second hand car lene ke bare me yadi ap Plan kar rahe hai, to apke liye jaruri hai, ki ap car lene se pahle achche se usaki enquiry kar le, kyo ki Dealers second hand car par kisi tarah ki koi Guarantee nahi dete hai. jald baji me kahi esa na ho ki apko bad me afsos karna pade. Isliye jab bhi ap second hand car lete samay apko Alert rahne ki jarurat hoti hai. second hand car lene se pahle apko kuchh tips Follow karne hote hai, jisake bad apko kisi bhi tarah se pareshan hone ki jarurat nahi hoti hai.
apka car kharidne ka Plan hai, our ap paise bhi bachana chahte hai, to apke liye Pre registered car sabse best option hai. Pre registered car se aap apne car kharidne ke sapne ko pura karne ke sath apne paise bhi bacha sakte hai.
Pre Registered Car kya hai? (What is a Pre Registered car)
Pre Registered Car ek Brand new car hai, jo Dealer ke Name se Registered ki jati hai. Jab aap car kharidte hai, to Dealer Technically Car ka First Owner hota hai. second hand car me pahle se hi number plate lagi hoti hai. Car Dealer Sales Figure High karne ke liye esa karte hai, taki vah Manufacturer ke dvara Set Target ko Complete kar sake. Is tarah ki car ko second hand car kaha jata hai, lekin is tarah mki car new hi hoti hai. jab aap new car lete hai, to Car delivery me kai weeks and months lag jate hai, lekin jab aap Pre Registered Car ko register karvate hai, to aap car Directly apne ghar le ja sakte hai. Dealers apne car ke stock ko kam karne ke liye Registered Cars ke liye Offers bhi rakhte hai.
Check kare Car history :-
Jab aap second hand car lete hai, to jis brand ki car hai uaske showroom ja kar apko service department me car ka Number de kar usaki History Check jarur karvaye. Yadi vah car usi Showroom me Service hoti hai, to apko us car ki Full Detail mil jayegi, kyo ki vaha par us car ki Detail Store hogi. Is tarah se apko us car ki Regular service ki information milne ke sath us bat ki bhi information mil jayegi, ki kisi ne us car ke meter ke sath kisi tarah ki koi harkat to nahi ki hui hai.
Engine kare Check :-
Car bonnet open kar apko is bat ki jankari leni chahiye ki kahi Engine kea as pas se kisi tarah ka Oil leakage to nahi ho raha hai.yadi apko kahi se bhi Oil leakage hote huye dikhta hai, to us car ke Engine me kisi traf ka kam aa gaya hai. Is tarah ki car ko apko nahi kahridna chahiye. Diesel car me is tarah ki Problems aksar dekhne ko milti hai. Diesel car me Turbo bhi kharab ho jata hai. Turbo ki cost Prize 70 se 80 Thousand tak ho sakti hai. kisi bhi car ki kharabi ya Engine ki sahi information ek mechanic hi de sakta hai.isliye jab bhi aap Car final kare to sabse pahle kisi best mechanic ko apni car jarur dikha de.
Car Tire Check kare :-
Car Tire ki Life 35 se 45 thousand km tak hoti hai. lekin usme Nitrogen ka use kiya jata hai, to un Car Tire ki Life 50 thousand km tak bhi ho sakti hai. jab bhi ham second hand car lete hai, to hame uske Tire ko sahi se Check karna chahiye. yadi car ke Tire new jese dikh rahe hai, to us car ke Tire kuchh samay pahle hi Change kiye gaye hai. ya fir ho sakta hai ki vah car bahut kam chali ho. Apko Speedometer console se is bat ki Information mil jayegi. Car Tire kitne ghise huye hai, iska pata lagane ke liye car key ko Thread me dale, yadi car key jyada andar tak jati hai, to vah abhi chal sakte hai, kyo ki Sedan car ke four tires ko Change karvane ke liye 12 se 16 thousand rupees extra lagte hai.
