Chal Beta Selfie Le Le Re Bhaijan Ki Film Ka Ye Song Aaj Ke Smay Me Ham Sabhi Ki Life Ka Aham Hissa Ban Gaya Hai. Har Koi Selfie Ka Divana Hai. Selfie Ka Craze Youth Ke Sath Bujurgo Par Bhi Dekhne Ko Mila Hai. Selfie Ka Craze Social Media Par Jyada Dekhne Ko Milta Hai. Har Koi Apni Selfie Le Kar Use Social Media Par Upload Karta Hai.
Smartphone Rear Camera Ke Sath Ab Selfie Camera Me Bhi Special Feature Ane Lage Haim, Jisse Attract Hokar Har Koi Un Phone Ko Kharid Raha Hai. Market Me Selfie Focus Smartphone Ki Kami Nahi Hai. Vykti Apni Selfie Khich To Leta Hai Lekin Vah Unke Anusar Nahi Ho Pati Hai.
Har Koi Apni Selfie Ko Perfect Banana Chahta Hai. Kai Vyktiyo Ki Soch Hai Ki Makeup Karne Ke Bad Best Selfie Ati Hai, Lekin Ye Galat Hai Yadio Ap Behtar Tarike Se Apni Selfie Click Karte Hai, To Apko Na To Makeup Ki Jarurat Hoti Hai Our Na Hi Kisi Apps Ki. Aaj Ham Apko Batayenge Ki Kis Tarah Aap Best Selfie Click Kar Sakte Hai.
Best Selfie Kaise Khiche ?
Beauty Plus Magic Camera :-
Users Behtar Selfie Lena Chahte Hai To, Vah Apne Phone Me Beauty Plus Magic Camera App Ko Install Kar Apne Anusar Selfie Khih Sakte Hai. Aap Is App Ka Use Kar Apne Face Ke Spots Ko Khatm Kar Sakte Hai, Our Apne Anusar Selfie Edit Kar Sakte Hai. Is App Me Ap Skin Ko Retouch De Sakte Hai.
Retrica :-
Achchi Selfie Lene Ke Liye Retrica Bhi Behtar Option Hai. Google Play Store Par Ise Kafi Best Rating Mili Hai. Is App Se Ap Gifs Kea Laava Beautiful Photos, Videos, Collages Bhi Bana Payenge. Retrica App Se User Original Stamp Our Memory Mark Kar Sakenge.
Prisma :
User Yadi Apni Selfie Ko Best Effect Dena Chahte Hai To Apke Liye Prisma App Se Best Our Koi Option Nhi Hai. Is App Me User Apni Choice Ke Anusar Effect Selecting Kar Selfie Click Kar Sakate Hai.
Front Back :-
Kai Bar User Apni Selfie Me Front Landscape Ko Miss Nahi Karna Chahta Hai, Jiske Liye Unhe Front Back App Ka Use Karna Chhaiye. Is App Se Ap Front And Back Dono Cameras Se Photo Click Kar Sakte Hai.
Ucam Perfect :-
Selfie Lete Samay Yadi Achanak Se Koi Spam Element Aa Jata Hai To, Pura Mood Off Ho Jata Hai. Lekin Apki Is Problem Ke Liye Ucam Perfect Apki Kafi Help Kar Sakta Hai. Is App Ka Use Kar Ap Easily Unwanted Elements Ko Kuchh Clicks Kar Selfie Se Remove Kar Sakte Hai. Is App Me Shutter Release Button Click Ka Option Diya Hai Jo Apki Selfie Ko Automatic Correction Kar Dega.
Candy Camera :-
Dusro Ki Selfie Se Apki Selfie Behtar Banana Ke Liye Apko Best Effects Ki Jarurat Hoti Hai. Is App Ka Use Kar Ap Apni Selfie Me 100 Picture Effects And Filters Ka Use Kar Use Our Bhi Attract Bana Sakte Hai. Candy Camera App Me Skin Smoothing, Beauty Function Effect Kafi Famous Hai.
