Har Koi Chahta Hai Ki Uske Paas Latest Wala Smartphone Ho Aur Isliye Wo Har 2-3 Mahine Me Apna Smartphone Change Kar Deta Hai. Aapne Kabhi Dhyan Dia Ki Jab Aap Naya Smartphone Lete Hai To Sabse Pahle Kya Karte Hai. Is Article Me Ham Aapko 5 Aisi Chijo Ke Bare Me Batane Wale Hai Jo Aapko Naya Smartphone Lene Par Sabse Pahle Karna Chahiye.
Apne Account Ko Signup Kare.
Naya Mobile Lene Par Sabse Pahle Aapko Apna Gmail Account Signup Karna Hai. Aajkal Har Mobile Me Ye Compulsory Hota Hai Aur Ye Aapke Kafi Kaam Bhi Aata Hai. Agar Aapke Purane Mobile Me Aapka Gmail Account Sync Hoga To Aapke Sare Contact Bina Save Kiye Naye Phone Me Aa Jayenge. Sath Hi Ye Purane Phone Ke Photo Bhi Aapko Naye Phone Me Show Karega.
Lock Aur Password Set Kare
Aajkal Smartphone Me Alag-Alag Tarah Ke Lock Aa Rahe Hai. Kisi Me Fingerprint Lock, To Kisi Me Face Lock Aapke Naye Mobile Me Jo Bhi Feature Ho Sabse Pahle Mobile Ko Lock Kare Aur Uska Password Set Kare. Taaki Aapka Mobile Safe Rahe.
Phone Finder Set Kare
Agar Aapne Naya Phone Liya Hai To Aap Phone Me Sabse Pahle Phone Finder Setting Ko On Kar Le. Agar Ye Setting Aapke Phone Me Nahi Hai To Aap Kisi Bhi Phone Finder App Ko Install Kar Sakte Hai. Apne Phone Ko Chori Se Bachane Me Ye Aapki Kafi Madad Karta Hai.
Backup Setting On Kare
Naya Phone Aapne Liye Hai To Isme Backup Ki Bhi Vyavstha Kar De. Kyonki Koi Bhi Musibat Bol Kar Nahi Aati. Phone Ke Khone Ki Condition Me Ye Aapke Kafi Kaam Ayegi. Aap Kisi Bhi Online Backup Ko Le Sakte Hai. Chahe To Gmail Ya Fir Micorsoft.
Home Screen Ko Customize Kare
Ab Jab Aapne Apna Phone Secure Kar Liya Hai To Aap Apne Phone Ki Home Screen Ko Apne According Customize Kar Sakte Hai. Home Screen Par Aapko Koun Se App Chahiye. Koun Sa Color Chahiye, Koun Sa Font Aapko Accha Lagta Hai. Ye Sari Setting Kare Aur Naye Smartphone Ko Enjoy Kare.
Pan Card Online Apply : Online PAN Card Ke Liye Kaise Apply Kare?
Gmail Smart Compose Aur Gmail Smart Reply Kya Hai
Whatsapp Number Change : Data Delete Kiye Bina Whatsapp Number Kaise Change Kare?
Aadhar Card Status : Naam Se Aadhar Card Status Kaise Check Kare?
Whatsapp Audio Feature : Whatsapp Par Ek Sath 30 Audio Files Kaise Bheje?
LED TV Ko Mobile Se Kaise Connect Kare