Aaj ke samay me har kisi ka Bank me Account hota hi hai. jab ham Bank me Account open karvate hai, to ham apna ek Mobile Number Registered karvana hota hai, taki hame Bank se related har Update message se milta rahe, lekin kai bar ham Bank me jo Mobile Number Registered karvate hai vah band ho jata hai.
hame Bank jakar new Mobile Number Account se Registered karvana hota hai, lekin kai log esa karte nahi hai, kyo ki unhe Bank branch me jane se alas aata hai. jis vajah se hamara new Mobile Number Account se Registered nahi ho pata hai, our hame bank se related kisi bhi tarah ka koi Update nahi mil pata hai.
Bank Account se Mobile Number Registered nahi hone ke karan hame kai tarh ki Problems ka samna karna hota hai. bina Mobile Number Registered huye ham Net banking ka use nahi kar sakte hai.
apka Bank Account me Registered Mobile Number band ho gaya hai, our aap use Change karna chahte hai, to aap kuchh Easy steps follow kar kar sakte hai.aaj ham apko batayenge Bank Account me Register Mobile Number change kaise kare? Bank me Register Mobile Number change karne ki Process kya hai?
Bank Account me Register Phone Number Change kaise kare? (How to change the register phone number in a bank account)
Kuchh samay pahle yadi apko apna Phone Number Bank Account me Change karvana hota tha, to apko Bank ki Branch Office me jana hota tha. Branch me apko ek Application dene ke bad Branch Officer apke Bank Account me Mobile Number change kar Register karte the, lekin aaj ka samay Cashless Transaction hai. pahle jo kam Bank me hote the, vah sabhi kam ham Net banking and ATM Machine se kar sakte hai.
Bank me Mobile Number change kaise kare? (How to change mobile number in bank)
Bank me Mobile Number change karne ke 3 tarike hai.
– Internet se (Net Banking ya Mobile App)
– Bank Office
– ATM Machine
Internet Banking Se Mobile Number change kaise kare? (SBI me Mobile Number change kaise kare)
Yadi aap apne Bank Account se Internet banking Service Enable hai, to aap in easy Steps Follow karke apna Mobile Number change kar sakte.
step 1.
Sabse pahle apko SBI ki Online Website Onlinesbi.com par jana hoga. UserName & Password se aap log in kare.
Step 2.
Website log in karne ke bad Profile Option par click kijiye.
Step 3.
Jab aap Profile par click karenge, to apke Account se related sabhi Information apko mil jayegi.apko un option me se Personal Details option par click karna hoga.
Step 4.
Ab apko apna Profile Password Enter karna hai.
Step 5.
Next Step me apko apna Mobile Number Change karne ke liye 2 option milenge,
– Change Mobile Number Domestic only (OTP/ATM/Contact Center)
– Change Mobile through branch
Apko dono option me se Change Mobile Number Domestic only (OTP/ATM/Contact Center) par click karna hai.
Step 6.
Ab User ko apna New Mobile Number Enter kar Submit par click karna hoga.
Step 7.
Jab aap Submit par click karte hai, to apko New Mobile Number Update karne ke liye 3 option Show honge.
– IRATA (ATM)
– OTP
– Contact Center
– Apko in 3 option me se IRATA (ATM) option ko Select kar Proceed par click karna hai.
Step 8.
Ab apke samne Bank Account Number & Account Type Show honge, apko ek bar fir Proceed par click karna hai.
Step 9.
Jab aap Proceed par click karte hai, to apko screen par ATM Card Number and Name Show hoga. ATM Card Number and Name correct hone par Proceed par click kar de.
Step 10.
Transaction Complete karne ke liye apko charge ke liye 1 rupee Pay karna hoga, jisake liye apko apni Card Detail Enter kar apni Process ko Complete kare.
Step 11.
Ab apki Request Submit ho jayegi. Guideline par click kar Process ko Complete kare.
ATM Se Mobile Number Kaise Register Kare? (How to register mobile number from ATM)
– ATM machine me apna ATM card swipe kare.
– Registration par click kare.
– Apna ATM card PIN Inter kare.
– Ab apke samne 2 option show honge, jinme se apko New Registration option par click karna hai.
– Ab apko Change mobile number option ko select karna hai.
– Apna old mobile number Inter kare.
