IRCTC Train Ticket Booking process :- Train Ticket Book Kaise Kare?
How to book e-tickets on IRCTC 2021, IRCTC Train Ticket booking and Reservation
Train me safar karne ke liye hame pahle Reservation karvana hota hai, taki safar me hame kisi tarah ki koi pareshani na ho, Train me safar karne ke liye Journal ticket ko chhodkar har class me safar karne ke liye hame Train me Reservation karvana hota hai.
Train me Reservation karane se hame safar me kisi tarah ki koi pareshani nahi hoti hai. Lekin kai bar ham chahkar bhi Reservation nahi kara pate hai, jiske karan hame Journal bogey me safar karna padta hai.
Reservation karane ke liye ya to ham Railway reservation counter ki lambi lambi Line me lagte hai ya fir kisi Agent ko jyada pese dekar safar ke liye ticket book karate hai, lekin ap chahe to ghar bethe tren ki ticket book kar sakte hai.
Railway ki E-ticketing website se ap ticket book karne ke alava ticket Cancellation our Tatkal ticket book bhi kar sakte hai. Iske liye apko kuchh steps follow karne hone jiske bad ap asani se ghar bethe Railway ticket book kar sakte hai.
Online Railway Ticket Book Kaise Kare? (How to book railway tickets online)
– User sabse pahle Railway ki IRCTC website open kare.
– Yadi apke pas Username our password hai to ap use Inter kar log in kar sakte hai, yadi apke pas Username our password nahi hai to,
IRCTC website par login kaise kare? (How to login on IRCTC website)
ye steps follow kare.
– Sabse pahle irctc.co.in open kare.
– Registered par Click kare.
– Apni Personal Details Inter kare.
– Registered Mobile number dale.
– new Username our password Create kare.
– New new Username our password banane ke bad ek bar fir se IRCTC website open kare.
– Username our password ke sath captcha code ya OTP se log in kare, dhyan rahe OTP apke Registered mobile number par send kiya jayega.
– Source Station our Destination Station me apko jis sthan se Journey Start karni hai jis sthan par end karni hai vah sthan Select kare.
– Dhyan rahe apko ye option Book your ticket ya IRCTC ke home page par Click karne ke bad milega.
– Train me apko Journey jis date, class me karne hai vah Inter kare.
– Find Train par Click kare.
– Iske bad apke samne jis route par apko jana hai us route ki sabhi train ki list apke samne hogi.
– Berths me Seat availability Check karne ke liye Check availability and fair par Click kare.
– Train selection kar First Sleeper, AC, Second AC, Third AC, etc ko Select kare.
– Apke dvara train Select karne ke bad yadi ap Comfortable hai book now Click kare.
– Ek box me OK option ko Select kare.
– Ab apko jis vyakti ki Ticket book kar rahe hai uski Detail Submit karni hogi.
– verification code Enter kar Continue booking par Click kare.
– Contin booking booking ek bar fir Review booking page par Select kare.
– Apke samne ab Payment options ka page open hoga.
– Apne anusar aap Payment debit card, Credit card, mobile wallet ya banking se payment kar sakte hai.
Virtual Reservation Messages kya hai? (What is a virtual reservation message)
Payment ki Process hone ke bad apke samne Train ticket confirmation page open hone ke alava apne jo Mobile number diya tha us par ek Virtual Reservation Messages send ho jayega.
online book ticket ka print kaise nikale? (How to print online book ticket)
apne jo Process ki hai uske bad ticket confirmation page ke end me apko Print e-ticket option dikhai dega jis par Click karte hi apke dvara book ticket ka print nikal ayega.
Tatkal Ticket Book Kaise Kare? (How to book Tatkal ticket)
Emergency hone ke karan Kai bar hame Tatkal Ticket Book kar Journey karni padti hai lekin hame Tatkal Ticket Book Kaise Karte hai is bare me pata nahi hota hai aj ham apko batayenge.
Online Tatkal Ticket Book Kaise Kare? (How to online book Tatkal ticket)
– Tatkal ticket book ke liye IRCTC website open kare.
– user id our password se Login kare.
– IRCTC Tatkal Autofill Form Select kare.
– Sahi tarah se Passenger details Inter kar Form Submit kar de.
– Is Process se apka Tatkal ticket book ho jayega.
Tatkal ticket ke kitne paise lagte hai?
Tatkal ticket ka Charge All class ke hisab se alag-alag liya jata hai. Ticket Charge Train Distance par nibhar karta hai.
tatkal ticket cancel kaise hota hai?
passenger is bat ka dhyan rakhe ki Confirmed Tatkal ticket cancell ho sakta hai, lekin Cancel refund nahi hota hai. Lekin railway rules According Waiting tatkal ticket vale passenger ko kuchh paese katkar refund kar diya jata hai.
tatkal ticket cancel karne par kitne pese kate jate hai?
passenger ke pas Confirmed Tatkal ticket hai our vah 48 hours se pahle apni trip ko Cancel karta hai to Executive Class/ AC First Class ke 240 rupees charge katata hai. Jabki First Class / AC 2 Tier par 200 our AC 3 Tier / AC 3 Economy / AC Chair Car Ticket par 180 rupees charge lagta hai.
Google pay se ticket book kaise kare?
– Google pay se ticket book karne ke liye apne smartphone par google pay Open kare.
– Apke phone me Google PAY nahi hai to, Google play store se ise Download kar sakte hai.
– Google pay app me Trains option Select kare.
– book train tickets Select kare.
– Travel ki sabhi Details jese, date,Time sabhi chijo ko sahi se Inter kare.
– Ab apke samne trains ki puri List aa jayegi.
– check availability se ap apni Train select kare.
– Apke samne ab User Passenger Details ka page open hoga.
– Ab apko IRCTC Login ID se Login karna hoga.
– Booking information confirmation hone ke bad continue par Click kar de.
– Ant me Payment pages par google pay Select kare.
– Apna UPI PIN Enter karte hi ap IRCTC website p[ar aa jayenge jaha apko IRCTC password ke sath captcha inter karna hoga .
– Is Process ke bad Submit par Click kare.
– Apka Ticket book ho jayega.
Ap chahe ISKA print niklva sakte hai, taki journey ke doran apko koi pareshani na ho.
Transfer Confirmed Train Ticket process :- Confirmed Railway Ticket Transfer Kaise Kare?
Train Ticket Me Passenger Name Change Kaise kare?
Indian Railway Travel Insurance Kaise Kare, Travel Insurance Process in hindi