Credit Card kya hota hai? Credit Card kitne Type ka hota hai? Credit Card Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hai? Credit Card ka use kis tarah kare? is tarah ke kai Question ham sabhi ke man me jarur ate hai. Credit Card ka use ham Online or offline shopping ke liye kar sakte hai.
Credit Card ka use karne se hame kai Fayde hote hai. Credit Card ka use karne se hame best Offer bhi milte hai. Online shopping me Credit Card ka use karne se hame kafi Discount bhi diya jata hai, jisase hamare paiso ki bachat bhi hoti hai.
Credit Card banvana thoda mushkil hota hai, jab ap kahi Job nahi karte, lekin kai bank apke Transaction ko dekhte huye bhi apko Credit Card Facility de diti hai, lekin yadi pake bank me bahut kam Transaction hai, our ap Credit Card banvana chahte hai, to iske liye pake pas sirf ek hi tarika hai, jisaka use ka aap apna Credit Card banva sakte hai. iske liye apki na to job karne ki jarurat hai, our na hi bank me jyada Transaction ki aap in dono ke bina bhi apna Credit Card easily banvana sakte hai.
Credit Card kaise banvaye? (How to make a credit card)
Credit Card banvane ke 2 tarike hote hai.yadi aap kisi bhi Office me job karte hai, to apki Salary base par apka Credit Card ban sakta hai. dusra tarika hai, yadi aap bank me Fixed deposit karvate hai, to bhi apka Credit Card ban sakta hai.dono hi tarike bahut hi easy hote hai. in dono hi tariko se apka Credit Card ban sakta hai.
yadi aap bank se Credit Card banvana chahte hai, to iske liye apko bank me Fixed Deposit karvana hoga. yadi ap bank me Fixed Deposit karvate hai, to apko bahut jaldi hi Credit Card ban kar mil jayega. Apki bank me apka Fixed Deposit nahi hai hai, to aap ghar bethe hi Fixed Deposit karva sakte hai, iske liye apke pas Internet banking facility ka hona bahut jaruri hai. yadi apke pas Internet banking ki facility hai, to aap Online hi Internet banking ka use kar Fixed Deposit karva sakte hai.
Fixed Deposit se Credit Card kaise banaye? (How to create a credit card with a fixed deposit)
Fixed Deposit par Credit Card lene ke liye apko apne bank ki Branch se contact karna hoga. sabhi bank me Credit Card banvane ka tarika bahut hi alag hai. sabhi bank ki Process to ek jesi hoti hai, lekin tarika thoda alag hota hai. jyada our sahi Information lene ke liye apko apni bank se Contact karna hoga. aaj ham apko batayenge SBI Bank Credit Card kaise banvaye?
Sabse pahle Bank holder ko apne bank ja kar Fixed Deposit karvana hoga.yadi aap bank Branch nahi jana chahte hai, to ap Online internet banking se bhi Fixed Deposit karva sakte hai. Bank holder ko apni bank me Minimum 25 thousand ki Fixed Deposit karvana Compulsory hai. yadi aap chahe to 25 thousand se jyada ki bhi FD karva sakte hai. yadi aap 25 thousand ki FD karvate hai, to apko apne Credit Card par 20 thousand rupees ki Limit mil sakti hai.
yadi apko apne Credit Card ki Limit badana chahte hai, to apko bank me apne Fixed Deposit ki Limit bhi badani hogi. Jab ap apni FD ki Limit ko badate hai, to apke Credit Card ki Limit bhi bad jati hai. lekin dhyan rahe ki yadi apne pahle 20 thousand rupees ki FD banva li hai, to ap apni FD ki Limit ko bada nahi sakte hai. yadi apko apne Credit Card ki Limit badane ke liye FD ki Limit badana hai, to pahle apko apne pahle vale Credit Card ko band karvana hoga, our apni FD ko bhi band karvana jaruri hai.
ab apko ek nai FD banvani hogi, Lekin is bar apko apne Credit Card ki Limit ko badane ke liye apko apni FD ki Limit ko bhi badana hoga. jyada Limit ki FD hone par apko apne Credit Card par jyada ki Limit milegi.
