Bank me job karna aaj ke time me har youth ka Dream hota hai. kai Student future me clerk ya probationary officer (Po) banane ke liye Hard work karte hai. kai log isame Success bhi ho jate hai, to kuchh logo ka Dream adhura rah jata hai. kai logo ko clerk kaise bane? Is bate me pata nahi hota hai.
kai logo ko is bat ka sahi Guidance nahi mil pati hai, jis vajah se vah apne clerk banane ke Dream ko pura nahi kar pate hai.lekin apko pareshan hone ki jarurat nahi hai. aaj ham apko batayenge Bank clerk kya hota hai? Bank clerk kaise bante hai? clerk banane ke liye qualification kitni honi chahiye? clerk ki salary kitni hoti hai? Bank clerk banane ke liye kya kare?
Bank clerk kya hota hai?
Jab aap kisi bhi bank ki Branch me jate hai, to sabse pahle aap bank me kya dekhte hai? ek counter par ek bank Staff betha rahta hai, jo apke dvara giye gaye kam ko complete karta hai. jese Cash deposit karna cash withdrawal karna, Passbook entry karna, RTGS and NEFT karna, Check deposit karna ye sabhi kam karne vale bank ke Staff ko hi clerk kaha jata hai. clerk job hi kam karta hai, vah pass hone ke liye bank ke Officer ke pas jata hai.
Qualification of Bank clerk
Nationalize Bank jese Bank of india, SBI, Bank of Maharashtra, Punjab National Bank, Central Bank etc bank me clerk banane ke liye apko Minimum Graduation Complete karna Compulsory hota hai. Student kisi bhi subject me Graduation Complete karke Bank me clerk ki Exams de sakte hai. aap jis State me exam de rahe hai, to apko vaha ki Local Language (Hindi, Gujrati, Marathi) ana Compulsory hota hai.
Bank me sabhi kam computer se hi hota hai, isliye apko Computer ka knowledge bhi hona bahut jaruri hai.halaki bank apse kisi bhi tarah ka Computer courses ya certificate ki Demand nahi rakhta hai, lekin apko computer ka pura knowledge hona bahut jaruri hota hai.
Age limit of Bank clerk
Yadi aap bhi Clerk banane ke liye application dena chahte hai, to apki Age20-28 year hona bahut jaruri hota hai. bank me Clerk banane ke liye Age limit me OBC 3 years, ST, SC 5 years, handicapped ko 10 years ki chhut di jati hai.sath hi Ex-serviceman, widow ko bhi Age limit me chhut di jati hai.
Clerk Kaise Bane?
Indian Banking Personal Selection (IBPS) ek Board hai, jo har year bank me clerk our PO ke liye Examination Recruitment karta hai. yadi aap in sabhi Condition me sahi hai, our Education qualification bhi sahi hai, to ap IBPS clerk exam de sakte hai.
IBPS India me Nationalized banks jise aap Government bank ke name se jante hai, inme Recruitment ke anusar Online examinations karvata hai, lekin SBI (State bank of India) apne sabhi employees ki Recruitment ke liye khud hi Examinations ki planning karta hai. yadi aap bhi bank me Clerk banane chahrte hai, to samay-samay par apko Rojgar Samachar ya IBPS Website par Visit karna chahiye.
Time ka rakhe dhyan :-
Bank me Clerk banane ke liye apko time Management karte ana chahiye.yadi apko time Management karte aa gaya to apko Success hone se koi nahi rok sakta hai, kyo ki Bank clerk exam me sabse IMPORTANT time hota hai. apko Fixed time me Paper complete Solve karna hota hai. apko exam me Paper complete Solve karne ke liye Plan karna jaruri hai.
Bank Clerk exam ke liye kya padhe? (Sturdy of Bank Clerk exam)
Bank Clerk exam me Reasoning, Maths Computer awareness General knowledge ke question puchhe jate hai.
Maths :-
Maths ek esa subject hai jo kisi ko to bahut easy lagta hai, to kisi ko bahut Tough lagta hai.jab aap bank Clerk exam ki taiyari karte hai, to apko Market se koi bhi Bank clerk preparation ki book la kar usme diye gaye Questions ko Solve karne ka pryas karna chahiye.
Reasoning :-
Reasoning ek Interest subject hai, jise aap ek bar samajh lete hai, to ap kai Questions ko Solve kar sakte hai. lekin in Questions ko Solve karne ke liye bhi apko kafi Practice ki jarurat hoti hai.
Computer awareness :-
Aap Computer courses kar chuke hai, ya fir Computer ki modus operandi jese input-output ke bare mke samjhte hai, to apko is subject me jyada Tension lene ki jarurat nahi hai. apko Computer me apko basic program ki information hona bahut jaruri hai.jese MS office,Word, excel, PPT, email, internet etc.
English :-
Yadi aap Hindi Medium Student hai, to apko English me hard work karne ki jarurat hai. English ki preparation karne ke liye apko ya to coaching ya fir english class ko Join karna bahut jaruri hai.
