CTR, CPC, CPM, CPA, CPL, Kya Hote Hai

CPM, CTR, CPA, CPL, CPC kya hota hai. Is baat ka jawab detail me sirf technical log hi jante hai jo digital marketing karte hai ya digital duniya me kaam karte hai. Vaise ye sari cheeje kya hoti hai aap bhi jaan jayenge. Agar aap Adsense ka istemaal karte hai to aapne in sabhi naamo ko jarur dekha hoga aur padha hoga. Darasal ye sarye term Google Adsense me istemaal hote hai. Jinhe digital marketing ke liye samjhna behad jaruri hai.

Internet me 3 tarah ke log hote hai

Content, creators aur publishers : Ye internet par aapko content dikhane ka kaam karte hai. Internet par aap jo bhi content dekhte, padhte aur sunte hai use creators aur publishar banate hai aur apni website par publish karte hai. Iske baad ham apni jarurat ke anusar us content ko khojte hai aur jaankari ko padhte ya dekhte hai.

Advertisers : Ye vo log hote hai jo apne business ko promotion karne ke liye internet ka istemaal karte hai. Ye creators ke site ya channels ka istemaal karke apne business ko promote karte hai. Aapne youtube aur website par aane wale advertisement ko to dekha hi hoga wo inke hi hote hai.

Advertising Agencies : Ye wo log hote hai jo Creator aur Advertisers ke beech medium ka kaam karte hai. Jaise Google Adwords. Ye dono ke liye ek platform dete hai jaha advertiser apne ad de sake aur creator paise kama sake.

Advertising agencies jo business karti hai wo kuch special term ke basis par hota hai jinme CPM, CPC aadi aate hai. Inhi terms ki jaankari aap is article me padhenge

CPM : Cost Per Mile (Thousand) kya hota hai?

CPM ka full form hota hai “Cost Per Mile” Ye rate website ya fir channel par dikhaye jaane wale ad ke liye hota hai jisme ad par aanne wale impression ke hisab se paisa diya jaata hai. Maan lijiye aapki koi website hai aur aapka account Google Adsense par hai to aapko Google agar CPM ke hisab se paise dega to wo ye dekhega ki aapki website par us ad ko kitne logon ne dekha. Isme us ad par koi user click kare ya na kare us se koi matlab nahi. Is term se paise 1000 impression ke hisab se hi diye jate hai.

CTR : Click Through Rate kya hota hai?

CTR ek aisa tarika hai jo ye batata hai ki aapki website par dikhne wale advertisement par kitne logo ne click kiya hai aur iska percantage kya hai. Maan lijiye ki kisi website par 100 impression hue aur unme se 1 user ne advertisement par click kar diya to iska jo percantage banega wo 1 percante hoga. Yahi CTR kahlata hai.

CTA kya hota hai?

CTA ka pura naam hai Cost per action. Internet par advertise karne ka ye best tarika hai. CTA Advertising puri tarah performance based hoti hai. Maan lijiye aap advertiser hai to aapko tabhi pay karna hai jab kisi website se aapke ad par click, purchase, sign up hua ho. Digital world me ise sabse jyada effective marketing model mana jata hai.

CPC kya hota hai?

CPC ka pura naam Cost per click hai. Isme advertiser ko payment par click ke hisab se karna hota hai. Jaise agar aap apni website par direct traffic lana chahte hai to aap ya to Google Adword ka sahara lenge ya fir social media ka jis par aapko pay karna hoga. Yaha aapke jo paise lage hai uske result me user aapki link par click karke apni website par aata hai. Isi ko CPC kahte hai.

CPL kya hota hai?

CPL ka matlab hota hai Cost per landing. Ye ek alag tarike ka online advertisement model hota hai. Ise jyadatar organization dwara chalaya jaata hai. Ye is baat par jyada interest lete hai ki unke kiye gaye investment par kitni lead genrete hue hai matlab unse kitne log jude hai. Is tarah ke ad par jab bhi koi user click karta hai to wo targeted site par jata hai aur waha use ek form fill karna hota hai. Ise hi lead generate karna kahate hai.

CPS kya hota hai?

CPS ka pura naam Cost per sale hota hai. Iska matlab hota hai ki jitni sell hui utna hi paisa aapko milega. Ise jyadatar affiliated marketing me use kiya jata hai. Yaha har successful sale par aapko commision diya jata hai.

Ab to aap jaan hi gaye honge ki CPM, CTR jaisi term kya hoti hai. In saari term ke bare me umeed karte hai ki aap acchi tarah jaan gaye honge aur aage chalkar jab bhi koi aapse inke bare me puchega to aap jawab de payenge.

IP Address kya hota hai, apna IP Address kaise jane?

Google के Bolo App के जरिये English और Hindi दोनों Bolo

Indian Government के 6 Apps , हर समस्या का है समाधान

PF Account के पैसों की Online निकासी कैसे करें

ये 5 Apps Mobile में Install करें, कमाए पैसा ही पैसा

data-full-width-responsive="true">