Aaj ke samay me har kisi ke pas apko phone dekhne ko mil jayega. Un phone me kuchh log smartphone use karte hai, to kuchh simple phone ka use karte hai. har koi apni requirement ke anusar hi phone kharidta hai. smartphone ho ya simple phone use chalane ke liye ham ek sim card ki jarurat to hoti hai. bina sim card ke hamara phone kisi kam ka nahi rahta hai.
Market me jab ham koi new sim card lene jate hai, to hame vaha par kai telecom companyo ki sim mil jati hai.sabhi telecom company apne Customers ko Attract karne ke liye kai tarah ke Offer deti hai, taki Customers un Offer se Attract ho kar us company ki sim card ko le.
Kisi sim par internet achcha milta hai, to kisi par calling ke best Offer diye jate hai. kuchh network roming free call ka Offer deti hai, to kuchh telecom companya free internet and calling ka Offer de kar apne Customers ko Attract karne ki koshish karti hai.
Ham in sabhi telecom company me se us telecom company ki sim ka use karte hai, jo hame sabse jyada Offer den eke sath best network bhi deti hai. lekin kai bar hamse sahi company ki sim Select karme me mistake ho jati hai.
kuchh dino ke bad hamari sim me network ki Problem ana shuru ho jati hai. kai bar sim network dikhati hi nahi, to kai bar hamari sim se calling Incoming outgoing Facility bhi band ho jati hai.
In sab Problem ke bich ham ek Other company ki new sim lene ke bare me sochte hai. lekin ham sochte chahte hai, ki hamara Number yahi rahna chahiye. Kyo ki ham us Number ko sabhi ko de chuke hote hai. ese me ham apna Number khona nahi chahte hai. is Situation me apko apna Number Other company me port karna hoga.
Number port karne se ham bina apna phone number Change kiye hi Other company ki new sim le sakte hai.our uska use kar sakte hai.yadi apko phone number port kaise karte hai ? ya fir number port kaise kare? Ke bare me pata nahi hai to apko aaj ham is bare me batane vale hai. aaj aap janenge ki Number port karne ki kya process hoti hai?
Sim Number Port / Mobile Number Port kya hai? (What is a mobile number port)
Aaj bhi kai log ese hai, jo Mobile Number Port (Mobile Number Portability) se anjan hai. MNP ek esi Service hai, jiska use kar ham apne Mobile Number ko Change kiye bina hi kisi Other company ki sim ki Service le sakte hai.
Examples ke tor par yadi apke pas Idea ki sim hai, our ap Idea ki Service se khush nahi hai, our aap Airtel company ki sim ki Service ka use karna chahte hai, bina Mobile Number Change kiye to, us smay aap MNP (Mobile Number Portability) ka use kar esa kar sakte hai.
Dhyan rahe ki aap esa sirf apne state me hi kar sakte hai. yadi apne apni Sim Madhya Pradesh ke kisi mobile operator se ye sim li hai, to apko Madhya Pradesh ke hi kisi bhi mobile operator company se is Service ka labh le sakenge.
Yadi aap Madhya Pradesh ke alava Rajasthan ya kisi other states se is Service ka Benefit nahi le sakte hai. halaki ab ek state se Other states se sim port karne ke liye Telecom Regulatory Authority of India (TRAI) ne approve kar diya hai.
Sim Number Port/ Mobile Number Port kyo karaye?
Sim Number Port ya Mobile Number Port kab our kyo jaruri hota hai? esa har kisi ka Question hota hai. jab ham apne mobile operator se pareshan ho jate hai, to hame Mobile Number Port karne ki jarurat hoti hai.
mobile operator ke kai bar network Problem, mahnge Plan ya fir High calling rate, Bad data service jesi kai Problem an eke bad hame apna Mobile Number Port karva lena chahiye. Is Condition me hame other mobile operators Service ka use karna chahiyeour esa ham apna Without number change kiye kar sakte hai.