– Correct option select kare.
– Apna new mobile number Inter kare.
In sabhi Steps ko follow karne ke bad apki process complete ho jayegi. Jab apki process complete ho jayegi to apke mobile number par ek OTP ke sath number Reference bhi ayega, jise apko 567676 par send karna hai.
Branch me Registered mobile number change kaise kare? (How to change the registered mobile number in the branch)
yadi aap Bank Branch me ja kar apna Registered mobile number change karvana chahte hai, to apko sirf ek application ki jarurat hogi. Jise apko Bank Branch me Bank employees ko dena hoga, jisake bad apka Registered mobile number change kar diya jayega.
Bank me Registered mobile number change karne ke liye Application kaise likhe? (How to write an application to change the registered mobile number in the bank)
Seva me,
Shriman shakha prabandhak
Bank ka name and pata :- 1234567890
Vishay :- Bank Account me Registered mobile number change karne ke liye.
Mahashay,
Savinay nivedan hai, ki me apna name likhe apke bank ka ek KhataDharak hu. Mujhe apne Bank Account me Registered mobile number ko change karna hai, kyo ki Bank Account me jo mobile number Registered hai, vah mere pas nahi rahta hai.atah apse nivedan hai, ki ap mere Bank Account me jo mobile number Registered hai use change kar de. Iske liye me apka sada abhari rahunga.
Purana mobile number :- 0987654321
New mobile number :- 1234567890
…………………..
Apni Sign kare
Name :- 123
A /C no. :- 111222333444555
mobile number :- 1234567890
DATE :- xyz
Note- Application me aap date upar ya niche kahi bhi likh sakte hai.
Bank Account me mobile number change karna kyo hai jaruri?
Mobile aaj ke samay ka ek esa Gadget ban gaya hai, jo kisi bhi vykti ko Raja se Bhikhari bana sakta hai. yadi apke Bank Account me koi dusra mobile number Registered hai, to apko careful hone ki jarurat hai, kyo ki apke bank Account ki sabhi Information dusre vykati ko mil rahi hai.
ap apne bank Account me job hi Transaction karte hai, chahe money Deposit karna ho ya fir money Withdraw karna ho. Bank se related har ek activity ki Information dusre vykti ko milti rahti hai.
Yadi vah chahe to apke Bank Account se sabhi paise nikal bhi sakte hai. kai log is tarh se uska misuse karne lag jate hai.isliye dhyan rahe ki apke Bank Account me sirf apka hi mobile number Registered hona chahiye.
yadi kisi dusre vykti ka mobile number Registered hota hai, to ap bahut badi Problems me fas sakte hai. yadi ap chahte hai ki apke sath Bank related kisi bhi tarah ka Fraud na ho, to jab bhi apka Registered mobile number apke pas nahi ho to turant hi apna mobile number Registered karvana chahiye
Official Method se Mobile Number Change kaise kare? (How to Change Mobile Number in SBI)
SBI ka pura name State Bank of India hai. SBI india ka bada bank hai, jaha aap apna Open account karva kar kai tarah ki Facility ke benefits le sakte hai. yadi ap State Bank of India ke account Holder hai, to ap badi hi easily tarike se apna mobile number Add karne ke sath mobile number Registered bhi kar sakte hai.
SMS se SBI bank me apna mobile number Registered kaise kare?
State Bank of India ki SBI Mobile Alert bahut hi best Service hai, jo apko information Provide karne ke sath apko Bank se related all Transactions and Record ke bare me apko batata hai. ap is Service ka use karke apne Mobile par hi bank ke sabhi Transactions and Record ko Update kar sakte hai.
State Bank of India me apne Mobile Number se sms karke aap apna new Mobile Number Registered kar sakte hai.iske liye apko Kuchh Steps follow karne honge.
Step 1 :- is Service ka benefits lene ke liye ek bat ka special dhyan dena chahiye.apke bank Account se apka mobile number Registered our Link hona Compulsory hota hai, taki ap is Facility ka benefits le sake.
Step 2 :- apko Internet Banking ki Site par Visit karne ke bad Request Tab Option me ja kar SMS Alert Option par Click karna hai.
Step 3 :- ab apke samne apke bank Account ki sabhi Details ki List Display ho jayegi. Apko un sabhi Transaction ki List mil jayegi jo apne apne bank Account me ki hui hai.
