Linux kya hai, Free Mein Download Kaise Kare?

Agar aap ek computer science ke student he to aap Linux ke bare mein bahut acchi Tarah Se Jante Honge, Lekin aap computer science ke student Nahi hai aur Linux ke bare mein Kuchh Jante Nahi hai, to aap Raunak ke baare mein bhi Nahi Jante Honge. Ham Sabhi Ke liye bahut hi ashchary ki baat hai ki aaj ke Samay Mein sabse Adbhut Khoj internet of things, internet, Android smartphone Aur super computers Ko kam karne ke layak Banane Wale operating system Linux ke bare mein bahut jyada log Jante Nahi Hai.

Linux kya hai ? What is Linux

Windows 7, Windows 10, Apple, iOS ke jaisa hi Linux Windows XP bhi computer operating system hai, Jaise Ham Apne computer or laptop mein Install kar vah sabhi kaam kar sakte hai, Jo Aaj Ham Windows operating system ki madad Se Karte Hai. Jis kam ko Ham Windows operating system ko Install kar karte Hai Usi kam ko ham Linux Windows XP Ke jariye bhi aasani se kar sakte Hai.

Linux Kab start hua tha ?

Linux ki kahani bahut hi Adbhut aur Rochak hai Iski kahani ki shuruaat Ek student se shuru hui thi. Ek student Ne Linux ko start kiya tha. Finland ki university ke Ek student Linus Torvalds Apne Samay mein LINUX operating system ke licence ko Lekar bahut jyada pareshan Rahane lage the. unhone licence system se bachne ke liye Apna khud ka Ek Naya operating system create Kiya.

Linus Ek Aisa operating system Create karna chahte the Jiske Liye licence ki jarurat na Pade aur kisi bhi Tarah ka koi Shaulk Na Dena Pade. vah bilkul nishulk operating system banana Chahta tha. Jiske bad vah badhte Samay ke sath dusre programs ke sath jodne Lage Aur Linux Vishva ka sabse bada open-source project ban gaya tha.

Linux se chalte the super computer :-

Android smartphone Ka Puri Tarah Se operating system Android Linux per hi Based Tha. World ke top 50 supercomputer me Linux install hai. Aaj ke Samay Mein internet Jo bahut jyada fast ho saka vah sirf aur sirf Linux Ki vajah Se Hi Hua Hai. Linux par Internet of things Aadharit hai. Yah open source hai, jo Puri Tarah Se free hai. Open source hone ki vajah Se Har Koi apni jarurat ke anusar kabhi bhi isme badlav kar sakta hai. In sabhi features ki vajah se World ki top IT company aur programs is project se connect ho chuke hai.

Linux download kaise kare ?

aapke pass Android smartphone hai aur aap uska use karte Hai to aap Linux operating system ka hi use kar rahe Hai. jaldi LINUX operating system ko Apne computer ya laptop mein Install karna chahte Hai, to aap free mein download kar Install kar sakte Hai. yadi aap Bina install kiye Linux operating system ka use karna chahte Hai, to aap uske liye bootable DVD ya bootable pendrive bana kar bhi apane Windows PC per Linux ka use kar sakte Hai.

Linux Ke Kya Fayde Hai?

yadi Ham Linux use karte Hai To Hame ise Windows ki tarah kharidna Nahi Hota Hai, Linux ke bahut Sare software bhi Hame free Me Milte Hai jinhen apni jarurat ke anusar kabhi bhi use mein le sakte hai. Windows ke software aur Games bhi Linux per wine se chal sakte hai.

Linux ko customise karna hai Assam :-

Windows 10 ya Windows 7 apne pc ya laptop me use kar rahe Hai, to unme kisi tarah ka koi badlav karna bhi Chahe to aap Eaisa Nahi kar sakte hai, lekin Linux me aap esa easy tarike se kar sakte Hai. Iske Inhi features ki vajah Se Hi aaj ke yuvao main interest badhta ja raha hai.

Linux Free Mein Download Kaise Kare ?

Linux ke bahut Sare Version aap ko aasani Se Mil jaenge. Linux version Mein Ek Se Badhkar Ek Features Hai, sabhi Features me unke Desktop Environment (Display things, icon presentation) Mein Antar hota hai Jiske adhar per aap unhen select kar sakte Hai. Unme Kuchh best version ye hai :-

– Ubuntu (https://Ubuntu.com)

– Fedora (https://getfedora.org)

– Linux mint (www.Linuxmint.com)

– Opensuse (www.Opensuse.org)

– Arch linux (www.archlinux.org)

Online Demo Test Kaise Le ?

Yadi aap Linux ko download Nahi karna chahta hai, to aap, http://tour.ubuntu.com/en/#watch-video Per aasani se Linux ke Ubuntu version ko test kar sakte Hai. YouTube per bhi aapko Linux sambandhit videos aasani se dekh sakte Hai aur uske bare mein research kar sakte hai.

Yadi aap apne laptop ya PC se Windows operating system Ko hatana Nahi chahte Hai aur aap Linux ka use karna chahte Hai, to aap Dual boot Karke use kar sakte Hai, yadi aap laptop mein Windows aur lennox dono Ko Install karna chahte hai, to aap esa kar sakte hai. Iske bad aap Jab Chahe apni ichcha ke anusar us operating system per kam kar sakte hai yadi aapko Windows operating system per kam karna hai, to aap uska Selection Kare aur jab apko lennox per kam karna hai, to aap iska selection kar Badi aasani se uska use kar sakte hai.

Virus Nahi Aate Hack Nahi Hota Hai Linux :-

Linux Ki Sabse Badi khubi mani jati hai, ki ismein kabhi bhi MalwareAur virus Nahi Aate Hai. Kaha Jata Hai Ki Linux ko hack karna lagbhag Asambhav hai, Kyunki world ke sabhi hackers Khud Ko secure rakhne ke liye ISI per kam Karte Hai, ine Sabhi Baton se Ek Baat saaf Ho Jaati Hai Ki Linux per work karna sabse easy aur secure Hai.

YouTube Video Download कैसे करें, जानिए पूरी प्रोसेस?

Best HD Photo Download Search Engine

Whatsapp Video Status कैसे Download करें?

Online Medicine Order कैसे करे?

VPN Kya Hai , Data Secure Kaise Kiya Jata Hai ?

data-full-width-responsive="true">