apne Naam Se Apne Aadhar Card Ka Status (Aadhar Card Status By Name) Check Kar Sakte Hai.
Aadhar Card Status By Name Or Number
– Sabse Pahle Aap Aadhar Card Ki Website https://uidai.gov.in Par Jaye.
– Yaha ‘My Aadhar’ Par Jaakar ‘Check Status’ Par Click Kare.
– Yaha Par Aapse ‘Enrollment Id’ Maangi Jayegi Jo Aapko Aadhar Card Banwate Waqt Di Gai Slip Me Hota Hai.
– Iske Alawa Yaha Par Aapko Apni Date Of Birth Daalni Hai.
– Iske Baad Aapko Yaha Security Code Daalna Hai Jo Wahi Par Aapko Dikh Jayega.
– Bas Iske Baad Aapko Check Status Par Click Karna Hai. Aur Aap Dekh Payenge Ki Aapka Aadhar Abhi Tak Bana Hai Ya Nahi.
To Is Tarah Aasani Se Aap Apne Aadhar Ka Status Check Kar Sakte Hai. Aadhar Ka Status Check Karne Ke Liye Aap Apne Paas “Enrollment Slip” Ko Jarur Rakhen. Isme Aapka Enrollment Number Hota Hai Jo Aadhar Nahi Banane Ki Condition Me Aapke Kaam Aata Hai.
Whatsapp Audio Feature : Whatsapp Par Ek Sath 30 Audio Files Kaise Bheje?
LED TV Ko Mobile Se Kaise Connect Kare
Resume बनाने से पहले रखे इन बातों का ध्यान
Credit Card के कुछ ऐसे Profit जो बैंक आप को नहीं बताता
घर बैठे मिलेगा 1 लाख रूपये तक का लोन, जानिए कैसे
एक SMS से होगा आपका आधार कार्ड पेन कार्ड लिंक