Paint par de Dhyan
second hand car lene se pahle apko uska Paint jarur Check karna chahiye. jab bhi ham car lete hai, to hame car ke dono doors, Front and back side Paint par dhyan dena chahiye, kyo ki Accident Front, back or side me hoti hai. Yadi car Re-paint hai, to apko Body panel ke color se is bat ka pata chal jayega ki car Accidental hai ya nahi. Jyada samay hone ke bad car ka color Dul hone lag jata hai. Yadi car se Accident hua hai, to Patch clearly dikhai dega. Yadi puri car ko paint kiya gaya hai, to iska bhi pata lagaya ja sakta hai. Window rubber and doors ke up and Down side apni ungli se Check karna chahiye. yadi apko kisi tarah ka koi khurdurapan lagta hai, to iska matlab hai ki car ko Re-paint kiya gaya hai.
Car companies se le Information :-
Aaj ke samay me bahut se Vehicle manufacturer companies ne apne Old cars showrooms open kar liye hai, jaha apko unki car ke alava dusri bhi brand ki car mil jauyegi. Honda Assure, Maruti True Value me aap apni choice ki koi bhi second hand car le sakte hai.in car par One year warranty bhi di jati hai. halaki in showrooms ki car thodi Costly hoti hai, lekin apko isme bar-bar paisa lagane ki jarurat nahi hoti hai. Iske pas apko kai brand ki car mil jauyegi, lekin un car par apko kisi bhi taraf ki koi Guarantee nahi di jati hai.apko yaha par dusre brand ki car sasti bhi mil jati hai.
Select kare car :-
second hand car lene se pahle apko is bat par dhyan dena jaruri hai, kiapko kon si car leni hai. apko kon sa model chahiye, our kon si car apke Budget me hogi. second hand car market me Sedans, hatchbacks, SUVs, MUVs, etc car hoti hai. ab apko is bat ka Decision lena hai, ki apko kis Body type ki car chahiye.
Budget par de Dyan :-
Jab aap car Modal select kar lete hai, to apko apne Budget par ek najar dalni chahiye, kyo ki aapne jo Modal select kiya hai, vah market me kai range me Available hogi. Yadi aap Maruti Swift Car Select karte hai, to ye car 1 year,2 year, 3 year tak purani ho sakti hai. sabhi model ek jese hi hai, lekin inki price Different ho sakti hai.
Model par kare Research :-
Ab apko apni car ke Model par Research karne ki jarurat hai. apne jo Model Select kiya hai, usakle bare me jyada se jyada Information ko hasil kare. Us car Model ke bare me Magazine, website ke sath jinke pas us Model ki car hai, unse mil kar car ki Information ko hasil kare. Yadi apke pas samay hai, to car review ko Read kare. Jab bhi car lene ke bare me soche to apne sath ek Extra car ka Option bhi hona jaruri hai.
Dealer sahi chune :-
Apke liye ye bhi jaruri hai, ki ap car kaha se kharid rahe hai. Apke liye sahi jagah se car kharidna bhi jaruri hai. Market me second hand cars ki mandi hai. City me jitney car ke new showroom hai, usase jyada to second hand car ke Sales center hai. Jab aap second hand cars lene ke liye jate hai, to 2, 3 Dealers store par ja kar car Model, price Paperwork information ke bare me jan lena bahut jaruri hai. Sath hi apko us Dealers ke dvara kiye gaye purane Deals ke bare me bhi information hasil karna bahut jaruri hai.
Private Car Sellers :-
car dealers ke alava kuchh log apni car khud hi Sell karna chahte hai. Jiske liye vah apne aas pas ke logo ko apni car Sell karne ki Information dete hai. Vah apni car bechne ke liye News paper, classification website etc. ka bhi use karte hai.yadi aap Direct car owner se car lete hai, to apko car owner apna Profit add kar ke hi car Prize batayega. Yadi aap car owner se car kharidte hai, to apko jyada paise nahi dene padte hai.
Car Testing :-
Car Dealer ya Owner Select karne ke bad apke liye next stage hai Car Testing. Dealer ya Owner se car dekhne ka sahi time puchhe car dekhte huye ap Owner ya Dealer se car me kisi bhi tarah ki koi kharabi ya car me kami ke bare me pucheh. Aap car se huye kisi bhi taraf ke Accidents ke bare me complete information lena chahiye.
