Food Truck Business Start kaise kare?
How To Start a Food Truck Business in hindi
Food items Business Start karne ke liye Restaurant comparison me Food truck business apke liye best Business ho sakta hai, kyo ki is Business ko Start karne ke liye apko na to Land requirement hoti hai, our na hi staff ki requirement hoti hai.
Food truck business Start karne ke liye apko sirf apne Product ke Taste par dhyan dena jaruri hota hai. is Business ki taraf aaj ke samay me har koi kafi
Attract ho raha hai.aane vale samay me Food items Business kafi famous Business banane vala hai. me Food truck business me Food truck setup easily ek sthan se dusre sthan par le ja sakte hai.
Food Truck Business kya hai? (What is Food Truck Business)
Kisi bhi bade Vehicle (vahan) me Food items ko bana kar bechne ke system ko Food Truck Business kaha jata hai. is Business me Food items, Accessories end Cook truck me hi available hota hai. Last years me Food Truck Business ne kafi Popularity hasil ki hai, jiska main reason Delicious foods items ko banana, jese Sandwiches, French Fries, Hamburgers and Other Regional Fast Food. Food Truck Business me ap apni Location kabhi bhi change kar sakte hai. yadi apke dvara Select Location par Business me Profit nahi ho raha hai, to ap kahi dusri jagah par apna Business Shift kar sakte hai.
Food Truck Business ke liye Tips (Tips For Food Truck Business)
Food Truck Business Start kyo kare? (Why start a food truck business)
Food Truck Business is samay Trending Business me se ek hai. har koi Restaurant ki jagah Food truck Business ki taraf jyada Attract ho rahe hai. jab se Food truck business start hua hai, kabhi is Business me Loss nahi dekhne ko mila hai. Easy words me kahe to, Food truck business bahut Safe our secure hai, ye Profitable and progressive Business hai.
minimum investment se Start kare Food Truck Business (Food Truck Business start with low investment)
yadi ap apne Business me jyada Money investment nahi karna chahte hai,to ap minimum investment me bhi is Business ko Start kar sakte hai. jiske liye ap New truck ki jagah Old truck ka bhi use kar sakte hai. jiska apke Business Profit par koi effect nahi hoga.
saving money for emergency
Food truck business me kabhi bhi apko Device problem ka samna karna pad sakta hai, jiske liye apko kuchh paiso ki savings karna hogi, taki emergency me aap un paiso ka use kar problem se bach sake.
Long time ke liye taiyar rahe
Food truck business ko Start karne se pahle ap is bat ko Fixed kar le ki apko Food kab Selling karna hai, kyo ki apko cleanliness, Management and ordering par Special attention dena hoga.
Types of Food truck business
– According to business
Business ke According Food truck ko 4 parts me Divided kiya gaya hai. Self ownership, Partnership, Corporation, Limited Liability Company. Jisme se ap Self ownership ya fir Partnership parts ka hi Selection kare.
– According to food product
Food truck business me First stage me ata hai, ki ap kis tarah ka Food truck business opening karna chahte hai. jese Pizza Truck Food, Dosa Corner, Ice Cream Truck etc.
– Name of Food truck business
Jab ap apne Food truck business ka Selection kar lete hai, to apko us Food truck business ko name dena hoga. ek bat ka dhyan rakhe ki ap job hi name Select kare vah Name Unique and Attractive hona bahut jaruri hai. Market me Quality ki Price hone ke sath brand ki bhi Value hoti hai, isliye apke business ka name Different end Unique hona bahut jaruri hai.
Food Truck Business ke liye location Choice kaise kare? (How to Decide Place For Food Truck Business)
Legal Food truck Business (legal place for food truck business)
Food truck Business Start karne se pahle apko is bat kki Information hona bahut jaruri hai, ki ap jis location par Food truck Business kar rahe hai, vaha par kya Government ne apko Food truck Business karne ke liye Permission di hui hai.
Government ne kai location par Food truck Business ke liye Permission nahi deti hai. is Problem se bachne ke liye apko is bat ki Information hona bahut jaruri hai.
– Right place for food truck business
Food truck business ek tarah ka Restaurant hi hai, sirf apko esi location ka Selection karna hai, jaha Customer jyada ho. Ap apni requirement ke anusar location Change bhi kar sakte hai.
Yadi ap food truck business Start karte hai, to apka competition Restaurants and hotels se hota hai.is liye koi bhi Restaurants and hotels apko us Area me business nahi karne dega. Is sabhi bato ka dhyan rakh kar hi ap location ka Selection kare.
Selection of vehicle for food truck business
Food truck business ke liye sabse Important hai ki ap kis Vehicle(vahan) Ka selection kar rahe hai. apko market me kai tarah ke vahan mil jayenge, jinme se ap apne anusar koi bhi ek vahan ka selection kar apna business Start kar sakte hai. jab bhi ap Food truck business ke liye kisi bhi vahan ka selection karte hai, to dhyan rahe ki us truck me space jyada ho. Jis vahan ka aap selection kar rahe hai, vah luggage ko uthane ke capable bhi hona chahiye.
