Aadhar Card Bank Account Se Link kaise kare?
Online Aadhar Card link to Bank Account Process in Hindi 2021
Central government ne sabhi Bank holder ko apne Bank Account se Aadhar Card ko Link karna compulsory kar diya hai. old Bank holder ke sath Central government ke Instructions ke Under new bank account Open karne ke liye bhi Aadhar Card ko Link karna compulsory hai. government ne 1 June ko diye Instructions ke bad sabhi Bank holder apne account se Aadhar Card ko Link karva rahe hai.
Yadi koi Bank holder apne Bank Account se Aadhar Card ko Link nahi karta hai, to, apka bank account band ho sakta hai. agar apne abhi tak apne Bank Account se Aadhar Card ko Link nahi kiya hai, to apko jaldi hi apne Account se Aadhar Card ko Link karvana hoga. aj ap janenge ki Bank Account se Aadhar Card kaise Link kare? agar apne apna Account Aadhar Card se Link karva liya hai, to ap Bank account status bhi Check kar sakte hai, ki apka Bank Account Aadhar Card se Link hai ya nahi? Ap janenge Aadhar Card Bank Se Link Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare?
Samay rahte yadi apne apna Account Aadhar Card se Link nahi karvaya to, apka Bank Account Invalid ho jayega. Bank holder ghar bethe apne Aadhar Card ko Bank Account se Link karva sakte hai.
Aadhar Card Bank Se Link Kaise Kare? (How to link Aadhar card to bank)
Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ke kai tarike hai, ap Ghar Bethe Apne Aadhar Card ko Bank Account se Link karva sakte hai, lekin iske liye apko kuchh Steps follow karni hogi, jiske bad ap apne Account se Aadhar Card ko Link kar sakte hai.
Bank holder Bank Account Se Aadhar Card ko Link kaise kare?
– Internet Banking se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare?
– Sms se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare?
– Bank Branch se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare?
– Atm se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare?
– Mobile App se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare?
Aadhar Bank Se Link Hai Kaise Pata Kare?
Aadhar Card ko Bank Account Se Link hai ya nahi is bare me ap 2 tariko se pata laga sakte hai.
– Internet se Kaise Pata Kare Aadhar Bank Se Link Hai ya nahi?
– Sms se Kaise Pata Kare Aadhar Bank Se Link Hai ya nahi?
Website se Kaise Pata Kare Aadhar Bank Se Link Hai ya nahi?
– Sabse pahle Aadhar ki website https://uidai.gov.in/ open kare.
– Check Aadhaar & Bank Account Linking Status Option Select kare.
– Aadhaar number and security code inter kare.
– Apke mobile number par ek One Time Password (OTP) Sand kiya jayega.
– One Time Password (OTP) ko inter kar Click karke login kare.
– Login karne ke bad apke samne ek new page open hoga. jaha ap dekh sakenge ki apka Aadhaar number Bank Se Link hua hai ya nahi Apko ye Information Email par bhi send ki jayegi.
Mobile se kaise check kare Aadhar Bank Se Link Hai ya nahi?
Yadi ap Aadhar ki website par nahi jana chahte hai, to ap apne Mobile se bhi Status check kar sakte hai.
– Sabse pahle apne Mobile se *99*99*1# Dial kare.
– Aadhaar Number Inter kare.
– Sure ho jaye ki apne jo Aadhaar Number Inter kiya hai, vah sahi hai ya nahi.
– Ab apke Mobile par Status ayega jiske bad ap jan sakenge ki apka Aadhar Card ko Bank Account se Link hai ya nahi.
Internet Banking se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare? (How to link Aadhaar card to bank account with internet banking)
Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ke liye Bank holder Internet Banking ka bhi use kar sakte hai. Internet Banking ki ye Process bahut hi Easy hai.
Login Into Your Net Banking Account :-
Sabse pahle ap apne Net Banking Account ko open kare.
Enter Your User Id And Password :-
User Id and Password Enter kare.
My Account Section :-
Net Banking Account open karne ke bad Left Side me diye gaye My Account Option par Click kar Update Aadhaar With Bank Accounts(CIF) par Click kare.
Enter Profile Password :-
Aadhaar Registration karne ke liye Profile Password Enter kare.
Enter Your Aadhar Number: –
New Page Open hone ke bad apko apna Aadhar Number Enter karne ke bad Submit par Click kare.
Receive Confirmation Message :-
Jab apki Process Complete ho jayegi to, apke Registered Number par ek Confirmation Message send kiya jayega.
Confirmation Message kea ne ke bad apke Bank Account Se Aadhar Card Link ho jayega. Is tarah ap easily Internet Banking se Bank Se Aadhar Card Link kar sakte hai.