Car test drive :-
Jab bhi ap car ki test drive lete hai, to apne sath ek Mechanic ko jarur rakhe. Kyo ki jab kisi bhi car ko bechne ke liye Market me laya jata hai, to vahan par upri tarike se kisi tarah ki koi kami nahi rakhte hai, upar se dekhne par to hame sabhi car Top condition me hi najar ati hai, lekin har koi car ki Internal kamiyo ko bhi chhipane ki puri koshish karte hai. Jab aap test drive me apne sath ek Mechanic ko rakhenge, to vah is bat par gor karega ki car ke sabhi Features Switch,, brake, button, clutch, gear, accelerator etc sab sahi taraf se kam kar rahe hai ya nahi.
Documents ko kare Correct check :-
Jab aap car lete hai, to apko car ke sabhi Documents ko sahi se check karna bahut jaruri hota hai. car se related sabhi Documents ko apko Correct tarike se check karna bahut jaruri hai. Car service record, registration, assurance, etc. Ki apko sahi se check karne ke bad hi kisi bhi trah ka koi Decision lena jaruri hota hai.
Second car ka option rakhe :-
Ham pahle hi apko bata chuke hai, ki apko sirf ek car par hi Depend nahi rahna chahiye, apke pas Second car ka option bhi hona bahut jaruri hai. Apani mehnat ki kamai se jab aap car lete hai, to apko kisi bhi tarah ki koi jaldbaji nahi karna chahiye. jab aap ek car ki inquiry kar lete hai, to dusri car ki bhi usi traf inquiry karna apke liye bahut jaruri hai. Apko un dono car ke sabhi Features, model, technical, engine, documentation, and price me Comparison karna chahiye. dono car me se jis car ke Features apko best lagte hai, us kar ke aap owner ban sakte hai.
Car Sodebaji :-
Jab bhi ham kisi chij ko kharidte hai, to sabse Important hota hai. Dono party ki apsi bate, our unke bich hone vali Sodebaji. Sodebaji ka matlab dono party car bechne vala our car kharidne vala aapas me cae ki price par bat karte hai, jise ham Sodebaji kah sakte hai.jab bhi aap koi sib hi chij ko kharidte hai, to sabse pahle apko uski price sabse kam rakhna chahiye.apka Budget jitna hai, usase bhi kam aap car owner ko price bataye. Kisi bhi chij ki Sodebaji karna bhi ek tarah ka art hai, isliye Sodebaji karte samay apko ek well-minded vykti ko sath me rakhna baghut jaruri hai. Jab dono parties ki bat se vah Agree ho jate hai, to ap apni car ke owner ban sakte hai.
Confirm kare deal :-
Sodebaji me jab car ki price fix ho jati hai, to apko deal Confirm karne ke liye car ke paise dene hote hai. Dhyan rahe ki is Condition me cash Payment karne ki galti kabhi na kare. Apko car ka Payment Check, DD etc. se karna chahiye. Purchase ke liye Guarantor ko sath jarur rakhe. Agreement paper apko banana chahiye, taki apko kisi tarah ki koi Problems na ho.
Natural light me dekhe :-
Jab bhi aap car lene Showrooms jate hai, to apko car dikhane ke liye Showrooms ki sabhi Lights on kar di jati hai, darasal Showrooms me esa isliye kiya jata hai, ki Artificial lights se Minor scratch, dent or rough surface ko Easily tarike se chhupaya ja sakta hai. Isliye jab bhi aap car ko dekhne jaye to use Showrooms ki Artificial lights ki jagah Natural light me dekhana best hota hai. Natural light me apko car par lage Minor scratch, dent or rough surface Easily tarike se dikh jate hai. Yadi apke kisi friend ko car me kafi Interested hai, to jab bhi aap car dekhne jaye to, use apne sath jarur le kar jaye.
Vehicle Identification Number (VIN Number) kya hai?
Sabhi car ka ek Unique number hota hai, jise VIN Number (Vehicle Identification Number) kaha jata hai. Isase apko kafi achchi Information mil sakti hai. Is Number ka use ka rap car ke sabhi Service record ke bare me pata laga sakte hai. Jab bhi aap koi second hand car lete hai, to uska Service record apko achchi tarike se Check karna chahiye.
Second Hand Phone की कमियां कैसे पता करे?
Second Hand Laptop खरीदने से पहले ध्यान रखें ये बातें
5G Network Kya Hai, Janiye india me 5G kab launch hoga?