Jab aap khud ki website chalate hai tab kai pareshani aati hai aur unhi pareshaniyo me ek hai bounce rate ka jyada hona. Aajkal har koi ise kam karna chahta hai lekin kaise kare is baat ka sahi-sahi jawab kisi ke pas nahi hai. Bounce rate ko kaise kam karna aur ye kya hota hai aap is article me janenge.
Bounce rate kya hota hai?
Bounce rate ka matlab hota hai ki koi visitor aapki website par aaya aur bahut jaldi yaani10-20 second me hi waha se chala gaya. Matlab usne jayada der us content ko padha ya dekha nahi aur wo waha se chala gaya matlab bounce kar gaya. Koi bhi visitor aapki website par jitna kam samay bitayega aapka bounce rate utna hi jyada badhta jayega.
Bounce rate kaise kam kare?
Bounce rate kam karne ke kai tarike hai lekin iske liye hame sabse jyada dhyan website ke content aur fir uski design par dena hota hai. Aamtour par in dono cheejo ke karan hi user page se jaldi chala jaata hai. To chaliye jaante hai ki website ka bounce rate kam karne ke kya tarike hai.
1) Ek accha aur user friendly design
Jab aap website design karwate hai ya fir karte hai to usme simple colour ka use karte hai. Agar aap jyada bright ya vibrant colour ka use karenge to user aapki website par ajeeb sa feel karega. Iske liye aap colour science par thoda research kar sakte hai ki kis rang ka kaisa prabhaw padhta hai. Ise jaankar hi aap apni website ko ek accha look de payenge.
2) Content is king
Koi bhi vyakti agar khud aapki website par aa raha hai matlab wo ek accha content dekhne aapki website par aa raha hai. Agar wo aapki website par aaya aur aapne use accha aur satisfied content nahi diya to wo jaldi hi aapki websit se baahar ho jayega aur aapka bounce rate badne lagega. Isliye yaad rakhe ki content aisa ho jise insaan aaram se aur der tak padhe.
3) Photos aur vidoes ka use kare
Agar aapki site par jaankari ke naam par sirf content hi content hai to dher sara content dekhkar user baahar ho jayega isliye content ko intresting banane ke liye aap graphics aur videos ka use kare. Aajkal log videos ko jyada dekhna pasand karte hai agar wo aapki site par hai to user kaafi der tak aapki website par rukega.
4) page ka loading time kya hai
Aajkal koi bhi user kisi bhi tarah aapki website par aaya aur aapki website 10 second se kam samay me nahi khuli to wo kisi aur website ko dekh lega. Aajkal to digital world me itna compition hai ki website 1 second me khul jati hai. Isliye dhyan rakhe ki aapki website ka page loading time kam se kam ho.
5) article ki lambai kitni hai?
User aapke page par kitni der rukega ye is baat par bhi nirbhar karta hai ki aapka content kitna lamba hai. Waise agar aap content ki lambai badhane ke liye faltu ki bate apne content me likhe jaa rahe hai to user jaldi se baahar ho sakta hai. Isliye jitna likhe accha likhe aur unke saath kaam ke graphics ka use kare. Isse user kafi der tak aapke content par tika rahega.
To ye the wo tarike jinse aap apni website ka bounce rate kam kar sakte hai. Bounce rate kam karne ke liye aap bas do chijon par jyada dhyan de ek to accha content aur dusra aapke page ki speed iske baad to user jarur aapki website par der tak ruk sakta hai.
Free Web Hosting Kya Hai Free Web Hosting Ke Fayede Fayde Nuksan?
CTR, CPC, CPM, CPA, CPL, Kya Hote Hai
IP Address kya hota hai, apna IP Address kaise jane?
Google के Bolo App के जरिये English और Hindi दोनों Bolo
PF Account के पैसों की Online निकासी कैसे करें