UPI Fund Transfer System ne kuchh hi samay me Market me apni pakad majbut kar li hai. aj ke samay me adhiktar log UPI System ka use kar hi ek Account se dusre Account me paise Transfer karte hai. Market me sabhi Shopkeeper ko payment UPI System ka use kar hi kiya jata hai. aaj ke samay me har koi UPI ka use kar raha hai.
Jab google par UPI ko Hindi me search kiya to, Suggestion me UPI hi result show ho raha hai. kai log is bat se Confuse raghte ki UPI kya hai ? aj ham apko batayenge UPI kya hota hai? UPI ka use kaise kare?
UPI kya hai? (What is UPI)
Upi ka matlab Unified Payment Interface hota hai. ye ek paise bhaejne ka System hai. isase pahle NEFT, RTGS and IMPS systems se paise Transfer kiye jate the, lekin ab Upi ke ane ke bad ye systems kafi Advanced ho gaya hai. NEFT, RTGS and IMPS systems se UPI advanced method hai.iska use karna kafi Easy process hai.
UPI Mobile number Based :-
UPI Mobile number par Based rahta hai. UPI Payment System hamare Mobile number se hamare Account ki information leta hai. UPI System hamare Mobile number se sure hota hai, ki sahi vykti hi Bank account se Connected hai ya nahi.
Sabhi bank apne Customers se Mobile number mangte hai, bank us Mobile number ko unke Account se Link kar diya jata hai. UPI is Link Mobile number se hi hamare Account ki information ko Collect karta hai.
Yadi apne apne bank me apna Mobile number Link nahi kiya hai, to ap UPI ka use nahi kar sakte hai. yadi ap apne Mobile se bank me jis Sim Card ke number link hai, our ap use apne Mobile se nikal lete hai, to bhi ap UPI ka use nahi kar sakte hai.
Mobile app se fund transfer kaise kare? (How to transfer funds from mobile app)
UPI System Feature Phone par bhi kam karta hai, lekin ise Mobile app use ke liye banaya gaya hai. UPI System ko Develop karne vali Organization NPCI ne kisi bhi Mobile app se is system ko Connect hone ki Permission di hui hai, lekin vah tabhi Connect ho sakta hai, jab vah app kisi bhi bank se Connect ho our NPCI ki Condition ko pura karta ho.
Aaj ke samay me kai tarah kai UPI app available hai. jinme se kuchh app bank se to kuchh Third party app hai. PhonePe and GooglePe UPI par based app hai, iske liye unhone dusre bank se agreement kiya hai. Paytm ka apna hi ek bank hai. UPI ka use karne ke liye apka Internet connection se juda rahna jaruri hai. UPI App Android and iPhone Operating System ke liye hi banaya jata hai.
Feature phone me UPI ka use kaise kare? (How to use UPI in a feature phone)
Bahut kam logo ki is bat ki Information hai ki Feature phone me Bhima UPI Fund Transfer Facility hoti hai. apko iska use karne ke liye kisi tarah ke koi app ko Download karne ki jarurat nahi hoti hai, our na hi apko Internet connection ki jarurat hoti hai. Feature phone me UPI USSD Technology ka Use hota hai. iska use karne ke liye apko phone se * 99 # dial karna hoga. jiske bad screen par show ho rahe Instructions ko apko Follow karna hota hai.
UPI se bank Account me paise Transfer kaise kare? (How to transfer money from UPI to bank account)
UPI ka use ka rap desh me kahi bhi kisi bhi bank me paise Transfer kar sakte hai. apko kisi bhi bank me paise Transfer karne ki azadi rahti hai, esa nahi hai ki apka Account State bank me hai, to ap sirf State bank me hi paise Transfer kar payenge.
UPI app kya hai? (What is the UPI app)
UPI ek Payment system hai,jise kisi bhi app ka hissa banaya ja sakta hai. UPI ko banane vali Agency National Payment Corporation (NPCI) UPI Platform ka License deti hai. only bank ko hi UPI System Usa karne ki Permission milti hai, yadi bank chahe to apne name par dusre logo ko UPI app ka use karne de sakti hai.