Instagram :-
Instagram Se Koi Bhi Anjan Nahi Hai. Adhikansh Instagram Par Upload Karne Ke Liye Best Selfie Leta Hai. Lekin User Instagram Par Minor Changes Our Selfie Edit Kar Apni Photo Ko Behtar Bana Kar Upload Kar Sakte Hai. Instant Uploading Me Instagram Users Ke Liye Ye Best Option Hai.
Photo Editor By Aviary :-
Streamline Interface Ke Sath After-Effects Options Ke Liye Ye Ye App Users Ke Liye Best Hai. Filters And Content Ko Kharid Kar Apni Selfie Ko Behtar Look De Sakte Hai. Users Is App Me Apni Original Selfie Save Karne Ke Sath Apni Skin Ko Clear Karne Ka Tool Bhi Apko Diya Jata Hai.
Perfect 365 :-
Yah App Dusre Apps Se Kafi Alag Hai, Kyo Ki Users Is App Ka Use Tool Set Se Nahi Kar Sakta Hai. Balki Effect Ko Slider Se Adjust Karta Hai. Apko Is App Me Celebrity Template Bhi Milenge Jiske Sath 20 Different Tools Se Ap Apni Selfie Ko Behtar Bana Sakte Hai. Skin Ko Facial Tone Dene Ke Liye Airbrush Adjustment Kar Use Kar Sakte Hai. Aap Apni Selfie Ko Edit Kar App Me Se Hi Kisi Bhi Social Media Platform Par Share Kar Sakte Hai.
Cammy :-
Jin Users Me Selfie Ka Bahut Craze Hai, Unke Liye Is App Ki Inpotens Our Bhi Bad Jayegi. Is Aap Se Apke Liye Best Selfie Click Karna Bahut Asan Hai. Group Selfie Ke Liye Is App Se Behtar Dusra Koi Option Nahi Hai. Is App Me Gesture Recognition Feature Diya Gaya Hai, Jo Gesture Se Control Hoga.
Vsco Cam :-
Vsco Cam Ka Use Users Edit Tool Ke Alawa Camera App Me Bhi Kiya Ja Sakta Hai. Is App Me Ultimate Tool Diye Gaye Hai. Jinhe Use Kiye Bina Ham Rah Snahi Sakte Hai. Apki Selfie Ko Behatar Banana Ke Liye Isme Kai Ese Tool Diye Gaye Hai, Jo Apki Selfie Ko Ultimate Banane Ka Kam Karege.
Photo Grid :
Apni Selfie Me Shandar Editing Karne Ke Liye Ap Photo Grid App Ka Use Kar Sakte Hai. Aap Is App Me Apni Selfie Ko Behtar Banana Ke Sath Selfie Bhi Click Kar Sakte Hai. Users Apne Anusar Yaha Grid, Collage, Scrapbook Ke Sath Movie Bhi Bana Sakte Hai. Yadi Ap Apni Selfie Par Kuchh Text Likhna Chahte Hai, To Apke Liye Is App Ke Tool Bahut Kam Ke Hai. Uisers Apne Anusar Selfie Ko Manchaha Twist De Kar Use Attract Bana Sakta Hai.
Roposo-TV Mobile Application Se Kamaye Per Month 10,000 RS
Google Search History Delete Kaise Kare
Best HD Photo Download Search Engine
Smart Selfie :-
Users Ko Apne Phone Se Selfie Lene Me Smart Selfie App Apki Halp Kar Sakta Hai. Yah App Ek Voice Guide Selfie Vala Hai. Face Recognition Se Smart Selfie Lene Ka Ye Best Option Hai. Jab Ap Selfie Lene Ki Position Me Aa Jate Ho To App Automatic Selfie Click Kar Leta Hai. Iske Liye Apko Kisi Bhi Tarah Ke Voice Commands, Timer Set, Screen Touch Ya Kisi Bhi Button Ko Press Karne Ki Jarurat Nahi Hai. Users Is App Ke Use Se Great Group Selfie Bhi Le Sakte Hai. User Ke Phone Ka Front Camera Thik Nahi Hai, To Aapke Liye Ye App Sahi Hai.