Without Blue Tick Whatsapp Message Kaise Padhe

How To Read Whatsapp Message Without Blue Tick

Most popular messaging app whatsapp ka har koi divana hai. Jab bhi user ko kisi vyakti se Chatting karna hota hai to vah sabse pahle whatsapp ka hi use karta hai.

Whatsapp par Chatting karne ka mata us smay ata hai jab samne vale ke message ham Read to kar le, lekin use is bat ki jankari nahi ho, to whatsapp use karne ka maja dabal ho jata hai.

Whatsapp samay-samay par apne user ko New features se Attract karta rahta hai. Lekin is bar apko ham Whatsapp ki esi Trick ke bare me batayenge jiske bare me bahut kam user jante hai. Yadi ap iPhone use karte hai to bat sone pe suhaga jesi ho jayegi.

Normally aap jab kisi user ko message karte ho to ap is bat par dhyan dete ho ki samne vale ne apka message Read kiya hai ya nahi jiske liye ap Two ticks ke blue hone ka Wet karte hai.

Halaki kai users sochte hai ki samne vale ko is bat ki janakari nahi ho ki hamne uske bheje gaye message ko Read kar liya hai jiske liye vah Airplane mode ka use karta hai. Lekin Airplane mode ki ek kami bhi hai ki jab aap ise Normal mode par karenge, to Sender ko Blue Tick mil jata hai.

User is Problem se bachne ke liye Read receive option ko unchecked kar sakte hai lekin is Settings se apko bhi is bat ki jankari nahi hogi ki apke dvara send message user ne Read kiya hai ya nahi.

Iphone Settings :-

Bat ki jaye Iphone ki to, New iphone models 3d touch feature ke sath lens ate hai. Jiske liye IPhone Screen me Better Touch ke liye Extra Layer hoti hai. User jab Screen par Hard press karte hai to, unke samne new Option Show hote hai. Jinme Whatsapp chat option par Hard press and hold karne par user Full screen me whatsapp chat ka preview le sakta hai.

Esa karne se ap sabhi Whatsapp chat ko ek sath read kar sakte hai, is trick se Sender ke pas Blue tick nahi hoga. Is trick ko use karne ke kuchh Rule bhi hai jinhe apko Follow karna avshyak hai. User Screen pe whatsapp chat option use karte samay Very Hard hold and press karta hai to, user Full chat window me pahuch jayenge, our Message Sender ke pas Blue Tick send ho jayega. iPhone XS, iPhone XS Max, iPhone X,iPhone 7, iPhone 7 Plus, iPhone 6s, iPhone 8 end iPhone 8 Plus me is trick ko use kiya ja sakta hai.

Android device :-
iphone models me 3d touch feature hota hai lekin Android device me esa nahi hota hai. Bahut si companies apne Android device ko Custom UI ke sath launch karti hai. Android pie os me sabhi Whatsapp Message ko Fingers down karte huye scroll karne par Message Read kiya ha sakta hai. Kai device me feature diya jata hai ki vah notification se hi Reply de sakte hai. Jisse Sender ke pas Blue Tick naho pahuchega.

WhatsApp and personal chats safe kaise rakhe?

Gmail security tips :- Gmail account safe kaise rakhe?

Polling Booth in 2021 :- Phone se Polling Booth Kaise Pata Kare?

New Email ID Kaise Banaye?

data-full-width-responsive="true">