Smartphone Ka Important Features Camera Hota Hai. Apka Phone Chahe Jis Bhi Company Or Brand Ka Ho Yadi Uski Camera Quality Best Hai To Har Koi Us Phonee Ki Taraf Attract Hota Hai. Vahi Dusri Taraf Apka Phone Chahe Jitna Bhi Mahnga Kyo Nah O Yadi Camera Quality Sahi Nahi Hai To Wah Kisi Ko Bhi Pasnd Nahi Ayega.
Smartphone Maker Companies Bhi Ab Apne Har Device Me Better Camera Quality Ko Lagate Hai, Taki Jyada Se Jyada Users Us Device Ko Pasnd Kare. Kai Phone Me High Megapixel Camera Nahi Hota Hai Jis Vajah Se Users Pareshan Hote Hai, Lekin Aab Un Users Ko Pareshasn Hone Ki Jarurat Nahi Hai.
Users Low Megapixels Camera Se Bhi DSLR Camera Jesi Photo Click Kar Sakte Hai.
Jiske Liye Apko Kuchh Asan Si Steps Follow Karni Hogi. Jiske Bad Ap Easily Tarike Se Apni Foto Ko Best Click Kar Sakte Hai.
Camera Settings
Best Photography Ke Liye Users Ko Apne Phone Ki Camera Settings Me Jakar Grid Line On Karna Hoga. Is Eon Karne Ke Bad Users Ko Camera Me Total 9 Columns Show Honge. Ab Jab Bhi Ap Apni Photo Click Kare To, Apni Photo Intersection Ke Center Me Rakhe. Jisse Apki Photo Best Ayegi.
Short Adjust
Jab Bhi Ap Apni Photo Ko Click Karte Hai To, Thoda Time Letye Huye Short Ko Sahi Se Adjust Kare. Jab Tak Ap Apne Object Par Focus Nahi Karenge Tab Tak Ap Apni Photo Ko Sahi Se Click Nahi Kar Payenge. Isliye Jab Bhi Ap Photo Click Kare To Short Adjust Kar Object Focus Karet Taki Aapki Photo Sahi Se Click Ho.
Photo Angle
Jab Bhi Koi Apni Photo Ko Kisi Angle Se Click Karta Hai To, Unki Photo Ki Quality Bhi Best Ati Hai. Isliye Dhyan Rahe Ki Jab Bhi Ap Apni Photo Ko Click Kare To Kisi Special Angle Ka Use Jarur Kare. Photo Click Karte Samya Yadi Ap Object Ko Special Angle Se Lete Hai To Apki Photo Ki Great Quality Apko Dekhne Ko Milegi.
Leading Leading Line
Jab Ap Photo Click Karte Hai To Apne Apni Photo Me Kuchh Line Dekhi Hogi, Ye Line Users Ko Kafi Dur Tak Le Jati Hai. Inhe Leading Leading Line Kaha Jata Hai. Yah Line Kisi Bhi Resho Me Ho Sakti Hai. Ye Straight Ya Goal Bhi Ho Sakti Hai. Jab Bhi Ap Kisi Train, Tracks, Stairs Ya Jungle Se Passing Hote Hai To, Ap Vaha Isse Apni Best Photo Click Kar Sakte Hai.
Creative Picture
Jab Bhi Ap Apni Photo Click Karte Hai To, Hamesha Creative Picture Lene Ka Pryas Kare. Kai Baar Apki Creative Picture Bahut Hi Shandar Hoti Hai. Jise Dekh Aapko Bhi Yakin Nahi Hota Hai Ki Esi Bhi Picture Click Ki Ja Sakti Hai.
Background
Jab Ap Kisi Photo Ko Dekhte Hai To Unme Kai Bar Object Kea Lava Sabhi Background Baller Hota Hai. Is Tarah Ki Photo Kafi Creative Lagti Hai. Esa Karne Ke Liye Ap Kai Tarah Ke Best Aaps Ka Use Bhi Kar Sakte Hai. Ap Apni Photo Ka Background Black And White Bhi Rakh Sakte Hai. Is Tarah Ki Photos Bhi Bahut Hi Shandar Rahti Hai.
Social Media Filter
Kai Users Sirf Social Media Par Post Ke Liye Best Photo Click Karte Hai. Lekin Vah Bhul Jate Hai Ki Social Media Par Bhi Filter Ki Bharmar Hai. Ap Apni Photo Click Kar Vaha Se Bhi Editing Kar Apni Photo Ko Behtar Bana Sakte Hai. Kai Bar Apki Simple Photo Bhi Editing Se Itni Beautiful Lagti Hai Ki Har Koi Use Like Kiye Bina Rah Nahi Sakta.
