Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye?

Near By Aadhar Card Center

Adhar Card Address and identity ke liye ek important document ban gaya hai. isker liye apke apne Adhar card me apna address our dusri Information ka sahi hona bahut jaruri hai. yadi apka Adhar card address ya apni kisi Information ko Change karvana hai, to apko apne Aadhar card center (Near By Aadhar Card Center) jana hoga.

Indian Citizens ke liye Adhar Card ek Compulsory document ban gaya hai. sabhi ke pas Adhar Card hona bahut jaruri hai.yadi kisi vykti ke pas Adhar Card nahi hai, to ap Government scheme ka labh nahi le sakenge. Government facility scheme ka use karne ke liye sabhi ke pas Adhar Card hona jaruri hai.

Aadhar card center 2 tariko ka hota hai, first Permanent Center our Second Temporary Center. Aadhar card Permanent Center ko Authorised Agency Full Time chalati hai, jabki Temporary Aadhar card Center ka koi Fixed Time our Outlet nahi hota hai.

Aadhar card Service Center / Aadhaar Enrollment Center

– Apko apne Family Member ka yadi new Aadhar card banvana ho.
– Aadhar card me Demographic Details Name, Number, Mobile, Email, Address, Gender, DOB Change karva kar apna Aadhar card Update karvana ho.
– Apki Age 15 years ho gai hai, to apko Aadhar card Service Center ja kar Biometric Details Update karvana Compulsory hai. Biometric Details me Finger Print, Iris, and Photograph ata hai.
– Biometric Details Update karvane ke liye apko apne pas Valid Document Proof rakhna jaruri hai.

Nazdiki Aadhar Card Enrollment / Update Center ka pata kaise kare?

Aadhar Card Center ka pata lagane ke liye apko kuchh Easy steps follow karni hogi. Ap apne ghar ke pas Aadhar Card Center ka pata lagana kafi simple proses hai.ap 3 tariko se apne ghar ke pas Aadhar Card Center ka pata laga sakte hai, ye tino tarike kafi Easy hai.

Aadhar Card Center ka pata lagane ke liye kya requirement hoti hai? (requirement to locate Aadhaar Card Center)

– Aadhar Card Center ka pata lagane ke liye Sabse pahle apke pas Data Pack ka hona jaruri hai.
– Searching ke liye apke pas Desktop / Laptop ya fir ek Smartphone hona jaruri hai.
– Yadi pake pas Smartphone ki jagah Simple Keypad Phone hai, to apki SIM me Balance hona jaruri hai.

UIDAI Official Site se najdiki nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye? (How to find Aadhaar card center to UIDAI official Site)

UIDAI Official Site se ap 3 tariko se Aadhar Card Center ka pata laga sakte hai. yadi ap chahe to, State Wise, PIN Code and Search Box se Aadhar Card Center Find kar sakte hai.

Sabse pahle apko UIDAI Site par Get Aadhar Section me Locate an Enrolment Center par Click karna hoga.ab ap Step by step Follow karte jaiye.

State wise Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye? (How to find a nearby Aadhaar Card Center State Wise)

– Sabse pahle State par Click kijiye.
– Second step me State, Sub District, District, Village / Town / City ko Select kijiye.
– Authorized Aadhaar Center ka pata lagan eke liye show only permanent centres Tick Mark kare.
– Image me dikh rahe Numbers ya Letters ko Captcha Verification box me Inter kare.
– And me Locate a Centre par Click kijiye.
– Finally apke samne ek new Page open hoga, jisme Aadhar Card Center ki list apke samne aa jayegi.

Pin Code se Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye? (How to find Near by Aadhar Card Center from Pin Code)

– Postal PIN Code par Click kijiye.
– 6 Digit ka apna Pin Code Inter kare.
– Captca Code Submit kare.
– Last me Locate a centre par Click kare.
– Ab apke samne ek new Page open hoga, jisme Aadhar Card Center list Show ho jayegi.

Search box se Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye? (How to find the nearby Aadhaar Card Center from search box)

– Sabse pahle Search Box par Click kare.
– Locality, City and District name Inter kare.
– Sahi Captcha Code bhare.
– Last me Locate a Centre par Click kijiye.
– Ab apke samne Aadhar Card Center list Show ho jayegi.

Mobile phone app se Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye? (How to find the nearby Aadhaar Card Center from Mobile phone app)

– Apne smartphone me sabse pahle Aadhar app Download kar install kar le.
– smartphone me Aadhar app open kare.
– Aadhar app ke Homepage par Find Enrolment Centre par Click kijiye.
– Area PIN Code Inter kare.
– Centre Name and Contact Person dono hi Optional ko Fill karna Compulsory nahi hai.
– Captcha Code Inter kare.
– Last me Submit par Click kijiye.
– New Page open hoga, jaha Center ka Name, Center chalane vale ka name aa jayega.
– Google Maps par dekhne ke liye View on map par Click kijiye.