Aap chahe to Internet ki help se bhi Bank Clerk exam ki taiyari kar sakte hai. Internet par lakho Website hai, jinase aap online bank clerk taiyari kar sakte hai. aap chahe to Internet par youtube ke jariye bhi video dekh kar Bank Clerk exam ki preparation kar sakte hai.
State Bank of India me job kaise milegi? (job in State Bank of India)
Sbi me clerk banane ke liye apko State Bank of India exam den eke liye apki Educational Qualification kisi bhi Recognized university se Graduation pass hona Compulsory hai. jab aap apna Graduation Complete kar lete hai, tabhi aap SBI me Clerk banane ke liye exam de sakte hai. jab tak apka Graduation Complete nahi ho jata hai, to ap Sbi me clerk ke liye Apply nahi kar sakte hai.
SBI Clerk Exam Age Limit kya hai? (Age Limit of SBI Clerk Exam)
SBI Clerk Exam me General Category candidates ke liye Age Limit Minimum age 20 our Maximum age 28 years honi chahiye.
SC/ST Candidates ke liye Age Limit me 5 years our OBC class ke candidates ke liye 3 years ki chhut di jati hai.
SBI Clerk Exam Pattern kaisa hota hai? (pattern of SBI Clerk Exam)
SBI Clerk banane ke liye Written exam online li jati hai. ye exam do tariko se hoti hai.
– Preliminary Examination
– Main Examination
Preliminary Examination :-
Preliminary Examination me 100 questions included hote hai. har 1 1 question ka 1 numbers hota hai. Preliminary Examination ke question paper ko Solve karne ka time 1 Hours ka hota hai.
Preliminary Examination me 3 Subject included hote hai.
– Reasoning (35)
– Numerical Qualification (35)
– English (30)
Main Examination :-
Main Examination me 190 questions included hote hai, ye question paper 200 numbers ka hota hai. Main Examination me question paper ko Solve karne ka time 160 Minute (2 Hours) ka hota hai.
Main Examination me 4 Subject included hote hai.
– Reasoning + Computer Knowledge (40 marks) (45 minutes)
– English Language (40 marks) (35 minutes)
– Quantitative Aptitude (40 marks) (45 minutes)
– General Awareness (40 marks) (35 minutes)
Bank clerk exam pass karne ke liye Simple tips? (important and easy tips for bank clear proposal)
– All subject ke liye ek Time table set kare. Apke dvara banaya gaya Time table ko aap sahi se follow kare. Exams me apke liye sabhi subject IMPORTANT hote hai, isliye sabhi subject ko sahi our barabar time de. Current Affairs and General Knowledge Related Question bank exam me puchhe jaate hai. iski Pipration karne ke liye apko daily English and Hindi news papers Read karna chahiye.
– Exam preparation karne ke pahle apko Exam pattern ko achche se samjh lena chahiye. isase ap bahut achche se Exams ki preparation kar payenge.
– Self-Test lena apke liye bahut jyada Beneficial ho sakta hai, iske liye apko is bat ka pata chal jayega ki aap Exams ke liye kitne taiyar hai.yadi aap apne Self-Test ko paas kar lete hai, to apne ab tak job hi padhai ki hai, vah sahi hai. nahi to apki itni mehnat kisi kam ki nahi hai. yadi jis Section me apki Exams ke liye taiyari nahi ki he to, apko is bat ka bhi pata chal jayega. Self-Test lena sabhi ke liye kafi IMPORTANT hota hai.
– Exam se paahale our exam ke doran apko apna Self-confidence banaye rakhna bahut jaruri hai, kyo ki dekha jata hai, ki exam ko le kar sabhi me kafi Tension aa jata hai. is Tension ke chalet vah exam me un questions ko bhi nahi kar pate hai, jo unhe ate hai. isliye kabhi bhi Tension ya kisi tarah ke strain ko apne upar havi nahi hone dena hai.
SBI Clerk Exam Pattern kaisa hota hai?
SBI Clerk Exam me Written exam online li jati hai.is exam ke do part me hone ki sambhavna hoti hai.
Initial (1 hour me 100 marks examination , 100 questions included)
Main (2 hours 40 minutes me 200 marks exam, 190 questions included)
preliminary examination :-
preliminary examination me 100 questions included hote hai, jiska Time 1 hour ka hota hai.
in Questions ko 3 parts me divided kiya jata hai.
– reasoning
– Quantitative aptitude
– English
Main exam :-
Main exam me 190 questions included hote hai, jo 200 marks ke hote hai. jiska Time 160 minutes ka hota hai.
Question 4 parts me divided hote hai
Selection purely main examination ke based par kiya jayega. Is exam me kai Subject hote hai.
