Online Voter ID List me Apan Naam Kaise Check Kare

How To Check Name In Voter List

Pure desh me election ho rahe hai. Ye election 2019 loksabha chunav hai. Jo yah tay karta hai ki hamare desh me kiski sarkar rahegi. Kendra me kounsi party ki sarkar rahegi. Koun pradhanmantri banega ye sab isi election 2019 se tay hoga.

Loksabha election 2019 me bharat ka har wo naagrik vote dega jo 18 saal ka hai aur jiska voter id card hai. Vaise agar aapka voter id card hai to aapko ye jarur chek karna chahiye ki aapka voter list me naam hai ya nahi. Agar aapka voter list me naam nahi hai to aap vote nahi de payenge.

Voter list me kaise chek kare apna naam?

Voter list me apna naam chek karna bada aasan hai. Iske do tarike hai. Sabse pahle to aapko National Voter Service Portal (NVSP) par jana hoga. Yaha aap do tariko se apna naam voting list me chek kar sakte hain.

Pahla tarika to ye hai ki aap NVSP ki website par jaakar manually sari jaankari bhare aur fir apna naam chek kare.

Dusra tarika ye hai ki aap NVSP ki website par jaaye aur apne EPIC Number ko daale jo aapke voter id card par hai aur apne naam ko chek kare.

Matdata suchi me apna naam kaise chek kare?

1) Sabse pahle aap NVSP ke portal yaani website par jaaye.

2) Iske baad aap “Search by EPIC No.” par click kare.

3) Yaha par EPIC No. daale aur apna state bataye iske baad captcha code daalkar khoje par click kare.

4) Ab aap apna naam voter list me dekh payenge.

Agar aapke paas EPIC Number nahi hai to aap is tarah voter list me apna naam chek kar sakte hai.

1) Sabse pahle NVSP portal par jaye.

2) Iske homepage par “Search” par click kare.

3) Search me jaakar “Search by detail” par click kare.

4) Yaha aapse jo-jo jaankari mangi jayegi aapko wo fill karna hai aur code daalkar search karna hai.

5) Aapka naam agar voting list me hoga to yaha aa jayega.

ये 8 योजनायें जो बेटियों भविष्य कर देगी उज्ज्वल

जानिए क्या है NEFT, RTGS, IMPS नेट बैंकिंग

ये 5 Apps Mobile में Install करें, कमाए पैसा ही पैसा

Indian Government के 6 Apps , हर समस्या का है समाधान

IP Address kya hota hai, apna IP Address kaise jane?

data-full-width-responsive="true">