Flexible rules hone ki vajah se abhi kai UPI app hai, kai bank ne apne Old app me hi UPI System ka use kar liya hai. kai bank UPI platform par new app lekar aye hai. ICICI Bank ne apne Old app iMobile me hi UPI system ko mila liya hai, jabki SBI ne apna new app SBI Pay Launch kiya hai.
Google playstore par jab ap UPI Search karte hai, to apko vaha par kai tarah ke UPI app mil jayenge. Vese to adhiktar log apne hi bank ka UPI app use karte hai, lekin ap dusre bank ka bhi app use kar uski Facility ka Benefit le sakte hai.
Up app connection to bank:-
Google play store par kai tarah ke UPI app apko dekhne ko mil jayenge.ap koi sa bhi app use kar sakte hai. kisi bhi bank ka ap UPI app use kar sakte hai isme kisi tarah ka koi ban nahi hota hai.
Account Number jane ki jarurat nahi hai?
UPI ki sabse badi Quality hai ki , yadi apko kisi ko paise Transfer karne hai, to apko bank Account ko janane ki jarurat nahi hoti hai. yadi apko kisi se paise lene hai, our use apna Account Number nahi batana hai, to ap UPI ka use kar sakte hai. UPI ka use kar bina Account Number Details diye ap paise Transfer kar sakte hai. UPI app Account Number ke alava UPI address se bhi paisa Transfer karta hai.
Paise Account me rahte hai :-
Mobile wallet ke bare me to apne suna hi hoga. jese Paytm jisase ham sabhi achchi tarah jante hai. Paytm ka use paise Transfer karne me kiya jata hai, lekin Mobile wallet se jyada best UPI app hota hai, kyo ki UPI app ka use karne ke liye apko paise kisi bhi Account se Mobile wallet me Transfer nahi karne hote hai.jab bhi ap UPI ka use karte hai, to vah paise Direct apke akaunt se kat jate hai.
UPI se paise kaise mange? (How to ask for money from UPI)
UPI ki sabse unique bat ye hai, ki ap is app se kisi se bhi paisa mang sakte hai.yadi ap kisi bhi apne Relative ya friend se udhar paise mangna chahte hai, to ap UPI ka use kar sakte hai. ap us vykti ko bina fon kare hi paise udhar le sakte hai. UPI App me Collect Money option se ap apne kisi bhi friend ya Relative ko Notification bhej sakte hai, jisme unke pas ek apki request Approve and Reject karne ka option bhi hota hai.
UPI Security system kaise hai? (security system to UPI)
Kai log Mobile our internet use karne se ghabrate hai. ese logo ko Online transaction se fraud hone ka khatra jyada satata hai. unki bat bhi ek tarah se sahi hai, kyo ki kai bar ham Online transaction fraud ki news TV me dekhte hai. lekin apko ghabrane ki jarurat nahi hai. UPI me Security system ke liye 3 Stage par protection ki gai hai.
– UPI app sirf us smay apke Account se add hoga jab apka Mobile Number apke Bank account se link hoga. yane ki jab tak apka Mobile Number apke Bank account se link nahi hoga, tab tak ap UPI app ka use nahi kar sakte hai.
– Jab bhi ap kisi ko paise Transfer karenge to, apko UPI PIN ko Inter karna hoga. UPI PIN Four digits ka ek PIN hota hai. lekin ye ATM PIN nahi hai.
UPI Charge kitna lagta hai?
Kai logo ke man me ye Question ata hai, ki UPI Charge kitna lagta hai. akhir ghar bethe paise Transfer karne ka koi Charge to lagta hoga. apka ki jankari ke liye bata de ki UPI se paise Transfer karne ka koi Charge nahi lagta hai. hame to iska use karne par kisi taraf ka koi Charge nahi lagta hai, lekin NPCI and Bank ko ise chalane ke liye Expenses to lagte hai. kaha jata hai, ki NPCI ko ek Transaction par karib 40-50 paise ka kharch ata hai.iska matlab apko bhi itna hi Charge dena hoga, lekin abhi ke liye to UPI se Transaction karna sabhi ke liye free hai.iska kisi bhi tarah ka koi Charge nahi lagta hai, lekin yadi Charge laga bhi to ye 50 paise se jyada nahi hoga.