Online SBI Credit Card kaise banvaye? (Apply for Credit Card – SBI Credit Card Apply Online)
FD banvane ke bad apko Online SBI website par Credit Card ke liye apply kar sakte hai. iske liye apko apni SBI Card Website par jana hoga. vaha apko menu me Apply ka Option najar ayega. Apko Apply par Click karna hai. jab aap Apply par Click karenge to apke samne SBI Card List show hone lag jayegi.
Ab apko SBI Card Select karna hai. yaadi apne apni FD 25000 to 40000 rupees tak ki karvai hai, our aap apne Credit Card se sirf Shopping karna chahte hai, to apko Shopping Card ko Select karna hoga. ab apko Shopping Card par Simple click SBI card option najar ayega. Usake niche hi apko Apply Now option dikhega, apko us par click karna hai.
Jab ap apply par click karenge to, apke samne ek Foam open hoga. jisme apko apni Personal information ko Fill karna hai. dhyan rahe ap Credit card form ko sahi tarah se fill kare, kyo ki ye hi information apse bad me bhi puchhi jayegi. Yadi apki information galat hui to apka Credit card form Reject bhi h sakta hai.
– Name :- apne bank me jo name hai, use Fill kare
– City :- apni city ka name Inter kare.
– Occupation :- aap jo bhi kam karte hai, vah Select kare.
– Date Of Birth :- apni date of birth ko Fill kare.
– Qualification :- apne kya studies ki hui hai, vah Inter kare.
– Annual Income :- apni annual income ke bare me bataye.
– Pan Number :- apna Pan Number bataye.
– Mobile Number :- apke bank me jo mobile number registered hai use Inter kare.
– Apke bank me registered mobile number par apke Mobile Number ko Verify karne ke liye ek OTP ayega .
– Registered mobile number par aye OTP ko Enter kare.
– Term & Condition ko Select kar Next Step par click kare.
Jab aap Next Step par click karenge to apke samne ek Foam open hoga. apko apni Personal information ko fill karna hai. jab ap pure Foam ko fill kar dete hai, to apko Submit application par click karna hai. Submit application hone ke bad apke pas SBI Card Customer Care Center se ek Call ayega.
Vah Foam me apke dvara di gai sabhi information ko verify karega. Ab apko apni ek Photo our ID proof ki ek photo copy bank me deposit karvani hogi. Bank me Document deposit karane ke liye bank ki taraf se bhi apke pas ek call ayega. Jab sabhi Document bank me deposit ho jayege, to apke Mobile number par ek Tracking Number Send kiya jayega. Jisaka use kar ap apne Card ko track kar sakte hai. ap is tarah apne Card ko track kar pata laga sakte hai, ki apka Card kaha tak pahuch gaya hai. aap apne Card ko track kar is bat ka pata bhi laga sakte hai, ki apke pas apka Card kitne din tak pahuch jayega.
Normal credit card ko ane me 20 se 25 day ka samay lagta hai. yah time apke spot par bhi Depend hota hai. yadi ap rural area me rahte hai, to apke pas card pahuchne me jyada time lagega. Lekin ap Urban areas me rahte hai, to apke pas apka Credit Card bahut jaldi aa jayega.
In Steps ko follow karne ke bad ap kisi bhi bank ke liye apne Credit Card ke liye Apply kar sakte hai. aap PNB Credit Card, Sbi Credit Card, HDFC Credit Card ke alava sabhi bank se Credit Card ke liye Apply kar sakte hai.
State Bank of India Credit Card ke liye aap online Apply kar sakte hai. SBI apne Consumer ko online Credit card ka bhi options deta hai. Credit Card ke According hi unhe Different Category ke liye Reward points diye jate hai. yadi ap IRCTC SBI Platinum Card Select karte hai, to Consumer ko Travel karne par reward point diye jate hai. yadi Consumer Style Contactless Credit Card Select karte hai, to unka Reward Type Shopping hoga.
Step by step samjhe :-
– Sabse pahle State Bank of India ki Official website sbicard.com par jaye.
– Ab apko Credit card options par click karna hai.
– Apni Facility ke anusar card Select kare.
