Smartphone Secret Features in Hindi

Know These Tricks And Secret Features Of Smartphones

Aaj ke smay me har vykti ke pas Smartphone hai. Koi bhi Simple mobile use karna nahi chahta hai. Ham sabhi ke hatho me jo Smartphone hai uske bare me yadi ham apse puchhe ki kya apko apne Smartphone ke bare me kya-kya pata hai to apka javab hoga ki hame apne Smartphone ke bare me sab kuchh pata hai.

users Confidence hona jayaj hai, lekin Over Confidence hona hamare liye sahi nahi hai. Aaj ham apko apke Smartphone ke bare me vo bate batayenge jo shyad apko pata bhi nahi hogi, hamari Information jan kar apka Over Confidence khatm ho jayega. Lekin is Information ko janane ke bad ap kisi se bhi Over Confidence ho kar bol sakte hai ki apko apne Smartphone ke bare me sab kuchh pata hai.

friends se chat hide kaise rakhe?

kai bar hamara phone kisi our ke hatho me hota hai. Hamare friends to bina bole hi hamara phone hamse chin kar usme hamari personal Information ko dekhte hai. Ham unhe chahte huye bhi kuchh bol nahi pate hai.

Kai friends to ese hote hai ki vah hamse hamara phone hamare Personal message or chat padhte hai. Is tarah ke dosto se apna phone bachane ke liye ap Without third-party app ke Secure kar sakte hai. Iske liye apko sirf apne phone me kuchh Settings karni hogi.

Users phone ki Settings me Security and location option par Click kare. Ab Sceen pinning par tab kar option ko Turn on kar de.ab ap apne kisi bhi app ko pin kar sakte hai. Is Process ke bad ap App ko private kar sakte hai. Is Option ko on karne ke bad ap jis app ko pin karenge sirf vahi app apke phone ki screen par show jinhe apne pin kiya hai.

phone will unlock on reaching home :-

android phone me aaj kal ye Features aa rahe hai, jinka use karne par yadi ap apne home pahuch jate hai to apka phonr Automatic Unlock ho jata hai. Is Features ko trusted location name se jana jata hai. Jab users is Features ko apne phone me on karta hai, our Trusted Location Add kar dete hai, to jab ap apne home pahuch jate hai, to apka phone Automatic Unlock ho jata hai.

Users chahte hai ki home pahuchate hi unka phone Unlock hi rahe to, Smartphone settings me jakar Security and Location se Smart Lock Option me Trusted Place Add kar de. Jiske bad ap is Facility ka use kar sakte hai.

Photo-video delete tension :-

Kai bar users ke sath vah ho jata hai jiski vah imagination bhi nahi karta hai. Kai bar hamara phone ghum ya chori ho jata hai. Is Condition me hame sabse badi Tension hamari Personal information, all contacts, photos, videos our Files ka tension hota hai, kahi koi unka miss use na kar le.

Apko bhi is bat ki tension hoti hai to ap apne phone me Auto backup option on kar de. Phone me Auto backup on karne ke liye phone settings me System option me backup on kar de. Apni Gmail ID Selecting kar Backup Now par click kare. Users is bat ka dhyan rakhe ki ye Process Wi-fi network se apna phone Connect karke hi kare. Nahi to apke phone me mojud More file our phone data ke jyada hone se apka Data khatm ho sakta hai.

Battery information :-

Smartphone ki sabse kharab bat ye hai ki uski Battery bahut jald khatm ho jati hai. Lekin ham bhul jate hai ki hamare phone me mojud ese kai apps hai jo High battery consumption karte hai. Halaki hame iski koi jankari nahi hoti hai ki akhir vah kon se apps hai jinki vajah se hamare phone ki battery jald hi khatm ho jati hai.

Aap is bat ki Information aap Phone Settings me Battery Options se le sakte hai. Apko iski Information Battery Options par click karne ke bad sabhi details ke sath battery ki Complete information bhi mil jayegi

Activate all fingerprints:-

Jab ham apna new Smartphone late hai to bade shok se ham apna Fingerprint option on karte hai. Lekin kai bar ham jo Fingerprint dete hai vah kisi karan se match nahi hota hai. Jis vajah se kafi problem Create hoti hai. Is Condition se bachne ke liye hame apne sabhi fingerprints option ko Activate karna behtar hota hai. Usrs is Problem se bachne ke liye 5 fingerprint add kar sakte hai.

Sabse pahle users ko apne Smartphone Settings me Security and Location Click kar Fingerprint option select karna hoga. Users is bat ka dhyan rakhe ki vah is option me Maximum 5 fingerprint add kar sakte hai.

Smartphone control :-

Users apne Smartphone ko remote controlled kar sakte hai. smartphone settings me Security Option select kare. Ab Device administrator me Remotely locket this device box par click kare. Is Option ko on karne ke bad yadi apka phone kahi gum ya chori bhi ho jata hai, to ap use block kar sakte hai.

Screen magnifier :-

Kai users ki Eyes kamjor hai unke liye ye Features bahut hi badiya hai. Users is Features se apne phone ki display Zoom kar kisi bhi chij ko asani se dekh sakta hai. Users ko Accessibility in Settings Magnification gestures ko on karna hai. Iske bad users screen par three times tapping kar zoom kar sakta hai.

Hotspot mode :-

Computer or laptop me Internet connection use karne ke liye users Hotspot mode ka use kar apne phone se Internet connection Computer or laptop me chala sakta hai. Iske liye users ko apne phone ki Settings me Tethering and portable hotspots Option Select kar Portable WLAN hotspot on kar de. Iske liye apko kisi bhi 3G modem or router required nahi rahegi. Ap badi asani se apne phone se hi kisi bhi Computer ya laptop me Internet connection ka use kar sakte hai.

Phone control from head movement :-

Users ab apne head movement se apna Phone control kar sakte hai. Kai bar ham itne Busy rahte hai ki ham apne phone ko utha nahi pate hai. Lekin aap apne head movement se apna Phone control kar sakte hai.

जानिए Jio Smartphone के Specification और features

Pradhan Mantri Rojgar Protsahan Yojana kya hai,PMRY Loan Yojana Online Apply 2021

Ulip VS Mutual Fund :- ULIP Policy kya hai?

Mobile Number Port Kaise Kare, MNP Process in hindi

data-full-width-responsive="true">