UPI app ka use kaise kare? (How to use the UPI app)
UPI app ka use karne ke liye apko kai Steps follow karni hogi.
– Sabse pahle apne Phone me Google Play Store se UPI Search kijiye.
– Ap apni jarurat ke anusar koi bhi UPI app ko Download kar use install kar sakte hai.
– Ap apni bank ka bhi UPI app ko Download kar sakte hai.
– first time app ka use karne par apko Registration process ko karna hoga.
– Registration ke samay apko App open karne ke liye password or pin set karna hoga.
– Apni bank ka Selection kare.
– Account Selection ke bad Virtual Payment Address ya UPI ID banaye.
– Virtual Payment Address ya UPI ID E-mail address banane jesa hi hai.
– Virtual payment address apke Select Account me paise pahuchane ka kam karta hai.
– Bank Account se paisa nikalne ke liye UPI PIN ki jarurat hogi.yadi apne pahle UPI PIN set kaiya hai, to uska use kare nahi to,apko Upi pin set karna hoga.
– UPI PIN set karne ke liye apko apne bank ki Debit card details deni hogi.
– Is Process ke bad ap paise bhej bhi sakte hai, our manga bhi sakte hai.
– Ap apni jarurat ke anusar kisi ko bhi paise bhej bhi sakte hai, our paise manga bhi sakte hai.
UPI app konse hai? (UPI List in Hindi)
– Phonepe App
– Paytm
– Google Pay (Tez)
– SBI UPI App
– ICICI Bank UPI App
Phonepe App :-
Phonepe App Sabse Popular UPI App ban gaya hai.is app ka use kisi bhi bank ke Customer kar sakte hai. Phonepe App me apko fund transfer, Mobile recharge, bill payment and shopping Facility bhi milti hai. is app ka use karna kafi easy hai.
Paytm :-
Paytm puri country ka sabse popular mobile wallet ban gaya hai, lekin fund transfer ke case me ye dusre app ki Comparison me thoda pichhd gaya hai.iske bavjud har koi is app ka use kar raha hai. shops par Payment ke liye sabse jyada Paytm ka hi use hota hai. is app me apko Digital Gold, Shopping ke sath Investment ki bhi Facility milti hai.
Google Pay (Tez) :-
Google Pay (Tez) app ko google ne Launch kiya hai.ye app sabhi app ki Comparison me Easy and simple app ban gaya hai.har koi is app ka use kafi kar rahe hai. Google Pay (Tez) app Technology sound waves par kam karti hai.
SBI UPI App :-
State Bank of India (SBI) ne bhi apna UPI app launch kar apne Customer ko facility di hai. UPI ke liye SBI ne new app banaya hai, jise SBI Pay name diya gaya hai. ap ise Google playstore se download kar sakte hai.
ICICI Bank UPI App
Desh ke sabse bade Private Bank ICICI ne UPI ko kafi badchad kar apnaya, jese hi UPI Launch hua to, ICICI bank ne ise apne ICICI Mobile app me add kar liya. Tabhi se ICICI Customer iska benefit le rahe hai.
Other UPI Apps List in hindi :-
In UPI app kea lava dusare bank ke UPI ko bhi ap use kar sakte hai.
– PNB UPI App
– HDFC Bank Mobile Banking
– Union Bank UPI
– Axis Pay
– Canara Bank UPI
UPI Apps Ka use kaise kare? (How to use UPI Apps)
UPI Apps Ka Istemal ham Online service payment ke alava kai tarh ki service me bhi kar sakte hai.
– Money Transfer
– Receive Money
– Bill Payment
– Online Shopping Payments
– House Rent Payments
UPI App Ki Virtual ID kya Hai? (What is the virtual ID for UPI App)
UPI se Payment karne ke liye apko UPI Virtual ID ki jarurat hoti hai. UPI Virtual ID ke bina ham paise Transfer nahi kar sakte hai. UPI Virtual ID ko UPI Pin bhi kaha jata hai.
