Technology ki najar se dekha jaye to hamane kafi tarkki kar li hai. Is bat me to koi dohray nahi hai ki Technology ke shetr me hamara desh kisi se kam nahi hai. jab bhi hame kisi chij ki jankari hasil karni hoti hai to ham sabse pahle google par Search karte hai. Lekin kai bar hame apne anusar un Question ka utna javab nahi mil pata hai jesi ham ummid karte hai.
Aaj ham aapko Technology ke un sabhi Facts ke bare me batane vale hai, jinke liye apko google par kafi Sufferingkarni hoti hai, lekin hamapko ye sabhi Information ek hi jagah dene vale hai, Yadi ap Technology Field se hai to apke liye in bato ko janna bahut jaruri hai.
– E-mail Facts
– Computer Keyboard Facts
– Domain Facts
– Wikipedia Facts
– NASA Facts
E-mail Facts in hindi
Internet jab nahi tha us smay bhi E-mail hua karta tha, asan bhasha me kahe to Internet se pahle hi E-mail ka avishkar ho gaya tha.YouTube par1984 ki ek majedar Video hai jisme bataya gaya hai ki us samay Internet na hote hue bhi kis tarah E-mail bheja jata tha.
Purane samay me Rotary phone hua karte the. Rotary phone me 776 Number hua karta tha, jise Micronet se Connect kiya jata tha. Halaki isme Connectivity problem bahut hoti thi, lekin kisi tarah E-mail bheja jata tha. Apkli jankari ke liye bata de ki World Wide Web (www) se pahle Micronet aa gai thi. Ham kah sakte hai ki Internet se pahle E-mail ka avishkar hua tha.
Computer Keyboard Facts in hindi
Computer keyboard ke Alphabet ek line me kyo nahi hote hain? Yah Question har kisi ke man me ata hoga lekin bahut kam logo ko iska jawab pata hai.akhir kya karan tha ki keyboard ke Alphabet ko Serial wise set nahi kiya gaya, iska karan hai apki Typing speed ko slow karna hai.
Keyboard me Alphabet ek line me hone ka karan sirf Typist ki speed ko slow karna tha , kyo ki us smay me jab bhi koi fast Typing karta tha tha to Computer Hang ho jata tha, is Problem se bachne ke liye keyboard Alphabet ko badal diya gaya tha.
Esa kaha jata hai ki keyboard ke keyboard key Most cord Suitable hoti thi, isliye inhe ese banaya gaya tha. Halaki esa koi Rule nahi hai ki ise esa hi rakha jaye, lekin fir bhi keyboard QWERTY vala hi aaj tak chal raha hai.
Domain Facts in hindi
www.yahoo.com, www.google.com ko to har koi achhi tarah se janta hai , 1995 iswi me sabhi Domain free hua karte the, kyo ki us samay me bahut kam log Computer ka use karte the. 1995 iswi me Domain register karna free tha.
Domain ke liye pese nahi dene padhte the. halaki bad me iske liye 100 dollars dena padhte the, jisme Internet infrastructure badhane ke liye 30% fee jati thi. Network Solutions name ki company ko first time Domain Sell karne ki Permission mili thi.
Wikipedia Facts in hindi
Wikipedia ek esi Website hai, jaha apko Free me har chij ki information mil jayegi, iske liye apko sirf Internet ki jarurat hogi. Yadi apke pas Internet ki suvidha hai to ap vaha singn up kar sakte hai , sath hi ap vaha pages ko Edit bhi kar sakte hai. Lekin pareshani ye hai ki kai vykti vaha par galat jankari ko Edit kar dehai hai jo galat hai, is Problem ke liye Official user ko rakha gaya hai, jo Wrong activity par najar rakhte huye use fir se sahi karte hai.
NASA Facts in hindi
16 years old Jonathan James namak ek ladke ne National Aeronautics and Space Administration (NASA) ko Hack kiya tha. Jonathan James ne karib 3000 Username or Password ko Hack kiya tha, usne mahaj ek chhote se Computer se ye kiya tha. Jiske chalet NASA ne apne Computer 3 weeks tak band kar ke rakhe the. James ne apne Computer se NASA ke Secret document, all script, Technical news ko Hack kiya tha.
Mobile Technology Generation क्या है, जानिए जनरेशन का इतिहास?
Technology Ne Badla Duniya dekhne ka Nazariya
Food Technology क्या है, कैसे बनाएं इसमें Career?
Technology Se Banaye Logistic Sector Ko Asaan