Computer Mai Bluetooth on Kaise Kare, How to use Bluetooth on your PC

Computer or laptop hamare best friend ban gaye hai. Jinka use ham apne Office work ke sath entertainment ke liye bhi use karte hai. Kai bar hame kisi File ya data ko ek device se Other devices me Transfer karne ke liye Pen drive ya cable ka use karna hota hai. Esi situation me ham Without pen drive ya cable ke use se bhi File ya data ko Transfer kar sakte hai.

Computer or laptop me Bluetooth device on kar ham easily kisi bhi data ya file ko Transfer kar sakte hai. Halaki users ko iske liye apne PC ya laptop me Bluetooth device on karna hoga. Jiske liye apko Bluetooth device ke bare me janna bahut jaruri hai. Kyo ki bina Information ke aap kuchh bhi nahi kar sakte hai. Aaj ham apko batayenge ki computer/ laptop me bluetooth on kaise kare ?

Bluetooth kya hai? What is Bluetooth

Easy language me kahe to Bluetooth Wireless Technology hai, jiska use kar ham do Electronic device ko apas me Connect kar data ka Transfer kar sakte hai. Is Technology ka use 10 ya 100 meters ki duri me hi kiya ja sakta hai. Jab ek device ko Bluetooth se Connect kar dusre device me data Transfer kiya jata hai to ye Radio waves ki Help se kam karta hai.

Computer me bluetooth on kaise kare ?

computer me bluetooth on karne ke liye sabse pahle users ko is bat ki Information hona jaruri hai ki jis device me vah Bluetooth ka use karna chhata hai uska Configuration kon sa hai. Configuration ka pata lagan eke liye user control Panel ka use kar sakta hai jaha se use pata chal jayega ki unka computer Windows 7 ya windows 10 .

Computer Windows 10 me bluetooth kaise on kare ?

1. Users windows 10 ka use karta hai to sabse pahle Action Center open kare.

2. All settings par click kare.

3. left side Bluetooth option par click kare.

4. Bluetooth option on kare.

5. another device Connect karne ke liye Add Bluetooth or other devices click kare.

6. Next step me Bluetooth par users click kare.

7. Ab users ko Bluetooth device pairing mode open ho gaya hoga.

8. List of Bluetooth devices show hogi.

9. Users jis devices ko Connect karna chahte hai u par click kare.

10. Ab apke computer windows 10 me Bluetooth on ho gaya hai.

Computer Windows 7 me bluetooth kaise on kare ?

windows 7 ki Quality hai ki jab ek bar isme Bluetooth Connect ho jata hai to users ko bar-bar ise Connect karne ki jarurat nahi hoti hai. Jab ap apna Bluetooth on karte hai to yah Automatic connect ho jata hai.kai computer me Bluetooth Connect karne ke liye Keyboard me shortcut key di jati hai, jise press karne par apke computer me Bluetooth Connect ho jata hai.

Users ke pas yadi computer me windows 7 hai to, sabhi windows 7 me Bluetooth Connect karne ki Process me Differential method hoti hai. Lekin dekha jaye to all computer me ye method similar hi hoti hai.

windows 7 me Bluetooth Connect karne ke liye sabse pahle Start button par click kare. Ab Devices and Printers Option par Right click kar Add a device select kare. Users ab next par click kar apna Bluetooth Connect kar sakte hai.

Users dusra tarika bhi use kar sakte hai jiske liye unhe control Panel open kar Hardware and Sound Select kare. Ab Devices and Printer ko click kare. Ab users device ko Pair hone ke liye sabhi instructions Follo karte jaye.

Action Center me bluetooth kaise on kare ?

windows 10 me users easily Bluetooth Connect kar sakta hai, iske liye users ko Action center open karna hoga. Ab Bluetooth Select kar use on kar de. Yaha apko Bluetooth icon show hoga. Users ek bar yadi Bluetooth devices ko windows se connected kar diya to, ye Process apko bar-bar karni hogi. Jab aap dono devices ke Bluetooth on kar dete hai to, ye Automatic Connect ho jayega.

Bluetooth Dongle ko computer me kaise install kare ?

bluetooth dongle ko computer me install karne ki Process bahut easy hai.

1. Users sabse pahle apne computer me Bluetooth driver ko Download kar install kare.

2. Device Manage Pane open kare.

3. Users ko other devices show honge jaha apko apke Bluetooth drive name bhi dikhai dega.

4. Apne Bluetooth drive name par klick kare.

5. Bluetooth drive ko run karne ke liye Permission de.

6. Is Process ke bad apke computer me Bluetooth Install ho jayega.

7. Ab apka PC puri tarah se Bluetooth ka use karne ke liye teyar hai.

8. Users ko right side taskbar me Bluetooth icon show hoga.

9. Bluetooth icon par click ka aap kisi bhi Bluetooth device se apne computer ko Connect kar sakte hai.

Computer Me Folder Lock Kaise Kare

Kya Hai Push Notifications, Kaise Band Kare Push Notification

IP Address kya hota hai, apna IP Address kaise jane?

Computer Screen Record कैसे करें, Software की मदद से कैसे स्क्रीन रिकॉर्ड करें?

Pen Drive का Data कैसे Recovery करें, डाटा रिकवर करने वाला Software

8 Tips: कम्प्युटर हैक होने का पता कैसे लगाएँ, Hack होने पर क्या करें?

data-full-width-responsive="true">