video Dekhne Me Khatam Hoti Hai Battery To, Ye Tips Hai Apke Liye Jadu

How to increase the battery life of your Smartphone

Smartphone users ke liye sabse badi Problem Battery ki hoti hai. Battery Problem ke liye sabhi company Power full battery pack ka dava karti hai. Power full battery pack ke sath company Fast charge ka bhi dava karti hai.

Company dvara diye ja rahe Power full battery pack se Customer ki thodi Problem kam to hui hai, lekin usersko kafi savadhaniya rakhni chahiye. Users Smartphone ki Settings Change Kare to vah apne Phone ki battery performance me sudhar kar sakte hai.

– Battery Saving Tips
– Bluetooth and Wifi rakhe off
– location and gps tracking settings
– Screen time out settings
– App notification on settings
– App settings
– Flash Use
– Other Phone Settings

Battery Saving Tips in hindi 

Smartphone ki Display adhik power Consum karti hai. Isliye Apne Smartphone ke Screen brightness option ko hamesha Automatic rakhe. Jisse apki Smartphone ki Brightness Environment ke anusar Fix ho jayegi.

Bluetooth and Wifi rakhe off 

kai Users apne Smartphone me Bluetooth our Wifi ko hamesha On rakhte hai.esa karne se apke Smartphone ki Battery jayada kharch hoti hai. Isliye jab jarurat ho tabhi Bluetooth and Wifi ko on karna chahiye.

location and GPS tracking settings in hindi

jis tarah hame Bluetooth our Wifi ko jarurat ke samay on karte hai usi tarah location and gps ko bhi jarurat ke samy on kare our jarurat na hone par

ise off kar de. GPS tracking on rahne par vah satellite ko radio web bhejta hai, jisse Smartphone ki Battery Low ho jati hai.

Screen time out settings in hindi

Sabhi Users ko apne Smartphone me Screen time out settings ko kam rakhna chahiye. Kyo ki kai bar ham jab apna phone use nahi karte hai to bhi phone ki Light on hi rahti hai. Jisse battery jaldi khatm hoti hai. Users ko phone me Screen time out ko kam hi rakhna chahiye.

App notification on settings

Notification bell bajate hi ham use dekhte hai. Yaha tak ki koi bhi Notification ko bina dekhe raha bhi nahi jata hai. Ham bhul jate hai ki in Notification se hamare phone ki battery life khatm ho jati hai.hame dhyan rakhna chahiye ki jo jaruri ho sirf usi app ki Notification ko on rakhe.

App settings

Multitasking feature vese to kafi kifayati hai, lekin ye apke phone ki battery bhi jyada use karta hai. User app use karne ke bad use off kar de. Kai app ese hai jo, Background me data our battery use karte hai, jisse battery khatm jaldi ho jati hai. User ko phone me sleep mode on karna chahiye.

Flash Use

Kai Users Notification ke liye Flash Use karte hai.jisse battery bahut jald khatam ho jati hai.kai bar ham Flash bevajah Flashlight chalate hai, jo battery khatm karne ka madhyam ban jata hai.isliye jab jarurat ho tabhi Flash ka Use karna chahiye.

Other Phone Settings 

Jyada samay tak phone use karne se vah garam Hone lagta hai. jab apka phone Heatup hone lage to vah Mobile phone ki battery khatm karne ka karan banta hai. Jab phone garam ho raha ho to, AC ya thande sthan par use kare.

Smartphone Unlock Kaise Kare?

Phone Tap kaise karte hai, Apka Phone To Nahi Ho Raha Tap

Smartphone Users Location Tracking off Kaise Kare?

Phone aur Computer Me Dark Mode Activate Kaise Kare?

data-full-width-responsive="true">