Aaj ke samay me shayd hi esi koi chij hai, jisake kho jane se vykti ko itna dukh nahi hota jitna uske Mobile phone ke kho jane se hota hai. Mobile phone ka use ham sirf call ke liye nahi balki kai kamo me bhi karte hai, isliye jab bhi hamare data ko Safe rakhne ki bat hoti hai, to hame kafi Tension hone lag jati hai.
Mobile phone chori hona ek esi ghatna hai, jo kisi ke sath bhi kabhi bhi ho sakti hai.jab kisi ka Mobile phone chori ya ghum jata hai, to har koi pareshan ho jata hai.us samay kisi ko bhi samjh nahi ata hai, ki vah is Condition me kya kare? Kai bar phone chori ho jane ke bad uski complaint likhane me bhi hame kafi mehnat padti hai.
Logo ki is Problem ko samjhte huye Government ne Mobile chori hone ki complaint process ko Easy bana diya hai. central government ne Mobile chori ki complaint karne ke liye ek Helpline number issued kiya hai. central government ke is Helpline number se koi bhi desh ke kisi bhi kone se Mobile chori hone ki complaint kar sakta hai.
Chori huye Mobile ki complaint karne ke liye Helpline number kya hai?
Mobile chori hone ke case badne se central government apni taraf se ek Helpline number 14422 issued kiya hai. is Helpline number 14422 par aap apne phone ke chori hone ki complaint kar sakte hai. jab aap is number par complaint karte hai, to apke Mobile sim off (band) kar diya jata hai. jab aap apne phone ki complaint karte hai, to vaha ki Police and service provider mobile company apke phone ko Search karne me lag jate hai. is tarah apko apka phone vapas mil jata hai.
Kaise milega chori hua phone?
Central Equipment Identity Register (CEIR) me country ke Every citizen ke pas SIM number, Mobile model and IMEI number hai. Mobile models Producer company ki our se issued IMEI number ko Match karne ki Technology C-Dot ne developed kit hi. Ise different phases par Police ko Handover kar diya jata hai. jab aap apne Mobile chori hone ki complaint karte hai, to Police and service provider mobile model and IMEI Match karti hai. yadi uska IMEI number Change kar diya hota hai, to service provider use band kar dete hai, lekin Service band hone ke bad bhi Police us Mobile ko track kar sakti hai.
Desh me kahi bhi Mobile chori hone par aap uski complaint Helpline number par kar sakte hai. jab aap Mobile chori hone ki complaint Helpline number par karenge to, ye System immediately kam karna Start kar dega. Complaint milne ke bad koi bhi sim Mobile me lagane se usme Network nahi ayega, lekin uski Tracking hoti rahegi. IMEI number Change karne par 3 year punishment and fine lagaya ja sakta hai.
Kisi bhi tarah se apne Mobile ko dhundhna chahiye :-
Apne Mobile par call kare :-
Apne fon ko dhundhna ka sabse badiya our easy tarika kisi dusre ke phone se apne phone par call karna hai. apne phone ko talash karne ka ye sabse best Idea hai. aap chahe to, esa kisi bhi phone ko dhundhne ke liye kar sakte hai, fir vah apka smartphone hi kyo na ho. Aap apne kisi bhi Family members ke phone se apke Number par call karne ke liye kah sakte hai. aap chahe to freecall.com ya wheresmycellphone.com par free website service ka Use bhi kar sakte hai.
Apne Number par send kare text message :-
Aap apne phone par kisi ko bhi text message send karne ke liye kahe. Message karna bhi apke phone par call karne jesa hi hota hai. yadi apka phone kahi (Public area, apartment) kho gaya hai, to ap apne phone par par apki contact information text kar sakte hai, taki jise bhi apka phone mile vah apki contact information text ko dekh kar Identity karne ke bad apko apka phone de sake.