Food Truck Business equipment
Food truck business ke liye upkaran apke Food items par Depend karta hai. iske sath hi aap kya Food items banate hai, ye us par bhi Depend karta hai. apko vah sab upkaran kharidne honge, jo Food truck business me upyog me laye jate hai
Basic equipments for food truck business
– Truck ya Large vehicle :-
Food truck business ke liye apke pas sabse pahle Truck ya Large vehicle ka hona bahut jaruri hai. jab bhi ap apne business ke liye kisi Truck ya Large vehicle ka Selection karte hai, to apko apne business ke liye usme sufficient place jarur hona chahiye.
– Stoves and Grills :-
Food truck business me Food items ko banane ke liye apke pas Stoves ka hona jaruri hai. ap apne business level ke According Stove size ka selection kar sakte hai. Mesh ke liye oven, Fry karne vale Foods end bread ko Baking karne ke liye kiya jata hai. 6-burner stove, 4-burner + oven, 4-burner + griddle + two oven me se apni requirement ke anusar ap kuchh bhi kahrid sakte hai.
– Flat Top Grill :-
Flat Top Grill upkaran ka use Hamburgers, patties, toast buns, eggs, potatoes end Special things ko pakane ke liye kiya jata hai.apke pas is upkaran ko kharidne ke liye 60 thousand rupees ki requirement hogi. Burger banane ke liye kai log Bun warmer ka use karte hai, kyo ki Burger ko Cook karne ke liye Low heat ki jarurat hoti hai.
– Refrigerator End Freezer :-
Food truck business ke liye apke pas refrigerator end Freezer ka hona bahut jaruri hai. jiski cost 10 thousand se starts hoti hai. ye ap par Depend karta hai, ki ap refrigerator use karte hai ya fir Freezer
– Work Tables :-
Work Tables ki Requirement apke Cook ko dish ready karte samay lagegi. Cook Work Tables par hi dish ke Vegetables end dusri chijo ko katne ke liye our set karne ke liye use kiya jata hai. Work Tables Stainless Steel ki bani hui hoti hai, lekin kai log Maple wood se bani Work Tables ka bhi use karte hai.
– Sink and Dishwashing :-
Truck ko cleaning rakhana bahut jaruri hai, ye sabki Primary duty hai. sabhi ko Food product banate samay Health care rakhane ki bahut jarurat hoti hai. Truck ko cleaning ke liye ap Sink and Side Splashing, Standard 3-Tier Compartment Sink me se kisi ek ka selection kar sakte hai.
– Fryer And Smoker :-
Special Food Products ko banane ke liye Low heat me fry karne ke liye kai log Fryer ka use karte hai. Standard single fryer with two baskets, deep fryer, donut fryer ka use karte hai. kai Restaurant me Restaurant Box Smoker ka bhi use karte hai, taki special tasty foods Produce bana sake.
– Food Truck Service Window :-
Apko apne vahan me ek Window banvani hogi.jisame se ap Customer se order le sake. Customer ka order Ready hone ke bad ap easily tarike se Customer ko unka Parsal de sake.
– Other kitchen related tool :-
Kitchen ke liye apko our bhi kai tarah ke tool lene honge, jese Embroidery, Spoon, Knife, Pot ko kharodna hoga. inka use ap Food items ko banate samay karenge.apko Gas cylinder ki requirement bhi hogi.
Food truck kaha se kharide? (Where to buy food truck)
Agar ap bana banaya Food truck lena chahte hai, to http://www.customconcessionsusa.com/ ya fir https://dir.indiamart.com/impcat/food-truck.html Website se apni Favorite Design Food Truck Selection kar sakte hai, lekin iske liye apko Equipment Different kharidna hoga. apko Equipment Online and offline dono tariko se mil sakta hai.
Food truck price kitni hoti hai? (Food truck price)
Good condition me Food truck banvane ke liye apko minimum 1 lakh rupye Investment karne honge. Our use banvane ke liye alag se paise kharch karne honge. Yadi ap Readymade food truck kharidte hai, to apko 2 lakh rupees se 10 lakh rupees kharch karne honge.
Food truck business ke liye License kaise banaye (License for food truck)
– Food License
Food truck business Start karne se pahle apko Food truck business License banvana hoga. kisi bhi business ke liye uska License lena sabhi ke liye Compulsory hota hai. Food truck business ke liye apko Food Safety and Standards Authority (FSSAI) se Food License lene ke liye apko apni City ke RTO se Food truck business ke liye License lena hoga. Food truck License lene ke liye apko sabhi Required documents end Environmental license ki bhi jarurat hogi.
– Fire License
Apko Fire department se bhi license lena hoga. Fire department se liye license me apko Food truck ko fire protection karne ke liye Fire department ke sabhi guidelines ko Follw karna hoga.