– Reasoning + Computer Knowledge (60 marks)
– English language (50 marks)
– Quantitative Aptitude (50 Marks)
– General Awareness (40 marks)
All Subject ka exam me Equal importance hota hai,isliye hame sabhi par Concentrate karna bahut jaruri hai.
SBI clerk exam ki taiyari kaise kare? (Preparation of SBI clerk exam)
Exam me success ke liye kisi tarah ka koi Secret nahi hota hai, balki lagatar Effort se ham success ko hasil kar sakte hai. apko sabse pahle revision ke liye Proper time table banana chahiye. our hamare dvara banaye gaye time table ke anusar hame chalna bhi chahiye.
hame Exam Syllabus & Exam me puchhe jane vale questions ki Chance ke Level ki achche se inquiry kar lena chahiye. apko Mock test kai sabse jyada Practice karni chahiye.
Yadi apki Exam ke liye preparation sahi our best hai, to ap first attempt me hi Exam pass kar sakte hai, lekin iske liye apko bahut achche se taiyari karni hoti hai. Exam ke liye preparation karne se pahle apko is bat ki Information hona bahut jaruri hai, ki apko kis tarah se preparation karna hai. yadi apko is bat ki Information nahi hai, ki apko kin-kin subject me study karna hai, to ap kabhi bhi sahi tarah se study nahi kar payenge.
SBI Clerk Examination Methods :-
Reasoning Section ki taiyari kaise kare? (Preparation of Reasoning Section)
Reasoning ek tarah se Logic par based hota hai. ye sirf ek Mathematical skills nahi hai, jise Various threads ko yad kar hamara kam ho jata hai,yaha keval ek hi strategy kam ati hai, ki jitna ho sake aap sabhi types ke questions ki Practice kare. Exam ke liye Important subjects is prkar hai.
– Blood Relations
– The justice
– Statement and conclusion
– guidelines
– seating arrangements
– category
– Data sufficiency
– puzzle
– Non-verbal reasoning
– Coding-decoding
– Equality
– Classification
Quantitative ability section ki taiyari kaise kare? (Preparation of Quantitative ability section)
Is section me apki Numerical ability check karne ke liye Basic question puchhe jate hai. isme apko sabse pahle un question ke solution karne ka pryas karna chahiye jo apko easy lagte hai, kyo ki unme apko kam Calculation karne ki jarurat hoti hai.
Basic chijo se apko Start karna chahiye.bad me apko Concepts developed our unhe jyada karne ki Practice karna chahiye. apko sabhi Important shortcut Techniques ko bhi yad karna chahiye. exam ke liye kuchh Important Subject is tarah hai.
– Number system
– Simple interest and compound interest
– Work and time
– Time and distance
– profit loss
– Percent
– Average
– Ratio and Proportion
– Bar graph and pie chart
– Chance
English language section preparation kaise kare? (Preparation of English language section)
English language section in sabhi section me se sabse Hard sections mke se ek hai. exam me Excelled lane ke liye hame hame English language section me kafi hard work karne ki jarurat hoti hai. hame English grammar sahi se Knowledge hona bahut jaruri hota hai. hame apne Study ke tariko me sudhar karne ki jarurat hoti hai. good english magazines and newspapers ko Read kare.
English language section ke Important Subject :-
– Reading Comprehension
– Error detection
– Parajumbles
– Idioms and phrases
– Synonyms and antonyms
General awareness section ki preparation kaise kare? (Preparation of General awareness section)
General awareness ek esa section hai, jaha exam me puchhe jane vale Question ko ham Guess nahi kar sakte hai. General awareness Question banking Issues se related hote hai. Current world events ke bare me Information and static general knowledge GK ka apko samajh exam ke liye bahut jaruri hogi.
Aap bite 6 months ke Current affairs, finance related Topics, Economics, banking history, Banking terminology, And fiscal and monetary policies jese topics par Focus kar sakte hai.
Computer knowledge section ki preparation kaise kare? (Preparation of Computer knowledge section)
Computer knowledge section ki preparation karne ke liye Computer se related Basic information questions honge. Isliye apko Computer knowledge section ke liye Aware hone ki jarurat hai.
Sbi clerk exam ki taiyari ke liye Study material and books? (Study Material and Books for preparation of clerk exam)
clerk exam me easily pass hone ke liye our apne Career ko bright banane ke liye ap in Books ki help se exam ki taiyari kar sakte hai.
Quantitative Aptitude for Competitive Examinations (AS Chand)
Fast Track Objective Arithmetic (Arihant) Rajesh Verma
A New Approach Verbal and Non Verbal Reasoning (Arihant) BS Sijwali
A Modern Approach to Verbal and Non-Verbal Reasoning (AS Chand)
CA Kaise Bane, Chartered Accountant Ki Taiyari Kaise Kare?
Sub Inspector Ki Taiyari Kaise Kare, SI syllabus, qualification, exam pattern 2021
Success Ke liye Naye idea Create Kaise Kare
LED Bulb Business Start kaise kare?