Sim Number Port/ Mobile Number Port ke liye kya Conditions hai? (Mobile Number Port Conditions)
Apna Mobile Number Port karane ke liye apko jyada Conditions Follow nahi karni hoti hai. kucch Easy Conditions ke tor par aap apna Mobile Number kisi dusri sim me Port karva sakte hai.
– Ap apna Mobile Number sirf usi state me Port karva sakte hai, jaha se apne apna Mobile Number liya hai.
– Sim port karane ke liye apka Sim Card 90 day purana hona jaruri hai.
– Aap jis Sim ko port karana chahate hai, uska Bill baki nahi hona chahiye.
– Sim port karne ke liye apke pas ID proof me Aadhar Card ka hona jaruri hai.
– Apki sim par kisi bhi tarah ka koi Loan bakaya nahi hona chahiye.
Yadi aap in sabhi Conditions ko Follow karte hai, to ap bahut asani se apni sim ko kisi bhi company me port karva sakte hai.
MNP kya hota hai? (What is a MNP)
Jab ham apni sim par telecom company ki servies se khush nahi hote hai, ya fir dusri telecom company jyada achche offer deti hai, to ham kisi dusri network ko lena chahte hai. our ham ye Process bina apna Mobile number change kiye karvate hai, to is puri Process ko Number Porting ya MNP (mobile number Portability) kahte hai.
kai bar hame apna Mobile number change karna hota hai, lekin sabse badi Problem friends ko bar bar new Mobile number dene me ati hai. hamari is Problem ko samjhte huye Ministry of Telecom ne MNP (mobile number Portability) Facility ko shuru kiya hai, taki ham apna Mobile number change kiye bina hi dusri telecom company ki sim ka use kar sake.
Mobile number port kaise kare? (How to port a mobile number)
– Apko apna Mobile number port karne ke liye ek message karna hoga.
– Message box me sabse pahle new message create kare.
– New message create karne ke bad apko capital Latter me PORT our apna mobile number Enter kare.
– Message Type karne ke bad apko us Message ko 1900 pae send karna hai.
– Apko Message is tarah se Type karna hai, PORT1234567890 our 1900 par send karna hai.
– Jab aap ue Message send kar dete hai, to apke mobile number par 1901 se ek Message ayega, jisme UPC code diya jata hai.
– UPC code ki validity 15 day ki hoti hai.
– Apko UPC code milne ke 15 day ke andar hi apna mobile number port karana hota hai.
– Jab ap mobile number port karate hai, to apko UPC code ki jarurat hoti hai.
– Apko jis bhi telecom company me apna mobile number port karana hai, jese idea, airtel, jio etc ke store par ja kar apne jaruri document Aadhar card, UPC code, photo le kar jana hoga. taki apke mobile number port karne ki Process Complete ho sake.
– Apko ab ek new sim card de diya jata hai, jiska number apke old sim card vala hi hota hai. apko vahi number vala sim card diya jata hai, jisase apne mobile number port ka message send kiya tha.
– Vese to apke pas ek message ata hai, jisame bataya jata hai, ki apka number port hone me 7 se 10 day ka samay lagta hai.
– mobile number port hone me vese to 6 se 7 day ka time hi lagta hai, our apka number port ho jata hai.jab apka number port ho jata hai, to apka pahle vala sim card kam karna band kar deta hai.
– Jab apka pahle vala sim card kam karna band kar de to apko apna new sim card ko apne mobile me dal lena chahiye. jab apki sim card me Network show hone lag jaye to ap apni new sim ka use kar sakte hai.
Mobile Number port karne se pahle dhyan rakhe ye bate :- (Important things about mobile number Port)
– Jab ham kisi dusri telecom company me apna Mobile Number port karvate hai, to hame pahle is bat ki Information jarur nikal leni chahiye, ki ham jis telecom company ki sim ko lene vale hai vah hame vo servies de sakti hai, jiske liye ham apna Mobile Number port karva rahe hai.
