New Phone me old Phone ke contacts transfer kaise kare?
How to Transfer old Phone contacts to New Phone
User ki need ko dekhte hue Smartphone companies kai tarah ke phone Launch karti hai. User bhi samay ke sath khud ko Upgrade karte hue apne old phone ko chhodkar new phone lete hai, lekin bat ati hai jab data Transfer ki to har koi aalas dikhane lag jata hai. New phone setup karna kafi difficult hota hai.
User ko us smay kafi Problem hoti hai jab vah apne Contacts, photos, favorite apps ko naye sire se download karna padta hai. Vese to Android Smartphone me Data Transfer karne ki Methods Users ko milti hai jiska use kar vah apna Important data transfer kar sakta hai.
Users Android Lollipop version se tap and go feature ko use kar apne new phone me data Transfer kar sakta hai. Halaki is feature se user Photos text messages transfer nahi kar sakta hai. Iske liye vah dusre app ka use kar apna data Transfer kar sakte hai.
purane phone ka data new phone me transfer kaise kare? (How to Transfer old Phone contacts to New Phone)
Copy My Data :-
Is app ki madad se ap apne phone me mojud calendars, photos, contacts ko copy kar dusre device me shipt kar sakte hai. Is app ka use karne ke liye apke dono phone ko ek hi Wi-Fi network se connect hona avshyak hai. Jab ap is Device ka set-up kar lete hai to asani se data ek device se dusre device me Copy kar sakte hai. Itna hi nahi Copy My Datase user Google Drive par backup bana kar use restore bhi kar sakta hai.
Phone Copier :-
Context our text message transfer karne ke liye Phone Copier bhi best Option hai. Use Phone copier cloud storage me apna backup bana kar asani se restore kar sakte hai. Is app me apko Bluetooth option bhi milta hai, jisse ap text message our Context ko Transfer kar sakte hai. Sath hi ap is app ki madad se apne device ko PC se connect kar Data transfer kar sakte hai.
ShareIt :-
photos, videos, apps our files Transfer karne ke liye ShareIt Wi-Fi direct use option deta hai. User iska use apne new phone me purane phone ka data Transfer karne ke sath New phone setup bhi kar sakta hai.
Samsung Smart Switch Mobile :-
User ke pas yadi Samsung galaxy series phone hai to aap Samsung smart switch features ka use kar Old android ya ios device data new galaxy me copy kar sakte hai. Yadi user ke pas Old model device hai, to vah new our old device me install kar installed follow kar data Transfer kar sakte hai. User ke device direct wi-fi se Connect hone ke karan vah Device settings bhi copy kar sakte hai.
JioSwitch :
JioSwitch app ki madad se user Contact and Text Message Batch transfer option bhi milta hai. Jiski madad se ap Bluetooth se High speed se Contacts, images, videos, messages ke lava sabhi data Transfer kar sakte ho.
New phone me data transfer kaise kare?
Contacts Transfer :-
User ke liye apne Contacts Transfer karne ka sabse best Option Google account hota hai, jaha vah apne sabhi Contacts ko Google account se sink kar Secure kar sakta hai. Is Process ke bad jab bhi user apne new phone me Access karenge to unke dvara Google account se sink kiye gaye sabhi Contacts easily new phone me transfer ho jayenge.
Sim card :-
User apni sim card se bhi Contacts Transfer kar sakte hai. Lekin user sirf 250 Contacts hi Transfer kar sakenge. Sim se Contacts hi Transfer karne ke liye user ko phone contact app Open karne ke bad Click on menu se import/export ka selection karna hoga. jiske bad apko pop window export to sim card ka selection karne se apke sabhi Contacts apki sim meTransfer ho jate hai.
Memory card :-
New phone me ap apni Memory card ke dvara bhi audio and video ke sath Media files ko Transfer kar sakte hai.
Text message transfer :-
Use apne Contacts ko to Transfer kar leta hai lekin jab bat ati hai text message ki to user iske liye Free SMS backup and restore app ko use kar sakte hai. Sath hi ap is app me Backup lene ke sath MMS messages Enable / disable, backup schedule, password protection bhi kar sakte hai.
WhatsAppChat :-
External micro sd card me apka Whatsapp data save hai to ap new phone me ise use kar sakte hai, lekin Whatsapp data internal sd card ya internal memory me Save hai to apko old phone se new phone me ise transfer kar le. User is bat ka dhyan rakhe ki apke dvara transfer ki sabhi file sahi tarah se transfer hui hai ya nahi is bat ki pushti avshy kare.
Old Number se kare Whatsapp Install :-
Apne New phone me Backup transfer hone ke bad old Number se hi Whatsapp Install kare. Jab ap Installation karenge to Whatsapp automatically backup search kar lega. Restore Option Select kar message history ham Save kar sakte hai. Restore process complete hone ke bad apke old phone ki Chat new phone par dikhegi.
Photos and Videos :-
Photo and video transfer karne ke liye apke liye best Option hai ki ap apne sabhi Photo and video Computer par copy kar le our apne new phone me ye transfer kar le.user Memory card ka bhi use kar sakta hai. internal storage se micro SD card me transfer ke liye user ES Explorer app ka use kar sakta hai.
Wi-Fi :-
aap photos and videos app se bhi Transfer kar sakte hai. Sath hi ap Device to device wireless transfer karne ke liye Google play store par ap apko kai app mil jayenge. Jese Gender, share it, SFT kea lava super bim apps bhi hai.
Apps Transfer :-
Apke old phone me ese kai apps honge jinhe ap apne new phone me rakhana chahenge, in apps ko new phone me rakhne ke liye apko Helium app ko use kar sakte hai. Is app ka use karne ke liye old phone me is app ko download kar Backup leve. User external USB storage, MicroSD card, computer par Backup le sakte hai.
Gmail security tips :- Gmail account safe kaise rakhe?
Smartphone Secret Features in Hindi
मोबाइल स्क्रीन कंप्यूटर पर कैसे देखें?
Delete Contact Number Recover Kaise Kare