Direct Light
Jab Aap Kisi Ki Photo Click Karte Hai To Aapke Camera Par Direct Sunlight Aati Hai To, Apki Photo Kharab Ho Sakti Hai. Isliye Koshish Kare Ki Jab Bhi Aap Apni Photo Click Kare To Direct Sunlight Se Apne Phone Ke Camera Ko Bachaye. Our Photo Click Karate Samay Sunlight Ke Opposite Khade Rahe.
Photos Distance
Usrs Is Bat Ka Dhyan Rakhe Ki Jab Bhi Ap Photo Click Kare, To Subject Highlight Karte Huye Closeup Shot Lena Best Hota Hai. Jyada Distance Se Photo Click Karte Hai Our Apka Camera Normal Quality Ka Hai, To Apki Photo Bahut Kam Bar Achchi Ati Hai. Hamesha Perfect Photo Ke Liye Close Up View Hi Lena Chahiye.
Highlight
Jab Bhi Ap Photo Ko Click Karte Hai, To Sabhi Chijo Ko Cover Kar Pana Difficult Hota Hai. Yadi Ap Photo Me Sabhi Chije Cover Karne Ki Koshish Karte Hai, To Apki Photo Bigad Sakti Hai. Isliye Kisi Ek Hi Chij Par Camera Focus Hona Nchahiye.
Apps And Filters
Apni Photo Ko Best Banane Ke Liye Kai Users Apps Our Filter Ka Use Karte Hai. Jahir Si Bat Hai Ki Apps Our Filter Se Hamari Photo Ki Quality Our Bhi Clear Ho Jati Hai. Lekin Isse Apki Photo Me Natural View Capture Nahi Ho Pata Hai. Jab Bhi Aap Photo Click Karte Hai To Kisi Bhi Trah Ke Apps Ya Fir Filter Ka Use Nahi Karna Chahiye. Photo Click Karne Ke Bad Ap Beshak In Apps Ya Filter Ka Use Kar Sakte Hai.
Day Night Mode Option
Jab Bhi Ap Apne Normal Camera Se Photo Click Karte Hai To Day End Night Ke Hisab Se Aap Camera Settings Kar Sakte Hai. Our Apne Ordinary Mobile Camera Se Bhi Great Photo Click Kar Sakte Hai.
Camera Lens
Kai Bar Apki Photo Blur Ho Jati Hai. Jiska Karan Apka Camere Ka Lens Hai. Kai Bar Jab Ham Apne Phonr Ko Kahi Rakhte Hai, To Uske Camera Lens Par Dust Jama Ho Jati Hai, Jis Vajah Se Apki Photo Blur Ho Jati Hai.
HDR
Jab Aap More Light Ya Fir Bright Pictures Ki Photo Click Kar Rahe Hai To, Apke Liye HDR Mode Good Option Hai. Isse Ap Still Photography Ka Maja Le Sakte Hai.
Third Party App
Apni Photo Ko Profession Look Dene Ke Liye Users Third Party App Ka Bhi Use Kar Sakta Hai. Jab Bhi Users Apne Phone Se Photography Karte Hai To Vah Chahte Hai Ki, Unke Dvara Click Ki Gai Photo Ka Look Profession Aye Jiske Liye Vah Google Play Store Se Third Party App Ka Use Kar Sakte Hai. Apko Play Store Par Photo Ko Profession Look Dene Ke Liye Kai Apps Mil Jayege Jiske Use Se Ap Apni Photo Apne Anusar Bana Skte Hai.
Filter Photo
Jab Bhi Users Apne Smartphone Me Photo Click Karte Hai To, Unhe Photo Click Karne Ke Bad Filter Option Show Hote Hai. Jinse Aap Apni Photo Ke Shed Ko Badal Sakte Hai. Taki Apki Photo Ko Profession Look Diya Ja Sake. Users Iske Liye Google Play Store Se Third Party App Download Kar Uska Use Kar Sakte Hai.
Camera Accessories
Market Me Smart Gadgets Available Hai Jinhe Apne Phone Se Connect Kar Ap Apni Professional Photography Kar Sakte Hai. Market Me Apko Zoom And Smartphone Camera, Camera Lens Jese Kai Gadgets Available Hai , Jinka Use Kar Ap Apne Phone Ki Camera Quality Ko Best Kar Sakte Hai.
Best Selfie Kaise Lete Hai Tips In Hindi
Photography के लिए कौन-सा Apps इस्तेमाल करें
Smartphone Ko Banaya Apna Friend-Best Smartphone Tips And Tricks in Hindi
Best HD Photo Download Search Engine