UPI Transaction Limit kitni hai? (UPI Transaction Limit)
UPI Payment karne ke liye ek Limit Fix ki hui hai.ap abhi UPI se Payment One lakh rupees tak paise Transfer karne ki Limit Fix ki hui hai.
UPI ID Kaise Banaye? (How to create a UPI ID)
Sabhi bank ke liye UPI App alag alag hai.ap inhe apne mobile me download karne ke liye Google play storepar ja kar apne bank ka UPI App Installs kar sakte hai.
All bank UPI app List in Hindi :-
– State Bank of India
– ICICI Bank
– Uco bank
– Kotak Mahindra Bank
– Andhra Bank
– Axis Bank
– Bank of Maharashtra
– Canara Bank
– Catholic Syrian Bank
– DCB Bank
– Karnataka Bank
– Union Bank of India
– United Bank of India
– Vijay Bank
– Punjab National Bank
– Oriental Bank of Commerce
– TJSB
– Federal Bank
– South Indian Bank
– HDFC bank
– Standard Chartered Bank India
– Allahabad Bank
– RBL Bank
– IDFC Bank
Yadi is list me apki bank kia name nahi hai, to apko Tension lene ki jarurat nahi hai. ap apni UPI ID Paytm UPI ID, Phonepe, BHIM UPI App or Google Pay se bhi apni UPI ID bana sakte hai. apko kisi bhi app me pahle apne bank Account ko link karna hoga. jiske bad ap UPI Service ka Benefits le sakte hai.
UPI Kaise Banaye?
UPI banane ke liye apko kuchh Easy steps ko Follow karna hoga, jiske bad ap easily UPI bana sakte hai.
Step 1 :- Create Profile
Sabse pahle apko apni UPI profile banani hogi, jiske liye apko bank me Register mobile number ko UPI App me Inter kare. apka mobile number verify hone ke bad apki Profile ban jayegi.
Step 2 :- Add Your Account
Jab ap apni Profile Create kar lete hai, to apko Add Account Option me apne bank Account information ko add karna hoga.
Step 3 :- Set Virtual ID
bank Account information ko add karne ke bad apko Main menu me Virtual ID Option par Virtual ID ko set karna hoga.
Step 4 :- Set The Pin
Virtual ID ya pin set karne ke bad apko M-Pin Generate karna hoga.jiske liye apko apni ATM Card Details ko Inter karna hoga.
Step 5 :- Successful Pin Generate
Jab ap apna Pin Generate kar lete hai, to apko Pin Created Successfully ka Message mobile number par bhi aa jayega.
BHIM App se UPI Pin Generate Kaise Kare?
– Tap On Bank Account
Sabse pahle apne mobile se BHIM App ko open kare. Open karne ke bad Bank Account Options par jaye.
– Select Bank
Ab apke samne Bank Select karne ka Options auyega , apka Account jis Bank me hai, vah silekt kare.
Set UPI Pin
Bank Select karne ke bad apko Set UPI Pin Options Select karna hai.
– Enter ATM Card Details
Ab ap apne Debit Card ki Last6 Digit and Debit Card Validity ko Inter kar Right Sign par Click kare.
– Enter OTP
Right Sign par Click karne ke bad apko apne mobile number par ek OTP send kiya jayega. Apko vah OTP vaha Inter karna hai.
– Enter UPI Pin Number
UPI Pin Number Inter karne ke bad Right Sign par apko Click karna hoga.
– Confirm Pin Number
Next step me apko Confirm Pin Number Inter karna hai. our Confirm Pin Number Inter karne ke bad Right Sign par Click kare. Jiske bad apka UPI Pin Set ho jayega.
UPI Number Kaise Pata Kare?
UPI ID Kaise Pata Kare? iske liye apko kuchh Steps follow karni hogi. Ham apko Google Pay se UPI ID ka pata lagana batayenge.
Google Pay se UPI ID ka pata kaise lagaye.
– Open Google Pay :-
Sabse pahle apne UPI ID ka pata lagan eke liye apko apne smartphone me Google Pay open karna hoga.
– Tap On The Pic
Google Pay app open karne ke bad apko sabse upar ki taraf Left Side apni Photo par tap kare.
