Ek jamana hua karta tha jab gine chune log hi apple ka phone use kia karte the lekin aajkal apple ka smartphone kai logo ke paas hota hai. Apple ka phone use karne walo ke sath aksar ye hota hai ki wo itune aur icloud ke liye do alag-alag id ka use karna chahte hai lekin kare kaise ye sabse badi dikkat hoti hai to aapki is dikkat ka hal aapko is post me milega.
Apple device par kaise badle apne id?
Apple device par apni id badlna kaafi aasan hai lekin iske liye aapke paas latest version wala ios aur internet connectivity hona chahiye. Apple device par id badalne ke do step hai. Jo kaafi aasan hai. In do step ke jariye aap apne apple device ki id badal sakte hai.
Sabse pahle purani id remove kare
– Purani id remove karne ke liye sabse pahle iphone ya ipad ki setting me jaye.
– itune ya apple store par click kare.
– Screen ke top par apple id par click kare.
– Menu me sign out ke option par click kare.
New apple id kaise add kare?
– Apni ios device ki setting on kare.
– Setting me itune ya apple store par click kare.
– Apple id ke option par click kare.
– Sign in ke option par click kare.
– New user id aur password dale.
– Sign in par click kare.
To is tarah aap aasani se apne apple device par apple id ko change kar sakte hai. Yaad rahe ki jab aap id change kar rahe hai to aapke pas ek new apple id hona chahiye. Aap jab wapas se account sign in karenge to aapko new apple id banana hogi.
Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?
Without Internet Smartphone Use
Set Up New Smartphone, Naye Smartphone Ko Safe Kaise Rakhe?
Pan Card Online Apply : Online PAN Card Ke Liye Kaise Apply Kare?
Gmail Smart Compose Aur Gmail Smart Reply Kya Hai
Mobile Hang Problem Solution In Hindi