Step 4 :- ab apko vah Mobile Number Select karna hai, jise apko Change karvana hai, ya fir update karvana hai. Number Select karne ke bad apko SMS alert par Click karne ke bad Ok par Click karna hai.
Step 5 :- ab apka Mobile Number Change ho jayega.apke new Mobile Number par apke bank ke sabhi Transactions ke Messages aa jayenge.
State Bank of India ki Branch se Mobile Number change kaise kare? (How to change Mobile Number in SBI Branch)
Aap chahe to State Bank of India ki Branch me ja kar bhi apna Mobile Number change karva sakte hai. ap apna Mobile Number apne Account se Link bhi kar sakte hai. iske liye apko State Bank of India (SBI) KI Branch me ja kar kuchh Process karni hogi, jisake bad apke bank Account me new Mobile number ko add kiya ja sakta hai.
Bank branch process kaise Complete kare? (How to complete bank branch process)
Step 1 :- sabse pahle Account holder ko apne paas kisi bhi SBI Branch me Visit karna hoga.
Step 2 :- apko bank ki Branch me se Mobile number change karne ke liye ek Applications form fill karne ke liye diya jayeda. Jisame apko sabhi details sahi fill karni hai.
Step 3 :- Bank se mile Applications form me apko Personal details fill karni hogi, jese apka name, apka Account Number or apka new Mobile number jise apko Update karva kar Registered karvana hai.
Step 4 :- apko Applications form ko fill karke bank branch me hi submit karna hai.
Step 5 :- jab aap bank ko Mobile Number change karne ki Applications ko fill karke jama kar dete hai, to bank kuchh samay bad hi apke bank Account se apka new Mobile number ko Update kar sakte hai. jisake baad aap apne Mobile par hi apne bank se Related sabhi Information ko dekh sakenge.
Credit Card se Registered Mobile Number Change kaise kare? (How to change registered mobile number with credit card)
SBI Account Holders ko State Bank of India ki taraf se kai facilities di jati hai, jinme Credit Card facility bhi add hoti hai. SBI Credit Cards ko sabhi bank me sabse Best Credit Cards mana jata hai.
SBI Credit Cards se Mobile Number change karne se pahle apko is bat ko confirm karna hota hai, ki apka Credit card Activate ho chukka hai ya nahi, taki apko apna Mobile Number change karne me kisi taraf ki koi Problem ka samna na karna pade.
SBI Credit Cards se Mobile Number change karne ke liye apko kuchh Easy Steps follow karne hote hai. jiske bad ap apna Mobile Number change karva sakte hai.
Step 1 :- sabse pahle apko apna ID password use karte huye www.sbicard.com par login karna hoga.
Step 2 :- login karne ke bad Sidebar me blue colored ke area me show ho rahe My Profile option par click kare.
Step 3 :- Dropdown se card select karne ke bad Quick Contact option par click kare.
Step 4 :- State Bank of India Credit Cards se Mobile Number change karne ke liye apko Edit option par click kijiye.
Step 5 :- ab apko Space me apna old Mobile Number ko Remove karne ke bad apna new Mobile Number ko Enter kare.
Step 6 :- Generate OTP option par click kare, is Option par click karne ke bad apke Registered Mobile Number par ek OTP (One Time Password) ka message ayega.
Step 7 :- ab apke samne jo space Provide hai vaha par apko OTP (One Time Password) ko enter karna hai.jiske bad apko confirm par click karna hai.
Yadi apke Mobile Number par OTP (One Time Password) ka message nahi ata hai, to apko resend option par click karna hai, jisake bad apko apne Registered Mobile Number par OTP (One Time Password) ka message aa jayega.
Step 7 :- OTP (One Time Password) ko Inter karne ke bad jab aap confirm par click karenge to, apke bank Account se SBI Credit Card ki Help se Mobile Number change ya Update ho jayega.ab apka new se Mobile Number apke bank Account me Register ho gaya hai. ab aap jo bhi Transaction bank Account me karenge to uska message apke Mobile Number par aa jayega.
Bank Clerk kaise bane, Clerk ki taiyari kaise kare?
Gold Loan क्या है, किस Bank से Gold loan लेना है Secure?
Online Payment Kya Hai ? Janiye Mobile Banking Security Tips