Yadi apko apne phone par call karne ke liye koi nahi mil raha hai. to aap Free site servic txt2day.com ka bhi use kar sakte hai. yadi ap chahe to phone par Reward offer (phone dene vale ko prize) dene ki bhi bat kah sakte hai. jab bhi kisi ko apka phone milega our vah apke phone me apke prize vale Tex message ko dekhega, to apko apne phone milne ke Chance jyada hote hai. ho sakta hai, jise apka phone mikla ho vah best prize ke liye apko apka phone vapas de de.
Us sthan par jaye jaha phone ghuma tha :-
Apko jaha lagta hai, ki apka jis place par phone ghuma tha, us place par apko vapas jana chahiye, esa karne se ho sakta hai, ki apko apka phone vapas mil jaye. Jab apko yad ho ki apne apna phone Last time kaha dekha tha, our bad me apko apke phone ke ghumne ke bare me malum hua to apko ek bar fir se us place par ja kar achchi taraf se apna phone search karna chahiye. yadi apka phone kisi ne nahi uthaya hai, to ho sakta hai apko apka phone mil jaye. Dhyan rahe esi Condition me aap job hi kare apko Penic hone ki jarurat nahi hai. Penic hone se ap our bhi jyada Tension me aa jate hai, our Tension me apko samne padi chij bhi nahi dikh pati hai.isliye shant ho kar apko apka phone dhudhna chahiye.
– Jab apko lage ki aap jyada Tension me aa gaye hai, to Penic na hote huye apko ek bar shant ho kar beth jana chahiye. our fir aram se soche ki aap kaha-kaha gaye the, our apne kya kiya tha. Ap pahle achche se is bat ko soch le ki apne akhri bar kab apka phone use kiya tha. Uske bad hi koi kadam lena chahiye.
– Yadi apne last time apne phone ka use kisi Restaurants ya Stores par kiya tha, to aap vaha jaye our sabhi Workers se apne khoye huye phone ke bare me puchhe. Aap vaha par apne Phone ki description bhi de sakte hai. taki kisi ko apka phone mile to vah apko pavas kar de.
Service provider se kare contact :-
Kai Cell Phone Service Providers apne Customers ke liye GPS Location service available hoti hai, fir chahe apka Provider is tarah ka Option available nahi bhi de to kam se kam Phone service ko to band kar hi sakta hai. Online apne Cell Phone Service Providers ke Customer service search kare. Ya fir apni Phone book me Providers ke Local office ko search kare.
smartphone ko kaise dhundhe?
yadi apne apna smartphone kahi kho diya hai, to use Trek karne ke liye apke pas 2 Option hote hai. yadi apka phone on hai, our Wireless signal ki range me hai, to aap apne Computer par device manager ka use kar apne khoye phone ko talash kar sakte hai. agar apka phone band hai, to ap apne Computer se apne phon ki Last location check kar sakte hai.
Computer se smartphone ko kaise dhundhe?
device manager ka use karne ke liye apko Computer me ya fir kisi dusre Device me Google Account sign in kare. Google device manager ko Google Maps Screen par immediately Device location bata deta hai. device manager me apke phone ko Lock karne, phone par Ring karne,
Content delete karne, Data clear karne ke sath kuchh Additional option bhi shamil hote hai.
google.com/settings/accounthistory se ap apne phone ki Last record location check kar sakte hai. Places You Go ya Manage History par Click kare. Vese to ye option GPS ki jagah Wi-Fi our apke phone ke Network par bhi dependent rahta hai.
BlackBerry Phone search kaise kare?
Blackberry devices me Trekking Apps or Services pahle se hoti hai, lekin ap chahe to, Berry Locator third-party service ko use kar sakte hai. third-party service Berry Locator ka use karne ke liye apko 500 rupye pay karne honge. Ye app apke devices par ek message send karega. Sath hi Map par apke devices ki location bhi bata dega.
