Jo log kisi company ya office me kaam karte hai unka PF deduction to hota hi hai. Har mahine unke PF (Employees Provident Fund Organisation) account me kuch amount jama kiya jata hai. Lekin sawal ye hai ki apne PF account balance ko check kaise kare. PF balance ko check karne ke 3 tarike hai jinke bare me ham aapko yaha batane wale hai.
SMS se PF balance kaise check kare?
– SMS ke jariye balance check karne ke liye aapko apne registard mobile number se 7738299899 par “EPFOHO UAN” likh kar bhejna hoga.
– Iske baad EPFO ki taraf se aapko ek massage aayega jisme aapko PF balance ki jaankari di jayegi.
Missed call se PF balance kaise check kare?
– Missed call se PF balance check karne ke liye aapko apne registered mobile number se +911122901406 par missed call dena hoga.
– Iske baad aapke mobile par ek massage aayega jisme aapko aapke pf balance ki jankari di jayegi.
Online PF balance check kaise kare?
– Online PF balance check karne ke liye aapka UAN number activate hona chahiye.
– Sabse pahle aap EPFO ki website www.epfindia.gov.in par jaye.
– EPFO Website ke homepage par jaakar “Member Passook” par click kare.
– Aapka account open karne ke liye apna UAN number dale aur apna PF balance check kare.
AC Low Electricity Consumption Tips Reduce Your Electricity Bill
Without Internet Google Map Kaise Use Kare?
Smartphone Hang : Smartphone Ki Storage Kaise Khali Kare?
Apple Device Iphone Ipad me Apple ID Kaise Change Kare?
Online PAN Card-Aadhaar Card Kaise Link Kare?
Set Up New Smartphone, Naye Smartphone Ko Safe Kaise Rakhe?