Sms se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare? (How to link Aadhaar card to bank account from SMS)
Kai Bank holder Internet Banking Use nahi karte hai. to apko pareshan hone ki jarurat nahi hai.ap apne Normal mobile se Sms se Aadhar Card ko Bank Account Se Link karva sakte hai.jiske liye apko hamare dvara batai gai kuchh Steps follow karni hogi.
Type A Message :-
Apne Bank me Registered Mobile Number se apko Message Box Open karna hai. Message ka Format is Type se rakhe.
Uid Aadhaar Number Account Number ab apko 567676 Number par ye Message Send karna hai.
You Will Get A Confirmation Message :-
Ab apke Mobile Number par ek Message ayega jisme bataya jayega ki apka Mobile Number Link hai ya nahi.
Verified The Details :-
Bank, apke dvara di gai Uidai ke sath Provide ki gai Aadhar Details ko Validate (Verified) karega.
Confirmation Message :-
Bank ki Process Complete hone ke bad apko ek Confirmation Message send kiya jayega.jisme bataya jayega ki apke Bank Account se Aadhar Card ko Link karne ki Request Successfully ho gai hai.
Sms se Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ki Process bhi bahut Easily hai, jise koi bhi use kar apne Bank Account Se Aadhar Card ko Link karva sakta hai.
Bank Branch se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare ?
Yadi apke Residence se Bank Branch pas me hai, to ap apni Bank Branch me ja kar bhi ko Bank Account Se Aadhar Card ko Link karva sakte hai.
Visit Your Bank Branch :-
Bank holder sabse pahle apni Bank ki Branch me jaye.
Fill Bank Account Aadhaar Linking Form :-
Apko sabse pahle apne Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ke liye Bank Account Aadhaar Linkage Application Form ko Fill karna hoga. dhyan rahe ki apko Form Fill karte samay Bank Account Number and 12-digit Aadhaar Number ko sahi Fill karna hona.
Submit The Form Along With A Self-attested Copy :-
And me Self Attested Aadhar Card ki ek Photocopy Attach Form ke sath Submit kijiye.
Bank apki Application Accept kar lega. Our kuchh dino ke bad apke Aadhar Card ko Bank apke Account se Link kar dega.
Bank jab Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ki Process complete ho jayegi to, Linking Successfully ke liye apke Registered Mobile Number par Confirmation Message send kiya jayega.
ATM se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare? (How to link Aadhaar card to bank account from ATM)
Bank holder apne ATM card se apne Aadhar Card ko Bank Account Se Link karva sakte hai. Atm se Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ki Process bahut hi simple hai.
Bank Atm par Visit kare :-
Sabse pahle ap apne Bank ke Atm par jaye.
Swipe Your Debit Card :-
Ab apne Debit Card ko ATM machine me Swipe kar Atm Pin Enter kare.
Select The Services Option :-
Ab apke samne ATM machine par kai Options show honge, jinme se apko Services Options par Click karna hai.
Select The Registrations Option :-
Ab apko Registrations Option Select karke Aadhar Registration Option ka Selection karna hai.
Select The Account :-
Bank Account Select karne ke bad Aadhar Number Enter kar Ok par Click kijiye.
Confirmation Message :-
Atm se Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ki Process Successfully Complete ho jane ke bad apke Registered Mobile Number par ek Confirmation Message send kar diya jayega. Is Process ke bad apke Bank Account se Aadhar Card Link ho jayega.
Mobile App se Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare? (How to link Aadhaar card to bank account with mobile app)
Kai bank apne Customers ko Aadhar Card ko Mobile App se Bank Account se add karne ki Facility Provide karte hai. jiske liye apko kuchh Easy steps follow karni hogi.
Download The App :-
Sabse pahle Google Play Store ya fir App Store se ap apne Mobile Bank App ko Download kijiye.
Enter Username And Password :-
Mobile Bank App ko Download karne ke bad apko App Open kar Username end Password Enter karna hoga.
Click On Request:-
Ab apko Request Option par Click karne ke bad Service/ Requests par Click karna hoga.
Select Variation:-
Ab apko Link Aadhaar ya Update Aadhaar Number Option me se koi ek Option Select karna hoga.
Select The Account :-
Ab apko apna Account Select karna hai, jisme apko apna Aadhar Card Link karna hai.
Enter Your Aadhaar Number :-
Ab ap apna Aadhaar Number Enter kare.
Accept Any Terms And Conditions :-
Aadhaar Number Enter karne ke bad apko Terms And Conditions ke bare me bataya jayega jinhe apko Accept karna hai.
Select Update / Confirm :-
Select Update and Confirm me se kisi ek Variation ko Select kare.