– card Select karne ke bad apke samne ek new Page open hoga.
– apko is Page par apni Important information ko fill karna hoga.
– is Page me apko apna Name, Date of birth, Job, city, qualification, Annual income, PAN number, mobile number, E-mail ID ki information fill karna hoga.
– jab ap apna mobile number Inter karte hai, to apka number Verify karne ke liye apko Verify par click karna hai. jab ap Verify par click karenge , apke mobile number par ek OTP send kiya jayega, jise apko OTP section me Inter kar Customer Declaration par Click karte huye Next par Click karna hai.
– ab apke samne ek our new Page open hoga.
– Next step me apko apni Personal details jese Home and Office Address, Job profile related information ko dena hoga, apse apki bank related information bhi mangi jayegi.jisme apko batana hai, ki ap SBI Bank customers hai, ya nahi.
– Ab apko Customer Declaration par Click karte huye apni Facility ke anusar E-statement option bhi Select kare.
– credit card Apply karne ki Last step me apko Get instant option select karna hai.
apke pas SBI Credit Card hai, our ap uska use karte hai, our aap SBI Credit Card ka Payment SBI ATM se karna chahte hai, to aap esa kar sakte hai. SBI Credit Card ka Payment ATM machine se easily tarike se kar sakte hai. iski Process bahut hji Simple hai. yadi apko bhi apne Credit Card ka Payment karna hai, our ap bank nahi jana chahte hai, to ap bina bank jaye ATM machine se apne Credit Card ka Payment kar sakte hai. ham apko ATM machine se apne Credit Card ka Payment karne ki Process Step by step batayege, taki apko ATM machine se apne Credit Card ka Payment karne me kisi tarah ki koi Problem ka samna na karna pade.
Credit Card ka Payment kaise kare ? (Credit Card Payment – Pay SBI Credit Card Bill Online)
Credit Card ka Payment ATM se karne ke liye apko sabse pahle apna Registration process complete karna hoga.
step 1 :-
sabse pahle apne Credit Card ko ATM me dale.
step 2 :-
ab Service option select kare.
step 3 :-
Bill Pay option select kare.
step 4 :-
SBI Credit Cards Options select kijiye.
step 5 :-
ab Credit Card Registration Options par Click kare.
step 6 :-
is Process se ap apne SBI Credit Card Registration Request ko Process kar sakte hai.
step7 :-
Registration process complete hone ke bad apko Credit Card ka Payment karne ke liye 1 day ka Wet karna hoga.
Credit Card ka Payment ATM se kaise kare? (How to pay credit card Payment by ATM)
step 1 :-
sabse pahle apne Credit Card ko ATM me dale.
step 2 :-
ab Service option select kare.
step 3 :-
Bill Pay option select kare.
step 4 :-
SBI Credit Cards Options select kijiye.
step 5 :-
ab apko SBI Credit Payment Options par Click karna hoga.
step 6 :-
SBI Credit Card Menu me jane ke liye apko SBI Credit Card ka Selection karna hoga, jiska apko Payment karna chahte hai.
Is Process ko karne ke bad ap Successfully SBI Registered Credit Card ke Last 7 digits ko dekh sakenge. Apko Payment ka Amount Select karna hoga. dhyan rahe jab bhi aap Payment ka Amount Select karte hai, to apko Credit Card ka Payment Amount round figure me hi Enter karna hoga. apko State Bank Saving Bank / Current Account Debit karne ke liye Pay option ka selection karna hoga.
Jab aap SBI Credit Card ko DeRegister karna chahte hai,to apko Deregistration ka option select karna hoga. sath hi apko make sure karna hoga ki apke SBI Credit Card Bill Pay ki Due date se 4 day pahle apko payment karna hoga, taki SBI Services apke payment ko Enable kar sake our apke account ko Update kar sake.
Paytm Credit Card, क्या है, कैसे करें Apply?
Credit Card के कुछ ऐसे Profit जो बैंक आप को नहीं बताता
ATM Card Block कैसे करे, जानिए पूरी प्रोसेस
Pan Card Online Apply : Online PAN Card Ke Liye Kaise Apply Kare?