Chori huye iPhone ko kaise dhundhe?
iPhone ko dhundhne ka sabse best our easy tarika Find My iPhone app behtar hai. ye tarika iPhone ko dhundhne ka first tarika hai. yadi apke phone me ye app nahi hai, to apko ye App Store se Download karna hoga. Find My iPhone app apke iPhone ke liye Perfect result deta hai, lekin iske liye apke iPhone ka on hona our uska internet se Connect rahna bahut jaruri hai.
iPhone ko dhundhane ki Process kya hai?
sabse pahale Computer ya dusre mobile device se iCloud Login kare. Fir Find My iPhone open kare. Ab apke iPhone ki location Map par show hona chahiye, jisake bad apa apne iPhone ke Movement ka pata lagane me use kar sakte hai.
Find my iphone apko apne iPhone ko sound karne (iphone kea aas paas mojud logo ko Alert karne our isake Status ko chori ya khoya hua set karne ke liye)
Message se apki Contact information ko apke iPhone par send karne ya fir contents Delete karne me apki Device data clear karne ka bhi Option deta hai.
Phone chori hone par kya kare?
Smart bane Safe and secure rahe :-
Yadi apka phone chori ho gaya hai, ya fir kahi kho gaya hai, to apko ise khud dhundhane ke bajay uski Report police me karna chahiye. police ko apki Problem bataye our unhe apka Device khoajne me Help kare.
Password and Login ID Cancil kare :-
Apko apne phone me Login sabhi Password and Login ID ko Immediately Cancil karna hoga. kai logo ke liye Online interactions ka use bahut kam ho sakta hai, jabki kai log Online interactions bahut jyada karte hai, jiske liye unhe jald se jald apne Device se Password and Login ID ko Cancil karna hoga. apne yadi apne phone me Online Stores (App Store) par Register at hai, to apko apne sabhi Credit / debit cards cancel karna hoga.
telephone company se Contact kare :-
apko apni Account details ko apne pas rakhna chahiye, taki apka Account band kiya ja sake. Yadi apne apne Account ke liye kisi tarah ke Password or passcode set kiya hai, to apko usaki bhi jarurat hogi. Apne Service provider ko apne phone ko Cancel karane se apne Sim card se unauthorized calls karne se rok sakte hai.
Phone online register kare :-
MissingPhones.org jesi Online services ka apko use karte huye apne phone ko online register karvana chahiye. Future me yadi apka phone kabhi chori yak ho jata hai, to ye Online services apki kafi Help kar sakti hai. apne phone ko online register karne ke liye apko apne device ke Serial number ki jarurat hogi.
Chori ya khoye huye phone ko pane ke liye Kin Websites par registration kayae?
Apko apne khoye huye ya fir Chori phone ko pane ke liye Kin in Websites par registration karana chahiye.
– www.bhartiyamobile.com
– www.microlmts.net
– www.trackimei.com
– www.in.blackberry.com
– www.lookout.com
in bato ka rakhe Dhyan :-
– Sabhi Mobile or Smartphone par IMEI Number diya jata hai.
– Apne Mobile se #06# dial kare aap apne phone ka IMEI Number pata kar sakte hai.
– Apko apna IMEI Number Safe tarike se note karke rakh lena chahiuye.yadi kabhi hamara phone chori ya ghum ho jata hai, to hame IMEI Number ki jarurat hoti hai.
– Ham IMEI Number ki Help se apne Mobile phone ko track kar sakte hai.
– Aap apne phone par Device ke Handset battery nikal kar Phone panel par lage stickers se bhi IMEI Number ko dekh sakte hai.
Lock screen par lagaye contact information :-
Sabhi ko apne phone ki Lock screen par Email ya alternate number lagana chahiye. apke liye ye Steps important ho sakti hai, yadi apka phone ghum ho gaya hai, to koi bhi apke phone ki Lock screen par lage contact information ki Help se apse contact kar payega. Yadi apki Lock screen par contact information hai, to kisi ko bhi Apse contact karne me kisi taraf ki koi Problems nahi ayegi.
Made in india Smartphones List in 2021
Android Smartphone Ki RAM Kaise Badhaye?
iPhone Ko Is Trick Se Banaye Smart
iPhone Ke Liye Kaun Sa App Best Hai?