Without Software Pendrive Ka Password Kaise Set Kare

how to set pendrive password

Smartphone Keg Hum Ya Chori Ho Jane Par Ham Apne Phone Ka Data Data Android Device Manager Ka Use Kar Remote Access Se Delete Kar Dete Hai. Lekin Jab Kisi Ki Pen Drive Chori Ho Jaye To Kya Kare? Is Duvidha Ka Solution Ham Apko Batane Vale Hai. Yadi Apki Pen Drive Gum Jaye To, Ap Software Download Kar Pen Drive Password Set Kar Sakte Hai.

Users Bina Software Download Kar Bhi Apni Pen Drive Ko Password Se Protect Kar Sakte Hai. Sath Hi Ap Apne Phone Me Bhi Bina Password Ke Apne Private Folder Ya Photo Ko Bhi Secure Kar Sakte Hai. Aaj Ham Apko Batayenge Ki Ki Tarah Aap Bina Software Se Pendrive Ka Password Kaise Dale Our Bina Software Se Phone Ki File Kaise Secure Kare ?

Apni Pendrive Par Password Ko Set Karna Bahut Easy Method Hai. Sabse Pahle User Ko Apni Pendrive Me Password Lagan Ke Liye Use Apne Computer Ya Laptop Me Connect Kare. Ab Start Menu Click Kare. Computer Panel Open Kare. Right Side View By Option Select Kare. Large Icon Ka Selection Kar Bitlocker Drive Encryption Click Kare.

Ab Users Ke Samne New Windowopen Hogi. Ab Apko Apke Dvara Connect Pandrive Show Hogi. Jise Apne Apne Computer Me Connect Kiya Tha.

Users Ko Pandrive Ke Samne Hi Bit Locker Ka Option Hoga, Jise Apko Click Karna Hai. Ab Apke Samne Again New Screen Open Hogi. Jaha Apko Apni Pandrive Ke Liye New Password Select Karna Hoga. Jiske Bad Next Button Par Click Kare. Ab Users Apne Dvara Create Kiye Gaye Password Ko Save Karne Ke Liye Save The Password Option Par Click Kare. Is Process Ke Bad Users Badi Asani Se Apni Pandrive Ko Password Se Secure Kar Sakte Hai. Iske Bad Apko Apni Pandrive Ki Tension Lene Ki Jarurat Nahi Hai.

Bina Software Se Phone Ki File Kaise Secure Kare ?

New Smartphone Me Kitne Apps Hote Hai, Shayd Hi Iska Kisi Ke Pas Javab Hoga, Kyo Ki Hamne Kabhi Bhi Apne Phone Me Available Ko Kabhi Bhi Count Nahi Kiya Hai. Apne Phone Me Yadi Apps Ki Sankhya Adhik Hai To, Ye Apke Phone Hang Hone Ka Karan Banta Hai.

Apke Phone Me Bhi Kai Tarah Ke Apps Hai To Aaj Ap Un Apps Me Se App Locker Ya Folder Locker App Ko Delete Kar Dijiye Kyo Ki Aaj Ham Apko Ek Esi Trick Batane Vale Hai Jiske Use Se Ap Bina Kisi Software Ya App Ke Apne Phone Me Mojud Private Folder Ko Hide Kar Sakte Hai. Is Trick Ka Use Karne Ke Liye Sabse Pahle Users Phone App Menu Me File Manager Option Select Kare. Ab Apko Yaha Do Option Show Honge, Sd Card And Internal Memory Jinme Se Apko Ek Option Select Karna Hoga. Jaha Aap Apne Private Folder Ko Hide Karna Chahte Hai.

Sd Card And Internal Memory Me Se Kisi Ek Ka Selection Kar New Folder Create Kare, Jiske Liye Right Side Three Points Settings Par Click Kare. Ab New Folder Create Ho Jayega, Ab Apko Apne New Create Kiye Folder Ko Name Dena Hoga Dhyan Rahe Ki Ap New Folder Ko Name Dene Se Pahle (.) Ka Use Jarur Kare. Name Dene Ke Bad Ok Par Click Kare. Jiske Bad Apke Dvara Banaya Gaya Folder Ab Hide Ho Jayega.

Jab Bhi Apko Apne Dvara Create Kiye Gaya Hide Folder Ko Dekhna Hai, To Vapas Se Apne Jkaha Ye Folder Banaya Tha Vaha Jaye Our Settings Me Show Hidden File Ko Select Kare. Tab Apko Vah Folder Dikhegi. Vapas Se Us Folder Ko Hide Karne Ke Liye Settings Me Hide Hidden File Ko Select Kare.

Chrome Browser Mai Favorites Websites Save Kaise Kare

Offline Article Padhne Ke Liye Kaise Save Kare ?

Computer Keyboard Shortcuts Key

Best HD Photo Download Search Engine

Computer Mai Bluetooth on Kaise Kare, How to use Bluetooth on your PC

Web Browsing And E-Payment Secure Kaise Kare

data-full-width-responsive="true">