– Municipal Corporation
Municipal Corporation se apko No objection certificate lena hoga. yadi ap chahe to Food truck business ke liye Kitchen insurance bhi karva sakte hai.
GST registration
india me Tax system Change ho gaya hai,jiske liye apko apne business ke liye government rules ke anusar GST registration bhi karvabna hoga. registration ke bad apko ek registration Number diya jayega.
Food truck business me kitne paise lagte hai? (Food Truck Business Investments)
India me Food truck business ko Start karne me lagne vale paiso ki yadi bat ki jaye to, average 10 Lakhs se 20 Lakhs tak ka Investment apko karna pad sakta hai, halaki Investment amount apke dvara Select kiye gaye vahan par bhi Depend karti hai. sath hi ap kon sa Food product bechna chahte hai, is bat par bhi business mehone vale Investment ki amount Depend karti hai.
Food truck business me hone vala profit (Food Truck Business Profit)
Kisi bhi business me hone vala profit apke Product Variety our Marketing & Quality par Depend hoti hai. experts ke According 5000 rupees ke raw material se 9000 rupees se 10000 rupees ya isase jyada bhi ap profit kama sakte hai. Examples ke tor par man liya jaye ki apki Total income around 3 lakh rupees hai, jabki apne apne business me1.6 Lakh rupees Invest kiya tha, to apko apne business me 40 se 50 percent ka Extra profit hua hai. Food truck business me Every month Benefit badta hi hai, sirf apko Quality & Services par bahut jyada dhyan dene ki jarurat hai. yadi apki Quality & Services Customer ko bahut pasnd ati hai, to apko is business me bahut jyada profit ho sakta hai.
Food truck business ka Publicity and Advertising (Marketing and Advertising)
Kisi bhi business ko Success karne ke liye apko uski Marketing and Advertising bahut Strong karni hogi. Business ki Marketing and Advertising karne ke liye ap kai tariko ka use kar sakte hai. sabse pahle Customer ko Attract karne ke liye apko apne Food Truck ka Name Attractive rakhna hoga. Name Attractive hone se har koi apke business ki taraf Attract hoga. iske bad hi ap apne business ki Strong Marketing and Advertising kar payenge.
Food Truck Business me hone vale Risk (Food Truck Business Risk)
vehicle (Truck) Risk
Food Truck Business me sabse pahla Risk vehicle (Truck) ka hota hai. jab apke Commercial truck me Maintenance aa jata hai, ya fir kisi taraf ki koi kharabi aa jati hai, to apko usme kafi paise kharch karne pad sakte hai. jiske bad apki Business Capital kafi prbhavit ho sakti hai. yadi Truck ka accident ho jaye to apka pura Business ek tarah se khatm ho jata hai, kyo ki apka Business apke vahan par hi dependent rahta hai. is Condition me apko pahle se kuchh paise Extra saving karke rakhna hota hai, taki Future me is tarah ki kisi bhi Problem ka ap easily tarike se samna kar sakte hai.
Product Quality and taste
Kisi bhi Food related products ka Business uski Quality par dependent hota hai. har koi is bat ko samjh nahi pata hai, lekin yadi apne apne Business me Quality ke mayne ko samjh gaye hai, to apko Success hone se koi bhi nahi rok sakta hai. Quality apke Business ki jaan hoti hai. apko apne Business me Food product test and flavour ko Customers ke anusar Change karna hoga. tabhi ap Market me apni identity bana payenge.
Food truck Business ka Weak management
Kisi bhi business ko successful banane ke liye ek Strong Management ka hona bahut jaruri hai. Food related product business me hame hare k chhoti se chhoti bat par jyada dhyan dena hota hai. business ko Success karne ke liye apko shuruaat se hi ek Strong Management karna hoga.
Hiring and Training
Apne business me apko ese logo ko rakhna hoga jo customer se Good behaviour karne ke sath cooking me bhi Experts ho. Apko apne employees ke liye Training arrangements karni hogi, kyo ki employees ko sahi se Trained nahi hote hai, to apka business band hone ki kagar par bhi aa sakta hai.
Market understanding (Low marketing skill)
apne Food truck business ko Successful banana hai, to apko apne business ka Marketing end end Advertisement bhi karna hoga.kisi bhi business ke liye Marketing hi uski jad hoti hai. ap hamesha business me Customer ke anusar hi chale. Customer ko Attract karne ke liye Trending product ko apni Food recipe menu me add kare.
Conclusion :-
Is bat me koi do ray nahi hai, ki every year 9 percent ke rate se Food truck business badta hi jar aha hai. India me Food truck business ko Start kare huye jyada samay nahi hua hai, jiske liye Market me iska competition bahut kam hai. is samay ap apna Food truck business easily chala sakte hai.
LED Bulb Business Start kaise kare?
Business me tools ka use kaise kare?
Retail cloth Business kaise kare?
Nail Salon Business Kaise Start Kare?