Office Me Kai bar HaMe Apne Boss ka vyavhar Kafi bekar lagta hai. boos Ke Is Tarah Ke vyavhar Ke Karan Ham Kafi Pareshan bhi ho Jaate Hai. Jis vajah Se Ham kam per bhi sahi tarah se focus Nahi kar paate Hai.
Samanya tarah se Dekha Jaaye to Hamari professional life bhi boos ke galat vyavhar ka Sidha Asar padta hai, jo Hamare liye Sahi Nahi Hota is situation Me Har Koi Sochta Hai Ki Aankhen Kis Tarah Ham Apne Boss ke rukhe vyavahar ko Sahi kar sakte Hai, ya FIR unke is vyavahar Ke bavjud Bhi Ham Apna Dhyan sahi tarah se kam per kaise laga sakte Hai?
Pattern kya Dikhta Hai?
office Me Boss ka Ruka vyavhar Unka natural ho sakta hai. is sthiti Me aap Bosco observe Karen aap is baat ka pata Kare Ki Aakhir vah aapke sath Is Tarah ka vyavahar kyon kar rahe Hai ya FIR Is Tarah ka vyavhar Sabhi Ke Sath Karte Hai. Jis Tarah ka vyavhar vah aapse karte Hai, Vaisa hi vyavahar vah Office ke Anya employee ke sath bhi Vaisa hi Karte Hai. To yah aapke Boss ka normal vyavhar bhi ho sakta hai.
is condition main aapko aapke boos Ke anusar Hi Kam karna chahiye, Ho sakta hai aapko Apne Boss ko samajhne Me Thoda Samay lag sakta hai, lekin Dhyan Rahe jaldbazi Me Kabhi Bhi galat nirnay Na Le sabse pahle aap Apni Taraf Se Sab Baton ki Jankari nikalne ke bad hi Kisi decision per pahunche.
Feedback jarur le :-
Jab Bhi aap Koi kam karen to aap apne kam ka feedback Apne boss se jarur le. Kyunki Kisi bhi Boos ke liye feedback solution ko ignore karna Kafi Mushkil ho jata hai, aap Swayam Aage Badhkar Apne Boss ke pass jaye aur unhen apne performance aur Behtar kam ke bare Me Bata Kar Unse feedback jarur le.
Aisa karne se na sirf karmchariyon ko Apne kam ko aur Behtar sudharne ka mauka Milta Hai Sath hi vah Apne boss ke sath niyamit Roop se connection Me bhi Bane rahte Hai. Aisa karne se Sabhi employee ke liye yah Lambe Samay ke liye faydemand sabit ho sakta hai.
Apni Baton ko spasht rakhen :-
yadi aap employee Hai To aapko ek baat Ka Dhyan Rakhna bahut hi jaruri hai, aap aap apni baat ko spasht Roop se Kisi bhi vyakti Ke Samne rakhe to Aisa karne se aapka manobal badhane ke sath hi aapki Ek alag hi image banti hai. aap Aisa Na Soche Ki team ko aapki jarurat Nahi hai, balki aap yah samajhne ki koshish kare ki aapke Boss ka Rukhe vyavhar Ke Piche Aakhir asali vajah kya hai.
aapko Sabhi Bato ko spasht Roop se Rakhna hoga aapki aalochana Me jin shabdo ka upyog Kiya gaya hai aap an shabdo per Dhyan na dete hue unke ke dwara Kahi gai baat ke uddeshy ko samjhaie ki koshish kare.
kam ko Karen present :-
Kai bar aisa hota hai ki aapke kam karne ki jagah per aapka boos aapke kam ko ignore karne ka bhi Prayas Kare, lekin aapko Apne kam ke liye Apne vicharon Ko spasht Rakhna chahiye. aapko Apne Sabhi kam aur result ke bare Me ek docuMent taiyar karna chahie aur unhen sahi se present karna chahie.
tabhi aap apne Boss ki najron Me aaenge aur unhen aapke kam ke bare Me Pata chalega. aap Chahe Jitna Achcha bhi kam Kyon Na Kar Le lekin jab tak aap apne kam ko Sahi tarike se present Nahi kar Payenge aapke kam ki Keemat ko koi bhi samajh Nahi payega, isliye Sabhi employee ke liye jaruri hai, ki vah Apne dwara kiye Gaye kam Ko sahi tarah se apne Boss ke samne present Kare Taki unhen aapke Kaam Ki ahmiyat Ka Pata Chal sake.
Baat karne ka Tarika :-
Sabhi companiyon Me employees ko apni baat Kahane ke liye Kai tarikh Ko upyog Karte Hai, apni baat ko alag alag muddo ke jariye aasani se kah sakte Hai. employee ko company ke feedback Mechanism Ka upyog Karna chahiye. Aap apni baat adhikariyon Ke Samne skip level Meeting, help desk, employee Setisfection Sarv ke Madhyam se kah sakte Hai. aap jab tak Apna mat company ke samne Nahi Rakhenge aapki Soch ke bare Me company ko pata Nahi chalega aur tab tak vahan aapke liye kuch Bhi Nahi Kar Payenge.
Kai companiyo me Apne employees ko mauka deti hai ki vah Unki company Me aur kya Behtar chahte Hai, aur jab Sabhi ki sahamati hoti hai aur employee Ki Baat sabhi ko Sahi Lagti Hai, to vah roll ya Niyam company Me Lagu kar diya jata hai aur Unki Soch ki prashansa ki Jaati Hai.
एक्सीडेंट दिलाएगा Office से छुट्टी
iPhone Ke Liye Kaun Sa App Best Hai?
Technology Se Banaye Logistic Sector Ko Asaan
शौचालय निर्माण योजना क्या है कैसे करें आवेदन?