Is Process ke bad apka Aadhar Card Bank account se Link ho jayega. Ab ap easily Aadhar Banking ka use kar sakte hai.
Aadhar Card Bank Account Se Link Hai ya nahi Kaise Pata Kare?
Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ki Process ko yadi apne Complete kar liya hai, our ap janna chahte hai ki apka Aadhar Card Bank Account Se Link hua hai, ya nahi to apko kuchh Steps Follow karni hogi.
Internet se Kaise Pata Kare Aadhar Bank Se Link Hai ya nahi?
Ap Internet se Bhi Pata Kar sakte hai, ki Aadhar Bank Se Link Hai ya nahi?
Visiting Official Website :-
User sabse pahle Uidai Official Website open kare.
Navigate To The aadhaar Service Category :-
Uidai Official Website Open karne ke bad apko Aadhaar Services Column me diye gaye Check Aadhaar & Bank Account Linking Status ko Click karna hoga.
Enter Your 12-digit Aadhaar :-
Ab apko apne Aadhaar ki Details batani hogi, ap vaha 12 Digit Aadhaar Number Enter kare.
Enter Captcha Code :-
Ab apko Captcha Code Enter karna hoga. Captcha Code Enter karne ke bad apko Screen par Send Otp Option show hoga, apko us par Click karna hai.
Enter Otp :-
Send Otp par jab ap Click karenge, to apke Registered Mobile Number par ek OTP send kiya jayega, jise apko Enter karna hai. ab apke samne Bank Details and Aadhaar Details show hone lag jayegi.jisme ap pata laga sakte hai ki apka Aadhar Card Bank Account Se Link hua hai, ya nahi.
Sms se Kaise Pata Kare Aadhar Bank Se Link Hai ya nahi?
Ap chahe to, Sms se bhi Check kar sakte hai, ki Aadhar Bank Se Link Hai ya nahi? Iske liye apko ye Steps follow karni hogi.
Dial This Number :-
Sabse pahle apne Mobile se *99*99# Dial kare.
Press 1 :-
Ab apke samne Aadhaar Linking Option show hoga. apko 1 Type kar Send karna hai.
Enter Aadhaar Number :-
Ab apko apna 12 Number ka Aadhaar Number Enter kar send karna hai.
Check Aadhaar Number :-
Ab apko Confirm karne ke liye Option ayega.apke dvara send kiya gaya Aadhaar Number sahi hai ya nahi Check kar 1 Type kar send kar dijiye. Apke Mobile par ek Notification ayega jisme bataya jayega ki,apka Aadhar Card Bank Se Link Hai Ya Nahi ?
MAADHAAR APP SE AADHAR BANK LINK STATUS KAISE CHECK KARE?
– Sabse pahle apne Mobile me Google Play Store se mAadhaar App ko Download kar install kare.
– mAadhaar App open kar aadhar card registered mobile number se Login kare.
– Login karne ke bad Aadhaar Profile Add kar use open kare.
– Check All Status me Aadhar Linking/Bank Status par Click kare.
NOTE :- is Process me Please try after some time, Error occurred (549), UNKNOWN APPLICATION, Invalid MMI Code ka Error bhi aa sakta hai.lekin apko Tension lene ki jarurat nahi hai. ap kuchh time bad fir se try kar sakte hai.
Offline Aadhar Card ko Bank Account Se Link kaise kare? (How to link offline Aadhaar card to bank account)
Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne ka Offline option Last option hota hai. yadi apke pas Internet banking, mAadhaar App,mobile banking ya Atm se Aadhar Card ko Bank Account Se Link karne me kisi tarah ki koi Problem aa rahi hai, to ap apni Bank branch me ja kar form Fill kar Aadhar Bank Se Link karva sakte hai.
Yadi apka Bank Account SBI and Axis Bank me hai, to ape k SMS se hi apne Aadhar ko Bank Se Link karva sakte hai. yadi apka Account ICICI, HDFC, Bank of India, PNB, Dena Bank, Canara, Allahabad ya fir kisi dusre Bank me hai, to bhi ap easily Aadhar Card ko Bank Account Se Link karva sakte hai, lekin apke pas iske liye Internet banking ya mobile banking ki facility apke Account me activate hona jaruri hai.
How to open Aadhar Card Center 2021 :- Aadhar Card Center open kaise kare?
Nazdiki Aadhar Card Center ka pata kaise lagaye?
Aadhar Card Status : Naam Se Aadhar Card Status Kaise Check Kare?
Credit Card Kya Hota Hai, Online Credit Card Apply Kaise Kare?
Kisan Credit Card kya hai, How to Online apply for KCC?