UIDAI Customer Care Service se Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye? (How to find the nearby Aadhaar Card Center from UIDAI Customer Care Service)

– Sabse pahle apne Phone se 1947 Dial kare.
– Apni suvidha anusar language select kare.
– language select karne ke bad 2 Press kare.
– Customer Care Executive se bat karne ke liye 9 Press kare.
– Apna PIN Code Customer Care Executive ko bataye.
– Executive ko apke dvara batai gai Information our PIN Code se Customer Care Executive apko Nazdiki Aadhar Card Center ka pata batayega.

Nazdiki Aadhar Card Center ka pata lagane ke liye Important information (Important information of nearby Aadhaar Card Center)

Online Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye? (How to find the nearby Aadhaar Card Center from Online)

Sabse pahle ap Aadhaar Card Number Issued karne vali organization UIDAI website par jaye. UIDAI website par jane ke liye ap https://uidai.gov.in link google par Search kijiye. Is website se ap ghar bethe hi Nazdiki Aadhar Card Center ka pata laga sakte hai. is website se ap Private Aadhar Card center our Bank and post office ka pata bhi laga sakte hai. Aadhar Card Center ka pata apko is website se easily mil jayega.

Aadhaar linked services ka Benefits lene ke liye apko sabse pahle UIDAI website par jana hoga, jaha se ap New Aadhar Card Applicants Aadhar Seva Kendra me in services ke liye Appointment bhi le sakte hai.

– New Aadhaar Enrollment
– Name update
– Mobile number update
– Address update
– Date of birth update
– Gender update
– Email id update
– Biometric (photo + fingerprint + eye) update

Aadhar Seva Kendra me Appointment  kaise le?  (How to appointment at nearby Aadhaar Seva Kendra)

Aadhar Seva Kendra me Appointment lene ke liye apko kuchh easy Steps follow karni hogi. Appointment lene ke liye apko 7 Steps follow karni hogi.

Step 1:-

Sabse pahle apko UIDAI website (https://uidai.gov.in/) opne karna hoga.ab apko My Aadhar Tab Select kar drop down menu se book n appointment par Click karna hoga.

Step 2 :-

Book n appointment at UIDAI run Aadhaar service center header me City / Location Select kare. Ab Proseed to book an appointment par Click kijiye.

Step 3 :-

City / Location Select karne ke bad apke samne New page open hoga, jisme apko Aadhar service related options show honge. Un sabhi options me New Aadhaar, Manage Appointments, Aadhaar Updates options hote hai.

Step 4 :-

Agar apne Aadhar update option ka Selection kiya hai, to apko registered mobile number and captcha code Enter karna hoga. jiske bad ek Valid otp generat hoga. apko vah OTP Inter kar Applications ko Verify karna hoga. yadi ap New Aadhaar Application option ka Selection kar rahe hai, to apko apna new mobile number Verify karna hoga.

Step 5:-

OTP ka Successful verification ho jane ke bad apko online form Detailed me Fill karna hoga. is form me Appointment details, time slots, personal details etc Details ko Fill karna hoga. Details Filling Process ko continue rakhne ke liye apko har bar Next tab Par click karna hoga.

Step 6 :-

Appointments and personal details Fill karne ke bad apko Appointment book karne ke liye Time slot select karna hoga.

Step 7 :-

Appointment detail check kare, yadi usme kisi tarah ki koi mistake najar ati hai, to Previous tab par click kar ap apni mistake ko sahi kar sakte hai. agar Appointment detail sahi hai, to submit tab par Click kare. Iske bad apka Appointment book ho jayega.

Aadhar Seva Kendra Appointment Timing (Aadhaar Service Center Appointment Timing)

Apko kisi Special date and Time slot selection kar apna Appointment book karane ki jarurat hoti hai. Aadhar Service Center Hafte Mein 6 days Subah 9.30 se sham 6.00 baje tak open rahte hai.

Online Appointment charge:- (Online Aadhaar Service Center Appointment fees)

Online appointment book karne ki process me kisi tarah ka koi charge nahi lagta hai. yane ki Online appointment book karne ki process Service bilkul free hai.

Aadhar Card Status : Naam Se Aadhar Card Status Kaise Check Kare?

Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?

Voter ID Card में है गलतियाँ घर बैठे करवाएं ठीक

VID :- Aadhaar Virtual ID kya hai, Virtual ID kaise Banaye?

data-full-width-responsive="true">