– Click On Bank Account
Apni Photo par tap karne ke bad apko apna Bank account show hoga. apko us par Click karna hai. yadi apne ek se jyada Bank account ko edd kiya hai, to us Bank account par tape kare jiska ap UPI ID ka pata lagana chahte hai.
– Take Screenshot
Bank account par tape karne ke bad apko UPI ID ke niche Bank Account ka UPI ID show hoga. ap iska Screen shot capture kar sakte hai, taki apko Future me kisi tarah ki koi Problem ka samna nahi karna pade.
UPI Pin Reset Kaise Kare? (How to reset UPI pin)
Agar ap apna UPI Pin bhul gaye hai, our ap apna UPI Pin Reset karna chahte hai, to apko hamare dvara batai gai kuchh easy Method Follow karna hoga.
– Select Bank Account
UPI Pin Reset karne ke liye sabse pahle apko apne mobile me BHIM App open karna hoga. our Bank Account Option par Bank account ka selection kare.
– Click On Reset Pin
Ab apko Reset Pin ka Option show hoga, jis par apko Click karna hai.
– Enter ATM Details
Reset Pin ka Option Select karne ke bad apko 2 Option milenge. First Option me apko ATM ke last 6 numbers Enter karna hoga, our Second Option me ATM date likhna Likhana hogi.
– Account Confirmation
Next Option me Account Confirmation ke liye mobile par ek OTP ayega, jise apko OTP Inter karna hoga.
– Enter New Pin
Ab apko New Pin par job hi new Password banana hai. use vaha Inter kare. PIN Confirm karne ke liye apko 2 bar pin Enter karna hoga. iske bad Submit par Click kar de.
UPI Pin Change Kaise Kare? (How to change UPI PIN)
UPI Account secure rakhne ke liye hame UPI Pin Change karte rahna chahiye. UPI Pin Change karne ke liye apko kuchh Easy steps follow karne honge.
Open The App :-
UPI Pin Change karne ke liye sabse pahle UPI App ko open kare.
Select Bank Account :-
Password Inter kar Bank Account Option me Bank account ka selection kare.
– Click On Change UPI Pin
Change UPI Pin Option par Click kare.
– Enter Pins
Ab apne Old and new passwords ko Inter kar Next par Click kare. Confirm karne ke liye ek bar fir se passwords ko Inter kar Submit par Click klijiye.Ab ap apne new UPI Pin ka use kar sakte hai.
UPI me Fraud kaise hota hai? (How is Fraud in UPI)
Bank apne Customer ko Email and SMS se UPI me hone vale Fraud se bachne ke liye alert karta hai. bank apne sabhi Customer ko is bat se bhi inform karta hai, ki vah is tarah ke Fraud se kis tarh bach sakte hai.
Bank apne Customer ko Email and SMS se bata raha hai, ki Fraud karne vale log apse Debit Card Details mangte hai. unhe kai tarah ke Text message forward karte hai. UPI registration one-time password (OTP) etc share karne ke liye kahte hai. vah log apke data ka use New Virtual Payment Address (VPA) ID banane ke liye karte hai, our transaction karne ke liye MPIN set karte hai. kai bar ye vykti aapse text message par Unverified link par Click karne ke liye bhi kahte hai. Fraud karne vale log apse AnyDesk app download kar 9 digit code share karne ke liye kahte hai.apke paise churane ke liye vah apka Phone bhi access kar lete hai.
UPI me Fraud se kaise bache? (How to save yourself from fraud)
UPI me Fraud ko rokne ke liye apko kai tarah ki chije karni hoti hai, Apko kabhi bhi apne Debit Card Number, Registration OTP, Expiry Date, Description Share nahi karna chahiye. Bank kabhi bhi apse is tarah ki koi Details nahi mangta hai. Unknown link par Click karne se bachna chahiye. Suspected SMS Forward karne se bachna chahiye. UPI MPIN ko kabhi bhi kisi ke sath share nahi karna chahiye.
Web Browsing And E-Payment Secure Kaise Kare
Online Payment Kya Hai ? Janiye Mobile Banking Security Tips
Cheque Bounce Kab Hota Hai, Check bounce legal process in hindi
Property Nilami Kaise Hoti Hai?