– Jab bhi aap apna Mobile Number port karvane ke bare me sochte hai, to sabhi bato ka dhyan me rakh kar hi kisi bhi telecom company ka Selection karna chahiye, kyo ki yadi jald baji me apne galat telecom company ki sim le li to kuchh bhi ho apko 3 month tak usi telecom company ki sim ka use karna hoga. 3 month ke bad hi ap duri telecom company me apna Mobile Number port karva sakte hai.
– Yadi aap ek prepaid customer hai, to apke liye apna Mobile Number port karvana kafi easy ho jata hai, lekin aap ek postpaid customer hai, to apko Mobile Number port karvane me thodi Problems aa sakti hai.
– Jab aap apna Mobile Number port karvate hai, to apko apni sim me available balance ka pura use kar lena chahiye, kyo ki apko dusri sim di jati hai, our us sim me apka purana balance nahi aata hai.
– Jab aap apne Mobile Number ko port karne ke liye message karte hai, to apke pas usi network ki taraf se call kiya jata hai, our apko best offer diye jate hai, taki aap us network ki sim ko kisi dusre network me port na karvaye. Yadi apko apne network ke hi offer best lagte hai, to ap Mobile Number port Process ko rok sakte hai.
– Kuchh telecom company Mobile Number porting karne ke liye charge bhi leti hai, jabki kai telecom company Mobile Number porting servies free hoti hai.
Aap in Easy Steps follow karke apna Mobile Number port karva sakte hai. Steps by steps yadi koi bhi follow karta hai, to use apna Mobile Number port karne me kisi taraf ki koi Problem nahi ati hai. aap badi asani se kisi bhi Company ki sim ko port karva sakte hai.
– Mobile number port jio to idea
– Mobile number port idea to airtel
– Mobile number port idea to jio
– Mobile number port aircle to jio
– Mobile number port jio to airtel
Sim Card port karne ke kya fayde hai? (Benefits of Sim Card port/ mobile number port)
Jab aap apni purani sim ko new Sim me port karate hai, to new Network company apko best Offer deti hai, jo Problems apko old sim Card me aa rahi thi new Sim card me apko vah Problems nahi ati hai. aap apni purani Sim ki sabhi Problems se ajad ho jate hai.
Sim port service se aap company se best Offer bhi le sakte hai.yadi ap apni sim se Sim Card port karne ka message send karte hai, to purani sim company vale apko call kar apse apki Problems puchte hai, our apko best Offer bhi dete hai, taki aap apna Mobile number kisi dusri Sim me port na karaye. Is tarah aap company se best our saste Offer ka labh bhi le sakte hai.
Jab aap apna purana sim kard kisi bhi dusri company me port karvate hai, to apko new sim card diya jata hai.yadi apka purana sim card tut gaya hai, ya fir kharab ho gaya hai, to aap sirf ek message se new SIM CARD ko pa sakte hai.
Sim Card port karne ke nuksan kya hai? (Disadvantage of Sim Card port/ mobile number port)
Jab aap kisi dusri company ke Network me apna Sim Card port karvate hai, to apki old sim card me jo bhi Internet data our balance rahta hai, vah apko new sim card me nahi milta hai. jab aap apna Number kisi dusri company me port kar dete hai, to apka Balance or Internet data vest ho jata hai.
Jald baji me yadi apne kisi bhi galat company ke Sim Card me apna purana Sim Card port karvate hai, to apko vah galti 3 month tak bhugtni hogi, kyo ki jab aap apna Mobile number kisi bhi company ke Network me port karvate hai, to aap 3 month / 90 day tak us Sim Card ko port nahi karva sakte hai.
MNP क्या है, जानिए मोबाईल नंबर पोर्ट कैसे कराएं?
जानिए Jio Smartphone के Specification और features
eSIM क्या है, कैसे करें Activate?
Spam Call क्या है, स्पैम कॉल और SMS Block कैसे करे?