office mein Log Khud Ko alag mahsus kyo karte hai?

Office mein Kai bar karmchari kam karne ke dauran Khud Ko dusron Se Alag mahsus Karte Hain, Kai Log Khud Ko dusre vyaktiyon Se Jyada Se Jyada Dur rakhne ka Prayas karte hain, Kyunki vah Swayam ko dusro ki Apeksha kam Aakte Hain.

is condition May zaroori hai ki office mein jo manager hai vah Apne Aise employee ke sath Achcha Aur vyavaharik kamkaji Rishta Banakar rakhen. office mein senior aur manager Aise Sabhi employees ke sath sahi tarah se deal kar uname atmavishwas ka Sanchar Karen.

Kai bar Dekha jata hai ki office mein Jab Koi naya karmchari kam karne ke liye aata hai to, vah Kuchh Dinon Tak Kafi chupchap sa rahata hai, Lekin Kahin vyakti Aise Hote Hain Jinka Shuru Se Hi swabhav aisa hi hota hai, halaki manager aur office mein kaam karne wale Anya senior vyakti unki is Aadat ko badal sakte hain unke sath Ek Behtar connection aur aapsi Taal Mil Baitha kar vah aapas Mein Jud sakte hain.

Reason kare pata?

Office Mein Jab Koi vyakti Khud Ko dusro Se Alag mahsus karta hai to aapko is baat ka pata Lagana avashyak Hota Hai Ki Aakhir vah Aisa Kyon kar raha hai. company ke manager ko is baat ki jankari Hona atyadhik jaruri hai Ki Aakhir Esa Kya Karan hai Jiske Chalte Vah employee Khud Ko dusron Se Alag thalag mahsus Kar Raha Hai, Kahin company ke work culture se unhen Kisi Tarah ki koi problem To Nahin Ho Rahi Rahi Hai, ya FIR un per Office ke kam ka Jada load To Nahin lag raha hai. office ke manager aur senior employee ko Jab dusron Se alag Rahane wale vyakti ke bare mein yah Sabhi Jankari Ho Jaati Hai, our Unki Sabhi confusion aur Apeksha Smapt Ho Jaane ke bad us vyakti ki personal growth shirt par Kafi accha Prabhav padta hai.

Unki Importance bataye:-

Jo employee dusron Se Alag thalag Rahte Hain Aise karmchariyon ke sath manager aur senior Logon Ko lagatar Sampark Mein Rahana chahie. unhen Hamesha Kisi Ne Kisi Tarah ka koi Sarthak kam karne ka mauka Jarur Dena chahie.

Aise vyaktiyon se lagao karne ke liye Ye jaruri hai ki office Ke Kam mein pardarshita maujud ho Kyunki Jab Logon ke pass unke kaam ki sari Jankari maujud rahti hai, to vah khud ko aur bhi sashakt mahsus karte hain aur use kam ko badhiya dhang se Karte Hain. aapko yah sunishchit karna chahie ki Sabhi karmchari Ke Pass vah Sabhi jankariyan honi chahie jisse Unka career aur kam prabhavit hota hai.

Training or skills :-

office mein Yadi karmchari Apna Kaam Sahi tarike se pura nahin kar Pata Hai Tu vah Kafi nervous ho jata hai aur Khud Ko dusron se Dur kar leta hai. aise mein jaruri hai ki UN employees ko training program ki facility uplabdh Karai Jaani zaroori hoti hai. office mein Behtar se behtar Pradarshan karne ke liye Ye unhen Har Tarah Ki skills ko Hasil karne ka avsar Diya Jana chahie.

Aise main vah purn utsah ke sath kis bhi kam Mein Behtar Pradarshan karne ke liye Hamesha taiyar Rahenge. halaki aapko is baat ki jankari Hona jaruri hai ki Ham jis vyakti ko kam de rahe hain uski skill Kis chij Mein behtar hai, aur use employ ko uski skills ke anusar training karvana chahie.

Office Environment :-

Aapko is baat ki jankari Hona chahie ki karmchari aapki company ke kisi supervisor ya director supervisor ke vyavahar se pareshan To Nahin Hai Ya FIR aapke office mein Garv aur Bharose ka abhav hai in Baton ki jankari lene ke bad aapko avashyak sudharatmak Kadam Utha Kar sunishchit Karen ki aapke karmchari ko kam ke Sthan per sakaratmak Mehal mil sake company ke Lakshya ke sath hi karmchariyon ki jarurat ko bhi Hamen Dhyan Mein Rakhna chahie. Hamen kam ke mahaul ko Sudharne ke liye majbut work culture taiyar karna aur Hota Hai. Jab ham workplace ka kam ka mahaul Sudhar Dete Hain To Bahut Si chijen Sahi hone lag Jaati Hai.

chance de :-

Hamesha Har Kisi Ko badlav ke mauke avashya Dena chahie yadi aapki company mein apane kisi karmchari ko jo jimmedari di hai, usme vah Khud Ko comfort mahsus nahin kar pa Raha Hai To Aise main aapko Apne karmchari ki ichcha aur Kary shamta per bhi Dhyan Dena bahut Jaruri hota hai.

aapko use apni office mein job rotation ka avsar bhi Dena chahie Aise main vah dusre rolls aur function mein Main kam Karke apni Labiliyat Ka aakalan aasani se kar sakega aur Jis field Mein vah Behtar Pradarshan Kare aap use vahan kam karne ka avsar dekar Unse Behtar performance ki Apeksha Rakh sakte hain.

Jab aap employee ko unke anusar kam karne ka mauka Dete Hain To vah Aur Bhi Behtar tarike se use kam ko karne ki koshish karte hain. Kai bar aisa hota hai ki Hamari Apeksha se badkaratyadhik Behtar kam employee Karke Dete Hain, Kyunki Unki us kam Mein Ruchi Hoti Hai Jis vajah Se vah us kam ko man lagakar karte hain aur vah kam Behtar se behtar ho jata hai.

Task :-

Office mein esa nahi hai ki Hamesha kam per hi Focus kiya jaaye. Behtar performance ke liye Kai bar Hamen kam se Dhyan bhi hatana zaroori hota hai isliye aapko office mein online task Rakhna chahie jisse pura karne ke liye employee Apne anusar Kai Tarah Ke effort lagaen Aisa karne se Unka man Ek Samay ke liye lag Jaega aur FIR bahut Behtar tarike se apne kaam par Dhyan De Payenge.

Task rakhte Hue aapko is Baat Ka Dhyan Rakhna bahut jaroori hai aap apne Sabhi employees ko task complete karne ka Ek Jaisa avsar de, Taki Sabhi Saman Roop se aapke Diya Hai task complete kar sake. Aisa karne se aapko Apne employees Ki skills ka bhi pata chal jata hai.

Office Mein Apna Talent Kaise Dikhayen?

क्या आपके Office में Boss ka बर्ताव खराब है?

एक्सीडेंट दिलाएगा Office से छुट्टी

Safalta Kaise Prapt Kare, productivity ka Success se kya hai connection?

data-full-width-responsive="true">