Smartphone Unlock Kaise Kare?

How to unlock smartphone in hindi 2021

Smartphone User apne phone ko Secure karne ke liye vah apne Smartphone me Password, pattern, screen lock our Pin ka use karte hai. Har koi chahta hai ki unke Personal work, Video, photo, recording koi our vykti na dekhe jiske liye vah in Password ka use karta hai.

Phone chori hone ke dar se bhi ham apne Smartphone me difficult Password rakhte hai. Smartphone User kuchh esa Password rakhta hai jiske bare me koi dusra vykti ke dvara anuman lagakar open karna difficult ho lekin kai bar dusro ke liye difficult Password rakhne ke chakkar me ham khud hi apna Password bhul jate hai. Yadi apke samne bhi ye duvidha aai hai to ham apko batayenge smartphone ka password kaise tode ? ya mobile ka pattern lock kaise tode.

phone unlock kaise kare? (How to unlock phone)

– Kisi bhi Mobile ya Computer me https://myaccount.google.com/find-your-phone-guide open kare.
– Apne jis Google account ko apne smartphone me use kiya hai usi se E-mail Login kare.
– E-mail Login karne ke bad apke samne un sabhi Device ka name a jayega jinhe apne Login kiya tha.
– Ap apne us smartphone (Device) ko Select kare jiska Password ap bhul gaye hai.
– Age badte huye apko Lock your phone Option Select kare.
– old pattern, PIN, ya password Replace karne ke liye new password Enter kare.
– lock button par Click kare.
– End me smartphone par jaye our New password se apne Mobile ko Unlock kar new screen lock bana le.

Ok Google se phone unlock kaise kare? (How to unlock phone from Ok Google)

Aapne apne phone par Google assistant ko set kiya hai to, Unlock with voice option ke bare me apko pata hoga. Google assistant record voice Basis par work karta hai. Yadi apke phone me yah on hai to aap Ok Google kah kar smartphone Unlock kar sakte hai.

samsung phone ko unlock kaise kare? (How to unlock samsung phone)

aap Samsung User hai our apka phone Samsung account sink hai to ap asani se apne samsung phone ko unlock kar sakte hai.

Follow steps :-

– https://findmymobile.samsung.com/ ko open kar ID Password se Login kare.
– Unlock option select kar Account password confirm karte huye apne Samsung phone ko unlock kare.

Factory Reset Se Phone Ka Lock Kaise Open Kare? (How to open phone lock with factory reset)

Factory Reset karne se pahle Dhyan rahe ki apke phone me rakha apka data Delete ho jayega. Isliye esa karne se pahle apko upar bataye gaye sabhi steps Follow karna chahiye fir bhi apka phone unlock nahi hota hai tabhi ap is Option ko select kare.

– Sabse pahle apne smartphone Turn off kare.
– Agar Removable battery hai to use ek bar nikal kar fir se lagaye.
– User Volume Up + Power Button ek sath Press kare.
– Ab ap apne phone ko off kar de, Samsung User Volume Up + Home+ Power ek sath me press tab tak kare jab tak phone screen vapas on nahi ho jata hai. screen on hote hi ap Bootloader mod me pahuch jayenge.
– User dhyan rakhe ki Bootloader mod me apke Phone ka touch kam nahi karta hai.
– Yaha apko option select karne ke liye Volume up and volume down se karna hoga.
– wipe data/factory reset ke option ko volume down se select kare.
– Ok karne ke liye Power Button press kare.
– yes, delete all user data option select kare.
– Ab apka phone Format hone lag jayega our Recovery mode me system aa jayega.
– User phone ko puri tarah se Format hone de.
– Format hone ke bad reboot system now Option select kare.
– reboot system now Option select karte hi apka phone Restart hone lag jayega.
– Phone Restart hone me 5 Minute ka smay lag sakta hai.
– Ab apka phone puri tarah se new ban gaya hai jisme kisi tarah ka koi Password nahi hai. Ab ap apne phone ko Set-up kar sakte hai.

Smartphone Users Location Tracking off Kaise Kare?

Smartphone Secret Features in Hindi

Made in india Smartphones List in 2021

Android Smartphone Ki RAM Kaise Badhaye?

Hang और Slow Smartphone को New Trick से बनाएं Fast

जानिए Jio Smartphone के Specification और features

data-full-width-responsive="true">